Behatreen Aurat Ki Sifat Aur Pehchan

Jannati-Aurat-ki-Pahchan✦ Behtarin Aurat Ki Sifat

Abu Hurairah (Razi’Allahu Anhu) se riwayat hai ki, Rasool’Allah (ﷺ) se pucha gaya ki, “Behatreen Aurat kaunsi hai ?.” Tou Aap (ﷺ) ne farmaya: “Wo Aurat jisko uska Shohar jab dekhe tou wo usko khush kar de, aur jo hukm wo (Shohar) usko de wo uski farmabardari kare Aur Apne Nafs aur Daulat me uske khilaf koi kaam na kare.”
– (Sunan Nasaii, Jild 2, 1143-Sahih)


✦ Behtarin Aurat Ki Pehchan

Rasool’Allah (ﷺ) se daryaft kiya gaya ki ‘Behtarin Aurat ki Pehchan kya hai ?’ tou Aap (ﷺ) ne farmaya – “Jo Aurat apne Shohar ki Ita’at wa farmabardari kare.”
– (Nisaai Sharif: Jild-2, Page-364)


✦ Jannati Aurat ki Pehchaan

Allah ke Rasool (ﷺ) ne ek roz Sahaba-e-Kiraam se irshad farmaya ki “kya mai tumhe Jannati Aurat ke baare me na bataoun?” tou Sahaba ne Arz Kiya “Aye Allah ke Rasool! zaroor batayen!”
tou Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya ki “Har wo Aurat Jo Shohar se bohot Mohabbat karne wali, zyada bacche jan’ne (paida karne) wali, Jab uska shoher naraaz ho tou wo apne shohar ke hath me hath deker kahe ki “Uss waqt tak is jagah se nahi hilungi jabtak ki aap mujhse raazi nahi ho jayege!”
– (Sukoon-A-Khana, Pg-130-31)


✦ Jannat ki Aurton aur Hooron ki khubi

!!! Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!!

❝ Agar tum Allah se darne wali ho tou baat me ‘Naram’ Andaaz na ikhtiyar karo ke dil ki kharabi me mubtala koi shakhs laalach me pad jaye.

– (Al-Quraan : Sura-e-Ahzab 33:32)

❝ Jannat ki Aurto’n aur Hooro’n ki khaas khubi ye hai ke woh Nigaahe’n neechy rakhne wali hain.

– (Al-Quraan : Sura-e-Rehman)

❝ Aur apni Zeib-O-Zeenat zahir na Karei’n siwaaye uske Jo azkhud zahir ho jaye.

– (Al-Quraan : Sura-e-Noor :24:31)

❝ Jo Aurat Namaz padhe, Roze rakhe, apni Izzat ki hifazat kare, Shohar ki Ita’at kare, wo Jannati hai.

– (Ibne Habban)

Advertisement

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s