15 Ramzan Youm e Wiladat Imam Hasan Alahissalam

*मौला हसन मदद*
*15 रमज़ान यौमे विलादत शहज़ादा ए रसूल ख़लीफ़ा ए राशिद अमीरुल मोमिनीन पंजतन पाक सैय्यदना ईमामे हसन अल मुज्तबा अलैहिस्सलाम*
*तमाम मोमिनीन इंसानियत परस्तो को खूब खूब मुबारक*

#15_Ramadan Al-Mubarak😍 Youm’e Wiladat Ameerul Momineen Sayyiduna #Imam_Hassan_Al_Mujtaba AlaihiSalaam Bohat Bohat Mubarak❤️

#15_رمضان المبارک😍 یومِ ولادتِ #سیدنا_امام_حسن_المجتبے علیہ السلام بہت بہت مبارک❤️
Sayyeda-e-Kainat Hazrat-e-Fatimah tuz Zahra Salamullahi Alaiha Bayan Karti hain ke Mai Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke Marz-e-Wisaal me Hasan aur Hussain (Alaihi-Mussalam) ko Lekar Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki Khidmat me Haazir Hui, aur arz kiya: “Ya RasoolAllah SallAllahu Alaika wa Sallam! Ye Dono Aapke Bete hain, Inhe kisi cheez ka Waaris bana den.”
Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya:
“Hasan ke liye Meri Haibat (Roab) aur Sardari hai aur Hussain ke liye Meri Jurrat aur Sakhawat hai.” 15 Ramzan Youm-e-Wiladat Sayyeduna Imam Hasan Alaihissalam.

Tabarani, al -Mujam-ul-kabir (22:423#1041)
Tabarani ne al-Mujam-ul -awsat (6:222, 223# 6245) me is Hadees ko Hazrat Abu Rafe RadiAllahu Anhu se riwayat kiya hai.
Shaybani, al-Aahad-wal -mathani (1:299#408)
Shaybani, al-Aahad-wal -mathani (5:370#2971)
Haythami ne Majma-uz-zawaid (9:185) me kaha ke isey Tabarani ne riwayat kiya hai, jabke mai iske raawiyon ko nahi jaanta.
Asqalani, al-Isabah fi tamyiz as-Sahabah (7:674)
Asqalani, Tahdhid-ut -tahdhid (2:299)
Mizzi, Tahdhib-ul -kamal (6:400)
Hindi, Kanz-ul-ummal (12:117#34272)

Allahumma Salle Ala Sayyedina wa Maulana Muhammad wa Ala Sayyedina Aliyyuw wa Sayyedatina Fatimah wa Sayyedatina Zainab wa Sayyedina Hasan wa Sayyedina Hussain wa Ala Aalihi wa Sahbihi wa Baarik wa Sallim.

Aap Ki Wiladat 15 Ramzan Ul Mubarak Hijri San 3 Me Madeena Shareef Me Hui Thi.

Aap Ki Kunniyat Abu Muhammad Aur Alkab Taqi Wa Sayyad Hai.

Aap 12 Ayimma Me Se Dusre Imam Hai.

Hazrat Jibraeel Alayhissalam Aap Ke Naam Ko Jannat Se Ek Nihayat Umda Kapde Par Likh Kar Huzur (ﷺ) Ki Khidmat Me Hadiyattan Laaye.

Aap Shakal Wa Soorat Me Huzur (ﷺ) Se Sar Se Paav Tak Se Mushabah The.

Kanzul Ummal Wa Ibne Asakir Me Rivayat Hai Ke
Huzur (ﷺ) Ne Syadana Imam Hasan Aur Syadana Imam Hussain Ke Baare Me Yu Dua Farmayi,
“Aye Allah” Mai Inse Muhabbat Rakhta Hu Tu Bhi Inse Muhabbat Farma Aur Jo Inse Muhabbat Rakkhe Us se Bhi Tu Muhabbat Farma.

Jab Imam Hasan Al Mujtaba (رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽ). Ka Wisal Hua To Jab Aap Ki Jannatul Baki’a Me Madfan Ke Liye Le Gaye To Logo Ki Itni Tadad Wahan Thi Ki Sa’alba Bin Malik Kehte Hai ki Pura Jannatul Baki’a Qabristan Logo Se Bhar Gaya Tha Yahan Tak Agar Aasaman Me Se Ek Sui Fenki Jaaye To Zamin Par Naa Gire Balki Kisi Ke Sar Par Gire, Itna Bada Qabristan Bhi Is Tarah Bhar Gaya Tha.

Ba-Havala (Refrence By) :
-[ShavahidunNabuwwat Page : 300]

-[Tohfa E Najat Volume : 11 Page : 178, 215 ]

Leave a comment