
Fazail e Maula Ali AlaihisSalam Bayan by Syed Owais Ali.

Rasool-Allah (صلى الله تعالى عليْه وآله وسلمَ) Ne Farmaya Main Tumhe Apni Ahlebait Ke Saat Husne Sulooq Ki Nasiyat Karta Ho Kiyuki Main Inke Baare Mein Qayamat Ke Din Tumse Laduga Aur Jisse Main Laduga Woh Jahannum Mein Jayga!
.
Aap (صلى الله تعالى عليْه وآله وسلمَ) Ne Ye Bhi Farmaya Jisne Meri Tazeem Ke Hawale Se Mere Ahlebait Ki Tazeem Ki, Usne Allah Ki Taraf Se (Jannat Mein Dakhil Hone Ka) Wada Liya Hai.
.
References:
– Al-Sawa’iq al-Muhriqah, by Ibn Hajar al-Haythami, Ch. 11, section 1, pg 231
– Al-Tabaqat, by Ibn Sa’d
– Al-Sirah, by Al-Mala
.
اَللّٰھُمَّ صَلِّ عَلَی سَیِّدِنَا مُحَمَّدٍ وَ عَلَی اٰلِ سَیِّدِنَا مُحَمَّدٍ وَ بَارِکْ وَ س٘لِّمْ
HUZUR E AKRAM ﷺ ne farmaya :*
*”Musalmano ke Gharo me sab se achha Ghar wo he jisme Yateem se achha suluk kiya jaae aur Musalmano ke Gharo me sab se bura Ghar wo he jisme Yateem se bura suluk kiya jaae.”*
📚 *Ibne Maaja Sharif, Jild 5, Hadis No. 3679*
*HUZUR E AKRAM ﷺ ne farmaya :*
*”Jisne Yateem se Sar par ALLAH ki Raza ke liye Hath rakha to uske liye har Baal ke badle jin par uska Hath guzra Nekiya he aur jisne Yateem Bache ya Bachi ke sath Ahsan kiya me aur wo Jannat me in do (Ungliyo) ki tarah honge.”*
📚 *Musnade Imam Ahmed bin Hambal, Jild 8, Hadis No. 22215