15 Ramzan Youm e Wiladat Imam Hasan Alahissalam

*मौला हसन मदद*
*15 रमज़ान यौमे विलादत शहज़ादा ए रसूल ख़लीफ़ा ए राशिद अमीरुल मोमिनीन पंजतन पाक सैय्यदना ईमामे हसन अल मुज्तबा अलैहिस्सलाम*
*तमाम मोमिनीन इंसानियत परस्तो को खूब खूब मुबारक*

#15_Ramadan Al-Mubarak😍 Youm’e Wiladat Ameerul Momineen Sayyiduna #Imam_Hassan_Al_Mujtaba AlaihiSalaam Bohat Bohat Mubarak❤️

#15_رمضان المبارک😍 یومِ ولادتِ #سیدنا_امام_حسن_المجتبے علیہ السلام بہت بہت مبارک❤️
Sayyeda-e-Kainat Hazrat-e-Fatimah tuz Zahra Salamullahi Alaiha Bayan Karti hain ke Mai Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke Marz-e-Wisaal me Hasan aur Hussain (Alaihi-Mussalam) ko Lekar Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki Khidmat me Haazir Hui, aur arz kiya: “Ya RasoolAllah SallAllahu Alaika wa Sallam! Ye Dono Aapke Bete hain, Inhe kisi cheez ka Waaris bana den.”
Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya:
“Hasan ke liye Meri Haibat (Roab) aur Sardari hai aur Hussain ke liye Meri Jurrat aur Sakhawat hai.” 15 Ramzan Youm-e-Wiladat Sayyeduna Imam Hasan Alaihissalam.

Tabarani, al -Mujam-ul-kabir (22:423#1041)
Tabarani ne al-Mujam-ul -awsat (6:222, 223# 6245) me is Hadees ko Hazrat Abu Rafe RadiAllahu Anhu se riwayat kiya hai.
Shaybani, al-Aahad-wal -mathani (1:299#408)
Shaybani, al-Aahad-wal -mathani (5:370#2971)
Haythami ne Majma-uz-zawaid (9:185) me kaha ke isey Tabarani ne riwayat kiya hai, jabke mai iske raawiyon ko nahi jaanta.
Asqalani, al-Isabah fi tamyiz as-Sahabah (7:674)
Asqalani, Tahdhid-ut -tahdhid (2:299)
Mizzi, Tahdhib-ul -kamal (6:400)
Hindi, Kanz-ul-ummal (12:117#34272)

Allahumma Salle Ala Sayyedina wa Maulana Muhammad wa Ala Sayyedina Aliyyuw wa Sayyedatina Fatimah wa Sayyedatina Zainab wa Sayyedina Hasan wa Sayyedina Hussain wa Ala Aalihi wa Sahbihi wa Baarik wa Sallim.

Aap Ki Wiladat 15 Ramzan Ul Mubarak Hijri San 3 Me Madeena Shareef Me Hui Thi.

Aap Ki Kunniyat Abu Muhammad Aur Alkab Taqi Wa Sayyad Hai.

Aap 12 Ayimma Me Se Dusre Imam Hai.

Hazrat Jibraeel Alayhissalam Aap Ke Naam Ko Jannat Se Ek Nihayat Umda Kapde Par Likh Kar Huzur (ﷺ) Ki Khidmat Me Hadiyattan Laaye.

Aap Shakal Wa Soorat Me Huzur (ﷺ) Se Sar Se Paav Tak Se Mushabah The.

Kanzul Ummal Wa Ibne Asakir Me Rivayat Hai Ke
Huzur (ﷺ) Ne Syadana Imam Hasan Aur Syadana Imam Hussain Ke Baare Me Yu Dua Farmayi,
“Aye Allah” Mai Inse Muhabbat Rakhta Hu Tu Bhi Inse Muhabbat Farma Aur Jo Inse Muhabbat Rakkhe Us se Bhi Tu Muhabbat Farma.

Jab Imam Hasan Al Mujtaba (رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽ). Ka Wisal Hua To Jab Aap Ki Jannatul Baki’a Me Madfan Ke Liye Le Gaye To Logo Ki Itni Tadad Wahan Thi Ki Sa’alba Bin Malik Kehte Hai ki Pura Jannatul Baki’a Qabristan Logo Se Bhar Gaya Tha Yahan Tak Agar Aasaman Me Se Ek Sui Fenki Jaaye To Zamin Par Naa Gire Balki Kisi Ke Sar Par Gire, Itna Bada Qabristan Bhi Is Tarah Bhar Gaya Tha.

Ba-Havala (Refrence By) :
-[ShavahidunNabuwwat Page : 300]

-[Tohfa E Najat Volume : 11 Page : 178, 215 ]

14 Ramzan

*#14 Ramzan*
*#Yaume Wisal*
*#Zoja e Rasool Ummul Mo’mineen Hazrat Safiya Bint Huyay*
*(Salam un Aleha)**Aapki Wiladat 610 Esvi Me Hui, Aapka Wisal 14 Ramzan ul Mubarak 50 Hijri Mutabik 5 October 670 Esvi Baroz Hafta Hua, Shehansha e Qull Aalam Huzoor Ahmad Mujtuba Muhammad Mustufa (Sallallāhu Ta’ala Alaihi Wa Aa’la Aalehi Wa’sallam) Ne 10wa Nikah Aapse Farmaya, Aapka Mazar Mubarak Jannat ul Baqi Sharif, Madina Paak Me Marjai Khalaik Hai…*

_*~~~~~Urs Mubarak SULTANUL AASHIQIN SHAHENSHAH E VILAYAT CHARAG E CHISHTIYA HAZRAT SAYYEDNA MAKHDOOM HUSSAMUL HAQ VADDIN CHISHTI MANIKPURI radiyallahu anhu (Urs :- 14, Ramzanul Mubarak, Mazar :- Manikpur Sharif, U.P.)~~~~~*_🍀 *POST No. 4*🍀✳ _*Sahib e Mir’atul Asraar HAZRAT SHAIKH ABDUR REHMAN CHISHTI rehamtulla Alayh farmate he ke “1050 hijri me Mashaikh e Chisht ki Ziyarat ke liye Dehli gaya Vapasi ke Waqt Aalam e Muamala me SULTANUL MASHAIKH KHWAJA NIZAMUDDIN AULIA MEHBOOB E ILAHI radiyallahu anhu ne farmaya ke…”*_✳ _*SHAIKH HUSSAMUDDIN MANIKPURI radiyallahu anhu ki Ziyarat kar ke Phir Apne ghar Vapas jana. Chunanche me Manikpur Sharif Hazir hua aur HAZRAT SAYYEDNA MAKHDDOM HUSSAMUL HAQ VADDIN CHISHTI radiyallahu anhu aur HAZRAT RAAJI HAAMID SHAH radiyallahu anhu ki Ziyarat se Faizyaab hua. Us Waqt Ajib zouq Hasil hua aur un dono Hazraat ne is Faqir ko is Qadr Nemat Ataa farmai ke tehrir se bahar he.*_✳ _*HAZRAT SHAIKH ABDUR REHMAN CHIHSTI rehmatullah alayh farmate he ke mene ‘Mir’atul Asraar’ SAYYEDNA SARKAR KHWAJA GARIB NAWAZ radiyallahu anhu ke Ishara e Baatini par likhna Shuru ki thi Kitab ka Khatima Likhne ke liye me SAYYEDNA KHWAJA GARIB NAWAZ radiyallahu anhu ki Roohaniyat ki Taraf Mutavajjeh hua.*_✳ _*SAYYEDNA SARKAR GARIB NAWAZ radiyallahu anhu ne Kamale Shafqat va Maherbaani se farmaya ke “Kitab jo Tumne SHAIKH ABDUL HAQ radiyallahu anhu ke Haalat tak likhi he yahi Kaafi he ab SHAIKH HUSSAMUDDIN MANIKPURI radiyallahu anhu ke Haalat likh kar Khatm kar do”*_✳ _*Niz SAYYEDNA KHWAJA GARIB NAWAZ radiyallahu anhu ne ye bhi Irshad farmaya ke “Hamne Tumhe 4 Sahibe Tasarruf Vilayat Buzurgo ke Darmiyan Jagah di he. ye charo (4) Buzurg Zindo ki Tarah Apni Qabr me Bethe hue Tasarruf karte rahenge aur Hamesha Tumhare Mamdu va Muavin rahenge”*_1⃣ _*Maghrib ki Taraf MADARUL AALAMIN QUTBUL KAAMILIN HAZRAT SAYYEDNA BADIUDDIN ZINDA SHAH MADAR radiyallahu anhu*_2⃣ _*Mashriq ki taraf GOUSUL AALAM MEHBOOB E YAZDANI HAZRAT SAYYEDNA MAKHDDOM ASHRAF JAHANGIR SIMNANI radiyallahu anhu*_3⃣ _*Uttar ki taraf SULTANUS SHOHDA E FIL HIND HAZRAT SAYYEDNA SAALAR MASOOD GAAZI radiyallahu anhu aur*_4⃣ _*Dakhkhin ki taraf SHAHENSHAH E VILAYAT CHARAG E CHISHTIYA HAZRAT SAYYEDNA MAKHDOOM HUSSAMUL HAQ VADDIN CHISHTI MANIKPURI radiyallahu anhu.

Hazrat Sayyed Shaah Hameed-ud-deen Muhammad Ghauṡ Gwaliori (رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽ).

Laqab :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Raees-ul-Kaamileen.

Aap ki wilaadat 7 Rajab 907 Hijri (1501 A.D.) ko Jum’aa ke roz Ghazipur, Bihar me hui.

Aap ke waalid ka naam Hazrat Sayyed Khatir-ud-deen Bayazeed bin Khwaja Sayyed Fareed-ud-deen Mohammad Attaar hai.

Aap Hussaini saadaat hain.

Aap Hazrat Sayyed Shaah Zahoor Haaji Huzoor Shattaari rahmatullāhi alaihi ke mureed hue.

Phir 13 saal tak chinaar ke jangal me mujaahida kiya.

956 Hijri (1549 A.D.) me Aap Gujarat tashreef laaye. Aap ne Ahmedabad me Sarangpur me 10 saal tak qayaam kiya aur ta’aleem e deen karte rahe. Aap ne yaha ek masjid ki taamir ki jo Ek Toda Masjid ke naam se mash’hoor hai.
Phir Aap Gwalior tashreef laaye.

Mughal baadshaah Humayun Aap ka mureed tha.
Sangeet Samrat Tansen bhi Aap ka mureed tha.

Aap ki likhi hui kitaaben :
(1) Jawaahar-e-Khamsa,
(2) Bahr-ul-Hayaat,
(3) Awraad-e-Ghauṡia,
(4) Risaala-e-Me’araajiya,
(5) Jamaaya,
(6) Kabid Makhajan,
(7) Kanz-ul-Waahida.

Aap ke 5 saahabzaade hain :
(1) Shaah Abdullāh
(2) Shah Ismāeel
(3) Shaah Uwais
(4) Shaah Deewaan
(5) Shaah Muzaffar .

Aap Hazrat Sayyed Shaah Zahoor Haaji Huzoor Shattaari rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.

Aap ‘Shattaari’ silsila ke shaikh hain.

Aap ke khulfa :
(1) Hazrat Sayyed Shaah Wajeeh-ud-deen Alwi Gujarati (Ahmedabad, Gujarat) rahmatullāhi alaihi,
(2) Hazrat Hazrat Sayyed Shaahul Hameed Abdul Qaadir Nagori urfe Qaadir Shaah Wali (Nagore, Tamil Nadu) rahmatullāhi alaihi,
(3) Hazrat Baaba Ali Sher Bangali rahmatullāhi alaihi.

****************
Aap ka wisaal 14 Ramazaan 970 Hijri (May 1562 A.D.) ko hua.

Aap ka mazaar Gwalior (Madhya Pradesh) me hai.

Hadeeth Abu Dawud 543

Aaj Ki Hadees:-
Hazrat Bara Bin ‘Azib Raziyallahu ‘anhuma riwaayat karte hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Allah Ta’ala agli safon se qareeb saf waalon par rehmat naazil farmaate hain aur uske farishte unke liye dua karte hain. Allah Ta’ala ko us qadam se zyaada koi qadam mehboob nahin, jisko insaan saf ki khaali jagah ko pur karne ke liye uthhaata hai.
(Abu Dawud: 543)