Seven Heavens and Science [7 Aasman aur Science]

1_OYvLtH8RWkCS_uJJG0hurQ

7 Aasman aur Science

Arabi me 7 “zyada” keliye bhi istemal karte hain lekin kyunki Ahadees me specially Shab-e-Meraj ki Ahadees me specifically 7 ka he zikr aaya hai isliye yaha bhi discussion me 7 he consider karenge. Quran se he ishara milta hai ke saato aasman ka apna seperate nizam hai, yaani is hisab se unko 7 separate universes kaha jasakta hai, Multiverse. To ab ye hain kahan pe? Har raat jo aasman hame nazar aata hai kya ye pehla aasman hai? Quran kehta hai:
“Beshaq Humne aasman-e-duniya ko sitaro aur sayyaro ki zeenat se aasrasta kardiya hai.”
Allah Ta’ala ne is duniya ke aasman ko yaani is space ko farmaya ke isme saare sitare aur planets hain. Matlab jaha taka stars hain wo is duniya ka space hai, pehla aasman nahi. Pehla Aasmaan uske aage hai. Hadees se clear hojayegi ye baat.
Shayad sabne padhi/suni hai ye Hadees-e-Pak ke Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya zameen se lekar pehle aasman ka tak 500 saal ka faasla hai, fir Pehla aasman aayega jo 500 saal ke musafahat jitna chowda hai, fir pehle aasman se lekar dusre aasman tak fir 500 saal ka faasla, fir 500 saal ke safar jitna chowda dusra aasman, fir 500 saal ke distance ke baad teesra aasman, and so on.
Is tarah zameen se 7we aasman ke end tak 7000 bante hain.

Ab ye 500 saal kya hain?
In “500 saal” ko Quran ki roshani me dekhna hoga. Jab Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ye baat logo se irshad farma rahe they, tab space aur universe ka scientific knowledge logo ke paas nahi tha, to Quran aur Hadees me jaha jaha scientific chizon ka zikr aaya wo is tarah se aaya ke us zamane ke logo ko bhi thoda bahot idea aajye aur fir jab scientific era shuru hoga to Quran aur Hadees ki wo baate scientifically bhi correct sabit ho. 1500 saal pehle mode of transport ghode, unt, khachhar they ya khud chalke jana padta tha, fastest speed of transport ghoda tha. Ab “500 saal ka safar” ye line sunne pe aaj bhi hum imagine karsakte hain ke isse murad bada lamba safar hai, bahot bahot bahot lamba. Us Zamane me bhi jab logo ne 500 saal ka safar suna hoga to immediately unke zehan me aagaya hoga ke ye to bahot he lamba safar hai jo ek insan ki life me possible he nahi hai. To waha maqsad ye tha ke distance ka andaza karaya jaaye ke pehla aasman itna dur. Ab science aagaya, to scientifically 500 saal kya hosakte hain? Pehle cars aayi jo janwaro se fast thi, fir planes aaye, fir supersonic planes aaye, fir hypersonic planes bhi banie, aaj rockets aur spaceships hain jo kai km/s ki speed se travel karte hain. Ab insan isse bhi fast travel ki research me laga hai. Aaj maximum possible speed hai light ki speed vacuum me. To kya 500 saal se murad 500 light years hain? NAHI! Kyunki agar 500 light years lenge, to 500 light years cosmologically to bilkul neighborhood me hain. Betelgeuse, famous star, wo bhi 650light years dur hai. To zameen se 7we aasman ke end tak 7000 saal ka distance hain, 7000 light years to hamari Milky way galaxy ke he andar hain. Hamari galaxy ka diameter 1 laakh light years hai. Milky way ek average size galaxy hai is universe ki aur universe ke total galaxies ka estimate hai 2 trillion yaani 2000 billion galaxies! Galaxy kya hoti hai? Galaxy arabo kharbo stars ka group hota hai aur based on the detailed study of our galaxy, almost har star ke saath ek planet hai. Ab pehli condition Quran ne rakhdi hai ke is region ke space ko Allah ne stars se sajaya hai, to 500 light years ke baad pehla aasman hai ye baat Quran se galat sabit hojati hai. To ye galaxies kaha tak hain? Abhi at the moment jaha tak hum is universe ko dekhsate hain, us pure region ko observable universe kehte hain. aur is observable universe ka radius hain 46.5 billion light years! Yaani observable universe ke ek end se dusre end tak jaane ko light ko 93 billion years lagenge! Ab sawal paida hota hai ke 46.5 billion light years he kyu, isase aage ka kyu nahi dekhsakte? Jawab hai expansion of the universe! Universe ki expanson rate hai around 70km/s/megaparsec. Yaani har megaparsec par 70km/s add hote jayenge. Earth se jo chiz 1 mega parsec yaani 32.6 laakh light years dur hai wo earth se 70km/s ki speed se dur jarahi hai, jo chiz 2 mpc dur hai wo 140km/s, jo 10mpc dur hai wo 700km/s, 100mpc 7000km/s. 1000mpc pe 70000km/s. Is tarah jitne dur ka distance unti speed badhti hui nazar aati hai aur fir ek point aata hai jaha expansion rate light speed se zyada hojati hai, jo chiz isse aage hongi wo light speed se zyada dur jarahi hain so unki light kabhi earth tak nahi aasakti isliye wo chiz kabhi nazar nahi aayegi. Ye distancve 46.5 billion light years par hai. Isliye itna region me hum dekhsakte hain so isko observable universe kehte hain.

To itne dur tak aur fir isse bhi aage galaxies hain yaani stars hain jinhe hum dekhsate hain telescopes se aur ye galaxies badiu khoobsurat nazar aati hain aur Allah Ta’ala ne he farmaya ke Humne is space ko “Sajaya” hai. To ye pehla aasman nahi hosakta. Pehla aasman isse bhi aage hai. Exactly kitne aage hai, iska koi andaza nahi scientifically. To fir ohi sawal ke 500 saal ki musafahat matlab kya? Light ki speed bhi tortoise se slow hai yaha. To 500 saal kisi aisi chiz/particle ki speed jo light se bhi zyada fast hai jaise wo imaginary particle “Tachyon”, ya fir 500 saal ki speed matlab khud universe ki expansion rate yaani overall jis rate se aaj universe expand horaha hai, us speed se 500 saal lagenge pehle aasman tak jane ko. Is universe ki expansion ko uske karke travel karna ye bhi scifi movies me use kiya hai jaise star trek ke warp drives. In short 500 saal ka safar us chiz ka jo abhi tak physically possible nahi hosaki. Ya aur ek chiz jiska ishara fir Quran se he milta hai wo hai Surah Ma’arij me aisi chiz ka zikr jisme se Farishte aur Rooh zameen se Mala-e-Aala ki taraf jaate hain, us chiz me ek din bitaane se 50 hazar saal ka safar taye hota hai, to ye Ma’arij jo wormholes jaise lagte hain, inka 500 saal ka safar. May be!

Ab 7 aasmano ke bareme science me kuch milta hai? Ek hint milti hai! Jitna universe hame nazar aata hai wo bilkul flat hai, yaani usme koi curvature nazar nahi aati, agar curvature nazar aaye to matlab hai ke universe spherical hai. Is curvature ko dhunde ke keliye 2 separate detailed observations ki gayi, ek Sloan digital sky survey aur dusra Planck Satellite ke zariye. Dono ke observation ke baad ye baat confirm hui ke observable universe me koi curvature nahi hai! Yaani atleast 93 billion light years ka ye region flat hai. To fir yahase maths aur computer models use karke ye baat pata ki gayi ke agar universe curved yaani spherical ya closed hai to fir pura universe 14 trillion light years vast hai!! 14 Trillion! Yaani 14000 billion light years! Iske muqable me hamara 93 billion light years ka observable universe ekdum chotasa hissa hai! Isse kya baat pata chali, hame pehle he dekh chuke ke pehla aasman he kitna dur hai, to 7wa aasman to itna zyada dur hoga ke us number ko hamara dimak bhi imagine nahi karsakta! Ye scientific baat Quran aur Hadees ki baat se match horahi hai.

Ab 14 trillion light years tab possible hain agar ye universe spherical hai, jiska koi proof abhi tak nahi mila. Lekin Quran me iska bhi ishara hai, kai jagah hai. Wo Arsh aur Jannat ke zikr me! Allah Ta’ala ne farmaya ke Arsh puri kainat ko encompass kiye hue hai yaani saari kainat Arsh ke andar samayi hui hai jaise ek plastic ball hota hai, uska bahar ka layer plastic aur andar air. Wo air yaha pura universe hai aur wo plastic layer Arsh! Isi tarah Jannat. Jannat bhi kainat ko encompaas kiye hue hai, lekin Jannat Arsh ke niche hai, Arsh Jannat ki chatt hai. To is baat se universe ka shape pata chalta hai or atleast ye to confirm hojata hai ke universe flat nahi hai aur agar flat nahi hai to science estimate karta hai ke itna bada hai universe jo fir Islam ke bataye hue universe se match hota hai!

Ab ek galat baat jo hamari Islamic books me dakhil hogayi thi, wo ye ke Greek philosophy ke hisab se chand pehle aasman me, suraj chowthey aasman me etc etc. Ye Greek philosophy ki baate thin jinka influence musalmano pe bhi pada aur fir Tafseer ki kitabo me ye baat dakhil hogayi jiska Quran aur Hadees se koi connection nahi tha, lekin kyunki Islamic books me ye baat dakhil hogayi to aage chalke ye samjha jaane laga ke yehi Islam ka nuqat-e-nazar hai. isi wajah se jab Apollo 11 Moon mission hua, Neil Armstrong aur Buzz Aldrin Chand pe utarkar wapas aaye to kuch “ulama” iske khilaf fatwa dediya ke ye namumkin hai kyunki chand pehle aasman pe hai aur pehle aasman pe jana namumkin hai. Ye obviously hasne laayak baat thi, lekin unfortunately aaj bhi ye fitna baaki hai.

Anyways, ye jo 7 aasman bane iska aur ek hint science me nazar aata hai jispar ek detail post already share ki ja chuki hai, wo hai Dark Energy expansion! In short ye ke aajse lagbhag 6 billions years pehle Dark energy ne matters apne haath me liye aur “anti gravity” ki tarah act hokar universe ki expansion rate unimaginable speeds se badha di aur universe itna bada hua aur fir dur ke wo 7 aasman bane. Ye baat Quran me is tarah se milti hai ke Allah ne Surah Fussilat me farmaya ke Usne 2 “Din” me earth aur solar system ko banaya aur fir kuch “Din” me earth ko rehne laayak banaya. Iske baad irshad farmaya ke “Fir Aasman banaye”. Earth bana 4.5 years pehle, aur usse 2 billion years pehle universe zabardast speed se expand hona shuru hua. To 2 billion years me universe bahot zyada expand hogaya, itna expand hogaya ke andaza bhi lagana mushkil hai. To 7 aasman itne dur hain ke wo tab he ban sakte hain jab universe utne dur expand hua ho. To 2 billion years aur uske kuch zyada waqt me universe expand hua. Aur tab tak earth ban chuka tha. Yaani earth banne ke baad universe ke wo dur daraz ke region wujood me aaye, ye baat science ki hai aur yehi Quran ne bhi exactly bataya hai!!
Agar aapne Quran Shareef ko tarjuma ke saath padha ho to aapne dekha hoga ke Allah Ta’ala ne kai jagah aise farmaya “Zameen aasman aur unke bich jo kuch hai”, Ye “jo kuch hai” wo saare stars, planets, galaxies, balck holes, etc etc.

Ab aur ek sawal, kya hum in aasmano ko dekhsakte hain? Quran farmata hai:
“Aur Allah Wo hai Jisne aasmano ko bigair sutoon ke (khala me) buland farmaya (jaisa ki) tum dekh rahe ho….” (Surah ar-Ra’ad 13:2)
Allah ne farmaya ke “jaise tum dekh rahe ho”, to dekhna possible hai lekin abhi hum unko dekhne ke level tak nahi pahunche. Wo kaise? Hum apni aankho se kuch stars ke siwa directly kuch aur nahi dekhsakte, baaki chizon ko dekhne keliye telescopes chahiye. Telescopes electromagnetic radiation se sab dekhte hain, light bhi electromagnetic wave he hai. Visibl light, infrared, xrays, gamma rays, radio waves use karke hum abhi dur dur tak dekhsakte hain. Lekin in sabki velocity light speed hai, to inko use karke to observable universe ke bahar nahi dekha jasakta. Waha dekhne keliye alag tarah ki astronomy chahiye. Hume ye to pata hai ke 7 aasman alag alag hai physical laws me, wo waha ka mechanism bhi alag hai, wahake matter alag hai. To waha ki speed limit bhi zyada hosakti hai, to waha koi particle, wahake kisi “light” ka particle hamari light speed se zyada travel karta ho! To usko agar hum detect karsake to hum un aasmano ko bhi dekhsakte hain! Jaise abhi super symmetry particles ki hunt shuru hai waise he ye bhi completely naye particles ho jo aage chalke detect ho jinke zariye hum un regions ko dekh sake jo possible nahi they. Jaise xray, gamma ray, radio waves, hamari aankhe nahi dekhsakti. Black holes nazar nahi aate lekin radio waves use karke uski photo aagayi aaj! To jaise ye mumkin hai waise aasmano ko dekhna bhi mumkin hai!

Ab aakhri baat, kya hum un aasmano tak jasakte hain? Ab yaha definite answer nahi pata kyunki dono possibility hai. Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Meraj ki Shab waha tashreef le gaye, to is baat se possible lagta hai ke ummat ya insaniyat bhi jasakti hai kyunki Meraj ka safar insaniyat ko encourage karne keliye tha. Lekin fir waha jana impossible isliye lagta hai ke Meraj ki Riwayato me aata hai ke jab Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam pehle Aasman ke paas ke pahunche to Jibril Alaihissalam ne “darwaza khatkhataya”, to Farishte ne darwaza khola aur aage ka safar. To isse lagta hai ke Waha sabko access nahi hai. Aur maut ke baad bhi Momin ki Rooh Arsh tak jayegi, kafir ki rooh pehle aasman se lauta di jayegi. Yaani isse lagta hai ke Pehle aasman ke upar ka saara area sirf Imaan waalo keliye hai, uske niche fir jiski jitni isteta’at wo ghum fir sakta hai.

Agar ye saari baate correct hain to saara kamal Allah ke Kalam aur Uske Habib SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke Farman ka hai. Lekin agar galat ho to Quran aur Hadees Haq hai, maine Unhe samjhne me galti kardi.

Allahumma Salli wa Sallim Ala Sayyedina Muhammadiw wa Ala Aali Sayyedina Muhammadim Mil as-Samawaati wa mil al-ardi wa mil al-Arshil Azeem.

Advertisement

Hadith on liar jhoote aadmi

🌷 ▫ *Aaj Ki Hadees* ▫ 🌷
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
🍁 Huzoor ﷺ ne ek martaba apne ek khwaab ka zikr kiya jis mein jhoote aadmi par hone waale azaab ka zikr karte huwe farmaaya: Phir ham aise shakhs ke paas pahonche jo leta huwa tha aur us ke sar ki taraf ek aur shakhs tha, jo lohe ki kainchi se us ke jabde aur aankhein guddi tak kaat raha tha. Jab ek taraf kaat leta, to doosri taraf kaat’ta tha, abhi ek taraf poori taur par kaat bhi nahin paata ke doosri taraf sahi ho jaata. Main ne (apne saath maujood 2 farishton se) poochha: Yeh kaon hain? Unhon ne bataaya ke yeh shakhs jhoot bolta tha (usi ki saza di jaarahi hai) is ke saath qayaamat tak yahi muaamla hota rahega.

SERMON 106

ومن خُطْبَة له (عليه السلام)
في بعض أيام صفين

وَقَدْ رَأَيْتُ جَوْلَتَكُمْ، وَانْحِيَازَكُمْ عَنْ صُفُوفِكُمْ، تَحُوزُكُمُ الْجُفَاةُ الطَّغَامُ ،

وَأَعْرَابُ أَهْلِ الشَّامِ، وَأَنْتُمْ لَهَامِيمُ  الْعَرَبِ، وَيَآفِيخُ  الشَّرَفِ، وَالاَْنْفُ الْمُقَدَّمُ، وَالسَّنَامُ الاَْعْظَمُ، وَلَقَدْ شَفَى وَحَاوِحَ  صَدْرِي أَنْ رَأَيْتُكُمْ بِأَخَرَة ، تَحُوزُونَهُمْ كَمَا حَازُوكُمْ، وَتُزِيلُونَهُمْ عَنْ مَوَاقِفِهمْ كَمَا أَزَالُوكُمْ; حَسّاً  بالنِّصَالِ، وَشَجْراً  بِالرِّمَاحِ، تَرْكَبُ أُولاهُمْ أُخْرَاهُمْ كَالاِْبِلِ الْهِيمِ  الْمَطْرُودَةِ، تُرْمَى عَنْ حِيَاضِهَا، وَتُذَادُ  عَنْ مَوَارِدِهَا!

 
SERMON 106
Delivered during one of the days of Siffin
I have seen your flight and your dispersal from the lines. You were surrounded by rude and low people and Bedouins of Syria (ash-Sham), although you are the chiefs of Arabs and summit of distinction, and possess dignity as that of the high nose and big hump of the camel.

The sigh of my bosom can subside only when I eventually see you surrounding them as they surrounded you, and see you dislodging them from their position as they dislodged you, killing them with arrows and striking them with spears so that their forward rows might fall on the rear ones just like the thirsty camels who have been turned away from their place of drink and removed from their water-points.

Hadeeth नाखून तरशवाना

नाखून तरशवाना

*हदीस* – हज़रत अनस रज़ियल्लाहु तआला अन्हु से मरवी है कि मूंछे और नाखून तरशवाने और बगल और ज़ेरे नाफ के बाल मूंडने में हमारे लिए 40 दिन का वक़्त मुकर्रर किया गया है कि इससे ज़्यादा ना छोड़ें,और बेहतर ये है कि हर जुमे को ये सारे काम किये जायें

📕 तिर्मिज़ी,जिल्द 2,हदीस 2759

*नाखून काटने का तरीक़ा* – सबसे पहले दायें हाथ की शहादत की ऊंगली से शुरू करके छंगुलिया तक जायें फिर बायें हाथ की छंगुलियों से अंगूठे तक आयें और आखिर में दायें हाथ के अंगूठे का काटें,ये तरीक़ा हुज़ूर सल्लललाहो तआला अलैहि वसल्लम से साबित है और यही तरीक़ा मेरे आलाहज़रत का भी रहा है,पांव के नाखून काटने में खिलाल का तरीक़ा इस्तेमाल करें कि दायें पैर की छंगुलियों से शुरू करके अंगूठे पर खत्म करें फिर बायें पैर के अंगूठे से शुरू करके छंगुलियों तक ले जायें

*नाखून बढ़ाने के नुकसानात* – साईन्सी तहक़ीक़ के मुताबिक एक सेहत मंद आदमी का नाखून हर महीने 3 मिलीमीटर तक बढ़ता हैं इस तरह एक नार्मल आदमी की उंगलियां 50 सालों में तकरीबन 1.8 मीटर नाखून पैदा करती है,सोशल मेडिसिन की रिपोर्ट के मुताबिक बढ़े हुए नाखून से टाईफाइड,इसहाल,पेचिस,हैज़ा आंतों में कीड़े और सूजन का मर्ज़ हो जाता है,तिब्बी उसूल के मुताबिक पेट के कीड़ों के अंडे अक्सर नाखून की जड़ में ही पोशीदा होते हैं अगर नाखून साफ ना किये जायें तो खाने के साथ ये जरासीम पेट के अंदर चले जाते हैं जिससे पेट में कीड़े पैदा होने का पूरा अमकान रहता है,जो औरतें नाखून बड़ा रखने की शौकीन होती हैं उनमें अक्सर खून की कमी पाई जाती है