
Inna Aliyan munni wa ana minhu.

*29 Jamadi ul Awwal*
*Yaume Wisaal*
*Sahabi e Rasool Saifullah Al Maslool Hazrat Syedna Khalid Bin Waleed Razi Allahu Tala Anhu*
*Aapki Wiladat 592 Esvi Me Makka Sharif Me Hui, Aapka Wisaal 29 Jamadi ul Awwal 21 Hijri Mutabik 642 Esvi Me Hua, Aap Sahabi e Rasool Hain, 3 Hijri Mutabik 628 Esvi Me Sulaih Hudaibiyah Ke Baad Huzoor Sarkar e Do Aalam Hazrat Muhammad Mustafa Sallallahu Alaihi wa Aala Aalehi wa Sallam Ne Aap Ke Bhai Se Farmaya “Khalid Jaisa Aqalmanad Aur Samajdar Shakhs Zada Waqt Tak Islaam Se Door Nahi Reh Sakta, Aapke Bhai Ne Aapko Khat Ke Zarye Islaam Apnane Ke Liye Kha, Aakhir Me Aapne 8 Hijri Mutabik 629 Esvi Me Madina Paak Me Huzoor Alaihis Salam Ki Bargah Me Pahunche Aur Musalman Hue, Jung e Mu’tah Me Hazrat Zaid Bin Haarisa, Hazrat Jafar Bin Abu Talib, Hazrat Abdullah Bin Rawahah Ki Shahadat Ke Bad Aapko Lashkar Ka Sardar Banaya, Aap Bhut Bahaduri Se Lade Aur Jung Ke Doran Aapki 9 Talware Toot Gyi, Phir Raat Me Lashkar Ko Madina Paak Ki Taraf Wapas Lautne Ke Liye Kaha, Dushmano Ke Lashkar Ne Darkar Picha Nahi Kiya, Is Tarha Muslamano Ko Halak Hone Se Bacha Liya, Is Jung Ke Baad Huzoor Alaihis Salam Ne Aapko “Saifullah Al Maslool” Ka Laqab Ata Farmaya, Iske Baad Aapne Fateh Makka, Ghazwa e Hunain, Ghazwa e Ta’if Aur Ghazwa e Tabook Me Hissa Liya, 8 Hijri Me Maah e Ramzan Me Huzoor Alaihis Salam Ne “Uzza” Daivi Ka But Todne Ke Liye Nakhla Bheja, Aur Banu Jazimah Aur 9 Hijri Me Dumatul Jandal Ki Jung Me Aapko Lashkar Ka Sardar Banakar Bheja, 10 Hijri Me Aapko “Wadd” Ka But Todne Ke Liye Dumatul Jandal Bheja, 10 Hijri Me Hajjatul Wida Ke Mauqe Par Aapne Huzoor Alaihis Salam Ke Gesu Mubarak Ko Tabbaruk Ke Taur Par Jama Kiya Aur Iski Barkat Se Aap Hamesha Fatehyaab Hote The, Aapne Bhut Saari Jung Me Fateh Hasil Karke Faaras (Iran), Iraq Aur Shaam Tak Islami Saltanat Phailai, Aapka Mazar Mubarak Homs Syria Me Marjai Khaliak Hain…*
🌾🌾🌾
🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿
*SADQA KAISE KAREIN ?*
🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿
Hazrat Maimoonah Bin Sa’ad
Raziyallahu Anha
Rivayat Karte Hain Ke
Unho Ne Arz Kiya :
Ya Rasoolallah !
Aap Hamein *SADQE* Ke Muta’alliq Batayen ?
*Huzoor Nabi e Akram*
Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam
Ne Farmaya :
Jo Shakhs *Sawab Ki Niyyat* Se,
*Allah Ta’ala Ki Raza* Ke Liye
*SADQA* Karta Hai
Tou Ye (sadqa) Uske Liye
Naar-e-jahannam Se Rukawat Hai …
( Imam Tirmizi )
Ne Isko Rivayat Kiya Hai …
🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿
REFERENCE . . . 📚📚📚
امام ترمذی نے السنن میں
حدیث نمبر ۔ ۔ ۔ 664 ۔ ۔ ۔
اسکو روایت کیا ہے ۔ ۔ ۔
🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿
🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿
🌾🌾🌾hadees e shareef 🌾🌾🌾
🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿
*SADQA KARNE SE KIYA FAIDAH ?*
🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿
*Huzoor Nabi e Akram*
Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam
Ne Farmaya :
*SADQA* Burayi Aur Badd Bakhti Ke
70 Darwazay Band Kar Deta Hai …
( Imam Tabrani )
Ne Isko Rivayat Kiya Hai …
🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿
REFERENCE . . . 📚📚📚
امام طبرانی نے المعجم الکبیر میں
حدیث نمبر ۔ ۔ ۔ 4402 ۔ ۔ ۔
اسکو روایت کیا ہے ۔ ۔ ۔
🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿
*SADQA KARNE KA*
*QABAR WALAUN KO KIYA FAIDAH ?*
🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿
Hazrat Uqbah
Raziyallahu Anhu
Rivayat Karte Hain Ke
*Huzoor Nabi e Akram*
Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam
Ne Farmaya :
*SADQA* Ahel-e-quboor Se
Garmi Ko Khatam Karta Hai …
( Imam Tabrani )
Ne Isko Rivayat Kiya Hai …
🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿
REFERENCE . . . 📚📚📚
امام طبرانی نے المعجم الکبیر میں
حدیث نمبر ۔ ۔ ۔ 787 ۔ ۔ ۔
اسکو روایت کیا ہے ۔ ۔ ۔
🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿
🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿
🌾🌾🌾
🌾🌾🌾
🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿
*KAUNSA SADQA AFZAL HAI ?*
🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿
Hazrat Abu Umamah
Raziyallahu Anhu
Rivayat Karte Hain Ke
Hazrat Abu Zarr
Raziyallahu Anhu Ne Arz Kiya :
*Ya Rasoolallah !*
*KAUNSA SADQA AFZAL HAI ?*
*Huzoor Nabi e Akram*
Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam
Ne Farmaya :
Kisi Tang dast Ko Khufiyah (Chupa Kar) Dena (afzal hai) …
( Imam Ahmed )
Ne Isko Rivayat Kiya Hai …
🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿
REFERENCE . . . 📚📚📚
امام احمد بن حنبل نے المسند میں
حدیث نمبر ۔ ۔ ۔ 22644 ۔ ۔ ۔
اسکو روایت کیا ہے ۔ ۔ ۔
🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿
[🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿
🌾🌾🌾
🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿
*DUNIYA MAY SADQA KARNE SE*
*QIYAMAT KE DIN KIYA FAIDAH HOGA ?*
🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿
Hazrat Uqbah
Raziyallahu Anhu
Rivayat Karte Hain Ke
*Huzoor Nabi e Akram*
Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam
Ne Farmaya :
Momin Qiyamat Ke Din
Apne *SADQE* Ke Saaye Ke Neechay Hoga …
( Imam Tabrani )
Ne Isko Rivayat Kiya Hai …
🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿
REFERENCE . . . 📚📚📚
امام طبرانی نے المعجم الکبیر میں
حدیث نمبر ۔ ۔ ۔ 787 ۔ ۔ ۔
اسکو روایت کیا ہے ۔ ۔ ۔
🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿