Hadeeth (Muslim, h:78, 240) (Nisai, h:5018)

21th Ramadan Yawm E Shahadat Imam Ul Mutaqeen,Maula E Kainat,Sher E Khuda,Amirul Momineen Syadana Hazrat Ali Murtaza (KarramAllahu Taala Wajhul Kareem).

Hazrat Ali (عليه السلام) Se Rivayat Hai Ke RASOOL ALLAH (ﷺ) Ne Mujh Se Wada Kiya Ke Ae Ali Tere Sath Siwaye Momin Ke Koi Muhabbat Nahi Karega Aur Siwaye Munafiq Ke Tere Sath Koi Bugz Nahi Rakhega.
(Muslim, h:78, 240)
(Nisai, h:5018)

Advertisement

Hadeeth Dushmane Ahle Bayt hone ki wajah se Allah Ta’aala Uski Ibadat ko Radd Farmakar use Yahudiyo ke Saath Uthayega

Dushmane Ahle Bayt hone ki wajah se Allah Ta’aala Uski Ibadat ko Radd Farmakar use Yahudiyo ke Saath Uthayega.

📝Hadrat Jabir Bin Abdullah رضی اللہ تعالی عنهما riwayat Bayan Karte hain ke Rasool Allah Ne Hume Khutba Irshad Farmaya ,Aap صلی اللہ تعالی علیه وآله وسلم farma rahe they

‎من أبغضنا أھل البیت حشرہ اللہ یوم القیامته یهودیا. فقلت : یا رسول اللہ صلی اللہ تعالی علیه وآله وسلم! و ان صام و صلی؟ قال: و ان صام و صلی.

Ya’ani Jisne Hum Ahle Bayt ke Saath Bugz rakha to Roze Qayamat Uska Hashr Yahuduiyo ke saath hoga. Maine Arz kiya Ya Rasool Allah صلی اللہ تعالی علیه وآله وسلم! Agarche wo Roza rakhe aur Namaz bhi Padhe? Aap صلی اللہ تعالی علیه وآله وسلم ne Farmaya : Haa Agarche wo Roza rakhe aur Namaz bhi Padhe uske bawajud Dushmane Ahle Bayt hone ki wajah se Allah Ta’aala Uski Ibadat ko Radd Farmakar use Yahudiyo ke Saath Uthayega.

📚References:-

📚”Mu’jamal Awsat Jild 4 Hadeeth Number 4002″

📚”Majmuah Az-Zawaid Jild 9 Safah 172″

Hadeeth Maola Ali Ka Ummat Par Haq

*Maola Ali Ka Ummat Par Haq*
“Hazrat Jabir Bin Abdullah Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiye Karim SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Irshaad Farmaya :
Maola Ali KarramAllahu Waj’hah-ul-Karim Ka Haque Ummat Par Aise Hai Jaisa Baap Ka Haque Aulaad Par Hota Hai.”

[Daylami Fi Al-Firdaws Bi-Mathoor Al-Khitab, 02/132, Raqam-2674,
Al-Muttaqi Al-Hindi Fi Kanz Al-‘Ummal Fi Sunan Al-Aqwal Wa-Al-Af’al, Raqam-45473,
Al-Muttaqi Al-Hindi Fi Kanz Al-‘Ummal Fi Sunan Al-Aqwal Wa-Al-Af’al, Raqam-4949.]

Hadeeth अमीरूल मोमिनीन सैय्यदना मौला अली

✔ अमीरूल मोमिनीन सैय्यदना मौला अली ✔

✔ हज़रत हुज़ैफा यमनी रदिअल्लाहो अन्हो से रिवायत है के हुज़ूर नबी ए अकरम सल्लल्लाहो अलैहे वा आलेही वा सल्लम ने इरशाद फ़रमाया : अगर लोगों को ये मालूम होता के ” अली ” का नाम ” अमीरुल मोमिनीन ” कब रखा गया तो हरगिज़ ” अली ” की फ़ज़ीलत का इंकार ना करते ” अली ” का नाम उस वक़्त ” अमीरुल मोमिनीन ” रखा गया के जब ” आदम अलैहिस्सलाम ” रूह और जिस्म के दरमियान थे उस वक़्त अल्लाह रब्बुल इज़्ज़त ने अरवाह को मुख़ातिब कर के फ़रमाया : मैं तुम्हारा रब हूँ और मुहम्मद (सल्लल्लाहो अलैहे वा आलेही वा सल्लम) तुम्हारे नबी हैं और ” अली ” तुम्हारे ” अमीर ” हैं

✔ हवाला :- क़ुतुब ए अहलेसुन्नत :- मुसन्द अल – फिरदौस जिल्द 2 पेज 197 हदीस नंबर 5104 बाब अल- लाम
मुसन्निफ़:- इमाम दैल्मी ✔