۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
✦ Hadith: Roman Urdu ✦
Jabir (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke Allah Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya:
“Aisi Auratoun ke paas naa jao jin ke Mahram(Shohar) unke saath naa ho kyun ke Shaitan aadmi ke andar khoon ki tarha gardish karta rehta hai.”–Jami` at-Tirmidhi 1172
✦ हिंदी हदीस: शैतान आदमी के अंदर खून की तरह गर्दिश करता है।
जाबिर (रज़ी अल्लाहु अन्हु) से रिवायत है के अल्लाह के रसूल (सलल्लाहो अलैहि वसल्लम) ने फ़रमाया:
“ऐसी औरतो के पास ना जाओ जिनके मेहराम (शोहर) उनके साथ ना हो, क्यूंकि शैतान आदमी के अन्दर खून की तरह गर्दिश करता रहता है।”–जामे अत तिर्मिज़ी ११७२
✦ English Hadith : Shaytan flows through men like blood.
Jabir narrated that The Prophet (ﷺ) said: “Do not enter upon Al-Mughibar (the women whose husband are absent), for indeed the Shaitan flows through one of you as the blood flows.”
–Jami` at-Tirmidhi 1172
Day: June 8, 2019
Shohar Par Biwiyon Ke Huquq Kya Hai ?
✦ Hadith: Biwiyon ke Huqooq ✦
Muawiyah al-Qushayri (R.A.) se riwayat hai ki Main RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ki khidmat me hazir hua aur pucha ki ‘Hum par Apne Biwiyon ke kya huquq hain.’
Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne Farmaya:“Jo tum khud khatey ho unko (Apni biwiyon ko) bhi Khilao aur jaisey (Achchey) Kapdey tum pehantey ho unko bhi pehnao aur unko maaro nahi aur unko bura na kaho (yani unki insult na karo, gaali na do).”
✦ हदिस : बीवियों के हुकूक ✦
मुआवियाह अल-कुशायरी (र.अ.) से रिवायत है के मैं रसूलअल्लाह (सलल्लाहु अलैहि वसल्लम) की खिदमत में हाजिर हुआ और पूछा की ‘हम पर अपने बीवियों के क्या हुकूक है ?’
आप (सलल्लाहु अलैहि वसल्लम) ने फ़रमाया:“जो तुम खुद खाते हो उनको(अपनी बीवियों को) भी खिलाओ और जैसे (अच्छे) कपडे तुम पहनते हो उनको भी पहनाओ और उनको मारो नहीं और उनको बुरा न कहो (यानी उन्हें गाली न दो)”
✦ Hadith: Wife’s right on Husband ✦
Narrated Mu’awiyah al-Qushayri: I went to the Messenger of Allah (ﷺ) and asked him: What do you say (command) about our wives?
He replied:“Give them food what you have for yourself, and clothe them by which you clothe yourself, and do not beat them, and do not revile them.”
Jab Koi Biwi Apne Shohar Ko Takleef Deti Hai Tou
✲ Hadith: Muaz bin jabal (Razi’Allahu Anhu) se riwayat hai ke, Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya:
❝ Dunia mein jab koi Biwi apne Shohar ko takleef deti hai tou, Jannati hooron mein se uski Biwi kehti hai: “Allah tujhe barbaad kare! usey takleef na de. Ye tou tere paas mehman hai. Qareeb hai ke ye tujhe chorh kar hamare paas pahunch jaye.❞
– (Silsila Ahadees-e-Sahiha 2012)
– (At-Tirmidhi; Arabic/English book reference: Book 1, Hadith 287)
मुआद बिन जबल (रज़ी अल्लाहु अन्हु) से रिवायत है के, अल्लाह के रसूल (ﷺ) ने फ़रमाया,
❝ दुनिया में जब कोई बीवी अपने शोहर को तकलीफ देती है तो जन्नती हूरों में से उसकी बीवी कहती है ‘अल्लाह तुझे बर्बाद करे! उसे तकलीफ न दे, ये तो तेरे पास मेहमान है। क़रीब है के तुझे छोड़कर हमारे पास पहुँच जाये। ❞
– (सिलसिला अस सहीहा 2012)
– (अत तिरमिज़ी, अरबी/अंग्रेजी हवाला, किताब 1, हदिस 287)
وعن معاذ بن جبل رضي الله عنه عن النبي صلى الله عليه وسلم قال: “ لا تؤذي امرأة زوجها في الدنيا إلا قالت زوجة من الحور العين لا تؤذيه قاتلك الله! فإنما هو عندك دخيل يوشك أن يفارقك إلينا” ((رواه الترمذي وقال حديث حسن)).
Mu’adh bin Jabal (May Allah be pleased with him) reported:
The Prophet (ﷺ) said, “Whenever a woman harms her husband in this world (that is without any due right), his wife among the (Houris in Jannah) says: ‘You must not harm him. May Allah destroy you! He is only a passing guest with you and is about to leave you to come to us”.
– (At-Tirmidhi; Arabic/English book reference: Book 1, Hadith 287)
Behatreen Aurat Ki Sifat Aur Pehchan
✦ Behtarin Aurat Ki Sifat
Abu Hurairah (Razi’Allahu Anhu) se riwayat hai ki, Rasool’Allah (ﷺ) se pucha gaya ki, “Behatreen Aurat kaunsi hai ?.” Tou Aap (ﷺ) ne farmaya: “Wo Aurat jisko uska Shohar jab dekhe tou wo usko khush kar de, aur jo hukm wo (Shohar) usko de wo uski farmabardari kare Aur Apne Nafs aur Daulat me uske khilaf koi kaam na kare.”
– (Sunan Nasaii, Jild 2, 1143-Sahih)
✦ Behtarin Aurat Ki Pehchan
Rasool’Allah (ﷺ) se daryaft kiya gaya ki ‘Behtarin Aurat ki Pehchan kya hai ?’ tou Aap (ﷺ) ne farmaya – “Jo Aurat apne Shohar ki Ita’at wa farmabardari kare.”
– (Nisaai Sharif: Jild-2, Page-364)
✦ Jannati Aurat ki Pehchaan
Allah ke Rasool (ﷺ) ne ek roz Sahaba-e-Kiraam se irshad farmaya ki “kya mai tumhe Jannati Aurat ke baare me na bataoun?” tou Sahaba ne Arz Kiya “Aye Allah ke Rasool! zaroor batayen!”
tou Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya ki “Har wo Aurat Jo Shohar se bohot Mohabbat karne wali, zyada bacche jan’ne (paida karne) wali, Jab uska shoher naraaz ho tou wo apne shohar ke hath me hath deker kahe ki “Uss waqt tak is jagah se nahi hilungi jabtak ki aap mujhse raazi nahi ho jayege!”
– (Sukoon-A-Khana, Pg-130-31)
✦ Jannat ki Aurton aur Hooron ki khubi
!!! Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!!
❝ Agar tum Allah se darne wali ho tou baat me ‘Naram’ Andaaz na ikhtiyar karo ke dil ki kharabi me mubtala koi shakhs laalach me pad jaye.
– (Al-Quraan : Sura-e-Ahzab 33:32)
❝ Jannat ki Aurto’n aur Hooro’n ki khaas khubi ye hai ke woh Nigaahe’n neechy rakhne wali hain.
– (Al-Quraan : Sura-e-Rehman)
❝ Aur apni Zeib-O-Zeenat zahir na Karei’n siwaaye uske Jo azkhud zahir ho jaye.
– (Al-Quraan : Sura-e-Noor :24:31)
❝ Jo Aurat Namaz padhe, Roze rakhe, apni Izzat ki hifazat kare, Shohar ki Ita’at kare, wo Jannati hai.
– (Ibne Habban)
Koi Aurat Apne Shohar Se Kisi Bhi Aurat Ka Huliya Bayan Na Kare
Hadith: Roman Urdu
Abdullah-bin-Mas’ud (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
“Koi Aurat kisi Aurat se mil kar Apne Shohar se uska (Parayi Aurat ka) Huliya na bayan kare goya ke wo usey dekh raha hai.”– (Sahih Bukhari; Hadith 5240)
✦ Hadith: English
Narrated `Abdullah bin Mas`ud: The Prophet (ﷺ) said, “A woman should not look at or touch another woman to describe her to her husband in such a way as if he was actually looking at her.”
– (Sahih Bukhari; Hadith 5240)