Meraj un Nabi صلى الله عليه وسلم

WhatsApp Image 2020-03-22 at 6.06.36 PMWhatsApp Image 2020-03-22 at 6.06.40 PMWhatsApp Image 2020-03-22 at 6.09.06 PM

Meraj ki itni Alag Alag Riwayaten kyu?
“Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki Hasti-e-Muqaddasa ke Goshe 3 hain, so Meraj ke Marhaley bhi 3 banaye gaye! Pehla Marhala Masjid-e-Haram se Masjid-e-Aqsa tak, Ye Huzoor ki Bashariyat ki Meraj thi. Dusra Marhala Masjid-e-Aqsa se Sidratul Muntaha tak, ye Huzoor ke Nooraniyat ki Meraj thi. Aur Teesra Marhala Sidratul Muntaha se Qaaba Qausaine Aou Adna tak, Ye Huzoor ke Haqiqat ki Meraj thi!
Lekin Tafseel bhi zyada pehle hisse ki batayi Quran-e-Majeed ne, kyunke jinko sunaya bataya jaraha hai, unko samjh he isi hisse ki aani hai!
Ek aadmi jab safar pe jaata hai, bada jaame safar karta hai, wo waha jaake shahaan-e-mamlukat aur badshaho se, prime minister, president se bhi meetings karta hai, wuzara se bhi karta hai unke mahallat bhi dekhta hai, fir unki zaraat ka mutaala karta hai, unki industry bhi dekhta hai, unke chamber of commerce me bhi jata hai, unki trade bhi dekhta hai, unki productions bhi dekhta hai, economy bhi dekhta hai, fir unke defense me jaata hai, defense bhi dekhta hai ke kya kya defense ki taqat hai, technologies kitni hai wo bhi dekh aata hai saara. Is tarah Taleem keliye universities dekhta hai colleges dekhta. To goya beshumar juda juda goshe hain, un saaro ka ek hamagir daura karke Mushahada karke wapis aata hai. Waapas karke aapb aapke paas aagaya, ab tarah tarah ke log usse puchne aate hain ke aap bada daura karke aaye hain to kuch hame bhi sunayen. Ab ek wafad aaya wo asateza, teachers ka wafad hai, ab ulama asateza ko wo defense aur economy ki tafsilat nahi bataega. Kyunke wo dekhega ke mere mukhatib is waqt asateza, ulama hain, to wo jo usne taleemi idaro aur nizam-e-taleem ka muayana kiya safar ke dauran, uski tafsilaat unke saamne zyada bayan karega! Baaki chize ijmaalan kehdega.
Uske baad uske saamne scientist aagaye, unke saamne technology aur science ki tarakki ke goshe zyada bayan karega, baaki chize kum bayan karega! Fir teesra wafad aagaya taajiro, businessmen, industrialists ka, unhone aake pucha ke sunayen, to usne fir wahaki technology ka industry ka trade ka bayan karega, export import ka bayan karega. Economist aaye to unko economy ki tafseel bataega. Fir siyasat daano ka wafad aagaya, to unko wahaki parliament ki baat bataega, assembiles ki bataega, political system ka bataega, legislature ka batayega.
Al garaz usne daure me sab kuch dekha magar zaruri nahi ke har sunne waale ko sab kuch batade! Ye jawab hai bahotse sawalo ka! Log kehte hain ke us Hadees me to ye bayan nahi hu, usme ye bayan nahi hua, fula me ye bayan nahi hua, fula jagah to ye nahi farmaya, fula Hadees aayi hai usme to ye tazkira nahi kiya! Arey Meraj ko samjhna ho tamam Ahadees ko samne rakho to Waqiya-e-Meraj samjhme aata hai! Isliye ke Tajdar-e-Kainat jab Meraj ki Shab Subh uthe to dhadadhad kafile aane lage! Abu jahal bhi aagaya, abu lahab bhi aagaya, kuffar bhi aagaye Quraish bhi aagaye, munkireen bhi aagaye, ab unhe kya khabar ke aasman kya hai, Maala-e-Aala kya hai, Sidratul Muntaha kya hai! Jab wo aaye to unhe fakat Masjid-e-Haram se Masjid-e-Aqsa tak ki khabar dedi! JItna wo jante they Shaam ke mulk me safar keliye jaate they tijarat karte they, to Baytul Maqdis me bhi aana jana tha, jitni khabar thi unko utna kuch bata diya. Fir aur log aagaye, jo log usse upar se kuch aagah they unhe upar ki khabar dedi. Aasman-e-duniya ka batadiya, Dusre ko dusre Aasman ka, teesre ko saatwe Aasman ka. Jinki fikr ki parwaaz Sab,a Samawat tak pahunchne waali thi, unko saat Aasman ki sair ka batadiya. Aur jinke fikr aur Maarifat ki Parwaaz Fauqas Samawat Sidratul Muntaha tak thi unhe Sidratul Muntaha ki khabar dedi!
Aur Jo Log Usse Aage samjhne waale, jab Abu Bakr aagaye, Umar aagaye, Ali aagaye, Unhe Kareeb bithakar Qaaba Qausian aur La-Makan ki Khabar dedi!!”
(Isliye itni alag alag riwayaten hai Meraj ki, jab saari riwayaat samne rakhi jaayen, tab jaake Meraj kuch samjhme aayega!)
SallAllahu Alaihi wa Ala Aalihi wa Sahbihi wa Baarik wa Sallim
-Shaykh-ul-Islam Dr. Tahir-ul-Qadri
Allahumma Salle Ala Sayyedina wa Maulana Muhammadiw wa Ala Aalihi wa Sahbihi wa Baarik wa Sallim

 

 

 

Allah ne Quran me farmaya ke Shab-e-Meraj me Qaaba Qausain e Aou Adna ke Intehayi Qurb o Wisaal ke Muqaam par Usne Apne Habib (SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam) ko Wahi Farmayi: “Fa Aou Ha Ila Abdihi ma Aouha” yaani “Usne Apne Abde Mukarram par Wahi Farmayi Jo Wahi Farmayi”. (Surah Najm)

Hazrat Abdullah ibn Akeem RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Huzoor Nabi Kareem SwallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne irshad farmaya ke
“Allah Ta’ala ne Shab-e-Meraj wahi ke zariye Mujhe Ali ki 3 sifaat ki khabar di hai
1. Wo tamam momin ke Sardar hain.
2. Muttaqin ke Imam hain
3. Aur (Qayamat ke roz) Noorani chehre waalon ka Quaid honge.”

(KarramAllahu Wajhahul Kareem)

-Tabrani: al-Mu’ajam al Sageer 2/88

Allahumma Salli wa Sallim Ala Sayyedina Muhammadiw wa Ala Aali Sayyedina Muhammadin Ala Qadree Muhabbatika Feeh.

WhatsApp Image 2020-03-22 at 9.02.19 PM

Leave a comment