Hadith Al-Safinah

The Holy Prophet (pbuh&hp) said:
“The parable of my Ahlul bayt is that of the boat of Noah, whoever
gets aboard it is saved and whoever stays away from it is
drowned.”
Sunni References:
Al Hakim in his Mustadrak, ii, 343, iii, 150:

  • Abu Nuaym in Hilyat al Awliya’, iv, 306;
  • al Khatib in Ta’rikh Baghdad, xii, 19;
  • al Suyuti in al Durr al Manthur (al-Matba`at al Maymaniyyah, Egypt, 1314), under verse 2:58;
  • al Muttaqi in Kanz al Ummal, i, 250, vi, 216;
  • al Haythami in Majma` al Zawa’id, ix, 167, 168;
    al Muhibb al Tabari in Dhakha’ir al Uqba, 20; al Manawi in Kunuz al?Haqa’iq, 132.
Advertisement

Hadith Al-Munasabah

The Holy Prophet (pbuh&hp) said:
“Whoever contests Ali in regard to the khilafah is an unbeliever.”
Sunni Refernces:

  • Ibn al Maghazili in his Manaqib (Tehran), p.45, from Abu Dharr al Ghifari,
  • Allamah Ayni Hyderabadi in Manaqib Sayyidina Ali (Alam Press, Charminar), p.52, from al Khatib
    al Khwarazmi and Ibn al Maghazili.

Iblees ka Par-pota.

Iblees ka Par-pota

“Sayyeduna Farooq-e-Aazam, Sayyeduna Anas ibne Maalik aur kai Sahaba (RadiAllahu Anhum) riwayat karte hain ke ek bahot budha shakhs usne chadi ka sahara liya hua tha, wo Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki Bargah me haazir hua. Aur usne Jinnat ki aawaz aur labo lehje me baat ki. Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne usey uski (JInnat waali) zubaan (language) me pucha Ay Jinn! Batao jinnat ke kis qabiley se ho?
Us Jinn se Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam uski boli aur uski lehje me baat karrahe hain! Aaqa ko JInnat ke Qabaeel bhi malum hain.

Usne kaha: Mai iblees ka parpota (great grandson) hun! Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya apna nasab batao. Usne kaha:
Ana Haam bin Heem bin Laqees bin ibless! (Mai Haam hun Heem ka Beta, wo Laqees ka beta aur wo iblees ka beta)

Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya tumhare aur tumhare pardada iblees ke darmiyan sirf 2 waastey hain ek tumhara baab aur ek dada. Usne kaha Ji haan ek Mera baab aur ek dada.

Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne pucha apni umr ka haal batao. Usne kaha: Jab kabeel ne Hazrat Habeel ko Shaheed kiya tha to Mai chotasa bachha tha Mujhe wo waqiya yaad hai.

Fir Haam bin Heem ne kaha: Mai fir Sayyeduna Ibrahim Alaihissalam par Imaan le aaya. Aur jab Unhe aag me daala gaya wo manzar dekha aur Mai aag bujhaane ki koshish karta tha. Fir Sayyeduna Musa Alaihissalam par Imaan le aaya. Fir Unke baad Sayyeduna Isa ibne Maryam Alaihi-mussalam pe Imaan le aaya.

Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam se Wo guftagu karraha hai Apne Imaan ki puri Daastan suna raha hai. Sayyeduna Musa Alaihissalam ki Bargah me gaya Unhone mujhe Torat padhayi aur sikhayi. Sayyeduna Isa Alaihissalam ki Khidmat me gaya Unhone mujhe Injeel padhayi aur sikhayi.

Ab Wo Haam bin Heem kehta hai: Ya RasoolAllah Aapki Bargah me aaya hun, Mere paas ek Paigam hai. Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya kya. Usne kaha Jab Isa Alaihissalam ki Majlis me Mai baith ta tha to Isa Alaihissalam ne Farmaya tha ke:
Haam bin Heem Mere baad Sab Nabiyo ke Sardar Aane Waale hain! Qul Kainat-e-Nabuwwat o Risalat ke Peshwa aane waale hain! Jab Huzoor (SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam) Tashreef laayen Tu zinda hoga aur jab tu Unki Bargah me jaaye to Mera Aajizana Salaam pesh karna! Aaqa, Isa Alaihissalam ne Aapko Salam kehalwa bheja hai!
Hadees me aata hai Imam Siyuti, Imam Tabrani, Imam Behaqi aur Aaimma-e-Tafseer-o-Hadees likhte hain ke Ye Salam Sunkar Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki Aankho se Aansu Rawa Hogaye. Allah ka Shukr Ada Kiya aur Kaha Haam bin Heem Tumpar bhi aur Mere Bhai Isa par Mera Salam ho!

Jab saari baat hochuki to uske baad Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne pucha tumhari koi haajat hai, koi cheez Mujhse chahte ho? Usne kaha Ya RasoolAllah (SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam) mai Aap par Imaan laaya hun Mujhe Quran padha dijiye aur sikha dijiye. Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne 10 Suraten Quran-e-Majid ki Usko Padha di.

Imam Raazi Tafseer Kabir me aur Imam Abu Hafs al Hanbali, Al-Lubaab me likhte hain ke Sayyeduna Farooq-e-Aazam RadiAllahu Anhu farmate hain ke Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ka Wisaal Hogaya, Uske baad Hamne Usey kabhi nahi dekha. Wo Kehte hain Mera Khayal nahi Mujhe malum nahi Wo Zinda hai ya Fout hogaya hai, magar Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Ki Bargah me Uski Haazri hoti aur ye waqiya hua.”

-Shaykh-ul-Islam Dr. Tahir-ul-Qadri

Allahumma Salle Ala Sayyedina wa Maulana Muhammadiw wa Ala Aalihi wa Sahbihi wa Baarik wa Sallim.