Fazail Hazrat Abu Taalib علیہ السلام aur Qabal az Wiladat Maula Ali ka Pas Manzar.”

The virtues of Hazrat Abu Talib علیہ السلام And Conditions before the birth of Maula Ali علیہ السلام. By: Habib Ahmed Al Huseni

Highlights of Speech

Prophet Ibrahim’s علیہ السلام preaching four thousand years ago.

Hazrat Ibrahim علیہ السلام leaving Bibi Hajera and Hazrat Ismail in the desert, on the command of Allah.

Hazrat Ibrahim علیہ السلام built the Kaaba on the command of Allah.

Prayers of Hazrat Ibrahim علیہ السلام.

Allah’s reward for the construction of the Ka’ba to Hazrat Ibrahim علیہ السلام.

Prophet ﷺ given under the guardianship of Hazrat Abu Talib.

Nature of Hazrat Abu Talib علیہ السلام.

When did worship in Cave Hira begin?

Hazrat Abu Talib’s علیہ السلام worship in Cave Hira.

Hazrat Abu Talib’s علیہ السلام advice to the Holy Prophet ﷺ to trade.

Hazrat Abu Talib’s علیہ السلام advice to the Holy Prophet ﷺ to marry Bibi Khadijah.

Hazrat Abu Talib علیہ السلام reciting the marriage sermon of the Holy Prophet ﷺ and paying the Maher.

Allah’s reward to Hazrat Abu Talib علیہ السلام for taking care of Prophet Muhammad ﷺ

Being born in the Ka’bah of Allah is not the virtue of Maula Ali علیہ السلام.

Acceptance by Holy Prophet ﷺ as the guardian of Maula Ali علیہ السلام.

Hazrat Abu Talib علیہ السلام supported the call to Islam.

Moula Ali’s علیہ السلام declaration of support for Nusrat-e-Deen.

The saying of the Holy Prophet یا علی انت ولیی فی الدنیا و الآخرہ

Advertisement

Farmaan~e~Rasoolﷺ Aur Mohabbat Ahle-Bait~e~Athaar

ﺑِﺴْــــــــــــــﻢ ِﷲِﺍﻟـــﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلْـــرَّﺣـــــــــــِﻴﻢ
الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ اللہﷺ

Farmaan~e~Rasoolﷺ Aur Mohabbat Ahle-Bait~e~Athaar رضوان اللہ تعالیٰ علیہم اجمعین

➻◉ Pyaare A’aQa~e~Kareemﷺ Ne Tableeg~e~Risalat Hidayat Par Koi Mua’woza~o~Badla Talab Nahi Kiya Siwaaye Ahle-Qurabat Ya’ani Rishte-Daaro’n Ki Mohabbat Ke…

Hazrat Abdullah Ibne-Abbas رضی اللہ تعالیٰ عنہ Se Riwayat Hai Ke Hamare Pyaare A’aQaﷺ Ne Irshaad Farmaya Aye Logo’n Allah Ta’ala Se Mohabbat Karo Is Liye Ke Wo’h Tumhara Rab Hai Aur Wo’h Tumhe’n Na’yemat~o~Daulat A’ta Farmata Hai Aur Mujh Se Mohabbat Rakho Allah Ta’ala Ki Mohabbat Ki Waja’h Se Aur Meri Ahle-Bait Se Mohabbat Karo Meri Mohabbat Ki Waja’h Se…

📚( Anwaaar-Ul-Bayaan Jild 1 Safa’h 58 )📚

⚘◉ Hazrat~e~Abu-zar رضی اللہ تعالیٰ عنہ Se Riwayat Hai Ke A’aQa~o~Maulaﷺ Farmate Hai’n Mere Ahle-Bait Ko Apne Darmiyaan Wo’h Jaga’h Do Jo Jism Me Sar Ki Aur Sar Me Aankho’n Ki Jaga’h Hai Aur Sar Aankho’n Se Hi Hidayat Paata Hai…

⊰◉ Saiyyad~e~A’alamﷺ Ne Farmaya Mere Ahle-Bait Hauz~e~Kausar Par Ayayenge Aur Mere Ummat Me Se Unse Mohabbat Karne Waale Bhi Unke Saath Aise Honge Jaise Do Ungliya’n Baham Qareeb Hoti Hai’n…

❥◈ Hazrat Abu-Huraira’h رضی اللہ تعالیٰ عنہ Se Riwayat Hai Huzoor~e~Akramﷺ Ne Farmaya Tum Me Se Behtar Shakhs Wo’h Hai Jo Mere Baad Mere Ahle-Bait Ke Liye Behtar Hoga…

⚘◉ Nabi~e~Kareemﷺ Irshaad Farmaate Hai’n Koi Shakhs Us WaQt Tak Momin Nahi Ho Sakta Jab Tak Mai Aur Meri Aulaad Use Uski Jaan Se Ziyada’h Mehboob Na Ho Jaaye’n Aur Use Mujh Se Apni Zaat Se Ziyada’h Aur Meri Aulaad Se Apni Aulaad Ki Ba-Nisbat Ziyada’h Mohabbat Na Ho Jaaye…

☆◉ Rasool~e~Kareemﷺ Ne Farmaya Allah Ta’ala Ke Liye Teen Izzate’n Hai’n Jo Inki Hifazat Karega Allah Ta’ala Uske Deen~o~Duniya Ke Mua’mle Ki Hifazat Farmayega Aur Jo Inki Hifazat Nahi Karega Allah Ta’ala Uske Deen~o~Duniya Ki Hifazat Nahi Farmayega Sahaba-e-Kiraam رضوان اللہ تعالیٰ علیہم اجمعین Ne A’rz Ki Ya Rasool’Allahﷺ Wo’h Kya Hai’n Aapﷺ Ne Farmaya Islaam Ki Izzat Meri Izzat Aur Mere Qurabat-Daaro’n Ki Izzat….

📚( Faza’aeel~e~Sahaba~O~Ahle-Bait Safa’h 53 )📚

پارہائے صحف غنچائے قدس

اہلِ بیتِ نبوت پہ لاکھوں سلام

►◉اللّٰھُمَّہ صَلّ عَلیٰ سَيَّدِنَا وَمَوْلَانَا مُحَمَّدٍ مَعْدِنِ الْجُوْدِ وَاْلکَرَمہِ وَاَلٓہ وَبَارِكْ وَسَلَّمہ اَلصَّلاَۃُ وَالسَّلَامُ عَلَیْكَ سَيَّدی يَا رَسُولَ اللّٰهﷺ صَلَّی اللّٰهُ مَولَی تَبَارَکْ وَتَعْالٰی عَلَيْهِ وَاَلٓہ وَاَلصْحَابِہ وَبَارِكْ وَسَلَّمَ◉◄

➺◉ Sahaba-e-Kiraam رضوان اللہ تعالیٰ علیہم اجمعین Ne Jab Allah Ta’ala Ka Ye Hukm Suna To Darbaar-e-Nabuwwatﷺ Me A’rz Kiya Ya Rasool’Allahﷺ Hame Bataya Jaaye Aap Ke Wo’h Rishte-Daar Kaun Log Hai’n Jinki Mohabbat-O-Ulfat Ham Par Wajib Ki Gayi Hai To Rasool-e-Paakﷺ Ne Farmaya A’li-O-Fatima Aur Hasan-O-Husain رضوان اللہ تعالیٰ علیہم اجمعین Aur Unke Bete Hai’n Ya’ani Saiyyaduna Imaam-e-Hasan Saiyyaduna Imaam-e-Husain رضوان اللہ تعالیٰ علیہم اجمعین Ke Nasle-Paak Qayamat Tak Jitne Aulaad Honge Sab Is Farmaan Me Shaamil Hai’n..

📚( Tafseer Ibne-A’arabi Jild 2 Safa’h 212 )📚

Faza’aeel-e-A’ale-Rasoolﷺ

ﺑِﺴْــــــــــــــﻢ ِﷲِﺍﻟـــﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلْـــرَّﺣـــــــــــِﻴﻢ
الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ اللہﷺ

•✾•••Faza’aeel-e-A’ale-Rasoolﷺ•••✾•

قُلْ لَّا اَسْئَلُکُمُ عَلَیْهِ اَجْرًا اِلَّا الْمَوَدَّۃَ فِی الُقُرْ بٰی

(Para’h 25 Ruku 4 )

{Al-Qura’an}

Tarjuma’h

Tum Farmao Mai Is Par Tum Se Kuch Ujrat Nahi Maangta Magar Qurabat Ki Mohabbat..

⊰◉ Allah Ta’ala Apne Pyaare-Rasoolﷺ Se Irshaad Farmata Hai Aye Habeebﷺ Tum Farmao Ke Mai Is Par Ya’ani Tableeg-e-Risalat Aur Irshaad-O-Hidayat Par Tum Se Kuch A’jr Nahi Maangta Magar Qurabat Ki Mohabbat Ya’ani Mai Tum Se Apne Rishte-Daaro’n Ki Mohabbat Ka Mutalba Karta Hun…

📚(Kanzul-Imaan)📚

⊰◉ Imaam Jalaluddin Seeyuti رضی اللہ تعالیٰ عنہ Ne Durre-Mansoor Me Aur Bahot Se Mufassireen Ne Is A’ayat-e-Kareema Ki Tafseer Karte Hue Hazrat Ibne-Abbas رضی اللہ تعالیٰ عنہ Se NaQl Kiya Hai Ke Sahaba-e-Kiraam رضوان اللہ تعالیٰ علیہم اجمعین Ne A’rz Kiya Ya Rasool’Allahﷺ Aap Ke Wo’h Kaun Se Rishte-Daar Hai’nJinki Mohabbat Ham Par Wajib Hai A’aQa-e-Kareemﷺ Ne Farmaya A’li Fatima Aur Unki Aulaad Ya’ani Saiyyaduna Imaam-e-Hasan Aur Saiyyaduna Imaam-e-Husain رضوان اللہ تعالیٰ علیہم اجمعین…

📚( Barkaat A’ale-Rasoolﷺ Safa’h 219 )📚

➺◉ Sahaba-e-Kiraam رضوان اللہ تعالیٰ علیہم اجمعین Ne Jab Allah Ta’ala Ka Ye Hukm Suna To Darbaar-e-Nabuwwatﷺ Me A’rz Kiya Ya Rasool’Allahﷺ Hame Bataya Jaaye Aap Ke Wo’h Rishte-Daar Kaun Log Hai’n Jinki Mohabbat-O-Ulfat Ham Par Wajib Ki Gayi Hai To Rasool-e-Paakﷺ Ne Farmaya A’li-O-Fatima Aur Hasan-O-Husain رضوان اللہ تعالیٰ علیہم اجمعین Aur Unke Bete Hai’n Ya’ani Saiyyaduna Imaam-e-Hasan Saiyyaduna Imaam-e-Husain رضوان اللہ تعالیٰ علیہم اجمعین Ke Nasle-Paak Qayamat Tak Jitne Aulaad Honge Sab Is Farmaan Me Shaamil Hai’n..

📚( Tafseer Ibne-A’arabi Jild 2 Safa’h 212 )📚

✤◉ Imaam-Sadi رضی اللہ تعالیٰ عنہ Bayaan Karte Hai’n Ke Jab Imaam Zainul-A’abideen رضی اللہ تعالیٰ عنہ Ko Qaid Kar Ke Da-MashQ Laaya Gaya Aur Raaste Me Ek Jaga’h Khada Kiya Gaya To Ek Shaami Zaalim Ne Aap رضی اللہ تعالیٰ عنہ Se Kaha Khuda Ka Shukr Hai Jisne Tumhe’n Qatl Kiya Aur Tumhaari Jado’n Ko Kaata Aur Fitna-Giri Ko Mitaya (Ma’az’Allah Summa Ma’az’Allah) To Aap رضی اللہ تعالیٰ عنہ Ne Us Shasmi Zaalim Se Farmaya Kya Tune Qura’an-e-Paak Ki Wo’h A’ayat Nahi Padhi.

قُلْ لَّا اَسْئَلُکُمُ عَلَیْهِ اَجْرًا اِلَّا الْمَوَدَّۃَ فِی الُقُرْ بٰی

To Us Zaalim Ne Kaha Kya Wo’h Tum Log Ho To Aap رضی اللہ تعالیٰ عنہ Farmaya Ha’n Bila-ShaQ-O-Shuba Wo’h Log Ham Hain…

◄◉ Hazrat-e-Allama Imaam Yusuf Bin Isma’aeel Nibhaani رضی اللہ تعالیٰ عنہ Is WaQi’ye Ko Bayaan Karne Ke Baad Likhte Hai’n Ke Mai Us Shakhs Ko Imaan Waala Nahi Samajhta Us Shakhs Ke Dil Me Imaan Kaise Thaher Sakta Hai Jo Ahle-Bait Ke Shaheed Kiye Jaane Par Khuda Ka Shukr Ada Kare Mai Allahﷻ-O-Rasoolﷺ Ka Us Mulhid Se Ziyada’h Dushman Abu-Jahel Ko Nahi Samajhta…

📚( Barkaat A’ale-Rasoolﷺ Safa’h 222 )📚

◈◉ Aye Imaan Waalo’n Jo Hazraat A’ale-Rasoolﷺ Ya’ani Siyyad Hai’n Unki Ta’azeem Karo Unse Mohabbat Momin Par Wajib Hai Us Jahannami Firke Se Door Raho Jo Saiyyaduna Imaam-e-Husain رضی اللہ تعالیٰ عنہ Ko (Ma’az’Allah Summa Ma’az’Allah) Baagi Aur Hukoomat Aur Daulat Ka Laalchi Kehte Hai’n Jin Nafoos-e-Qudsiya Ki Ta’areef-O-Tauseef Allah Ta’ala Aur Rasool’Allahﷺ Khud Bayaan Kare’n Qura’an-O-Hadees Me Jinke Be-Shumaar Faza’azeel-O-ManaQib Ka Zikr Maujood Hai Farsh Se A’rsh Tak Pura A’alam Mil Kar Unke Muhamid Aur Faza’aeel Ka Zikr Bayaan Karna Chahe’n To Ta’areef-O-Tauseef Ka HaQ A’da Nahi Ho Sakta Yahi Wo’h Hazraat Hai’n Jinki Mohabbat Se Parwana-e-Nijaat Milta Hai Yahi Wo’h Log Hai’n Jinki Mohabbat Wajib Qaraar Di Gayi Hai Yahi Wo’h Log Hai’n Jinki Paakeezgi Teharat Par Qura’an-e-Paak Ne Mohar Laga Di Hai Yahi Wo’h Log Hai’n Jo A’asmaan Rushd-O-Hidayat Ke Chaand-Taare Aur Safeena-e-Nijaat Hai’n Unse Mohabbat Karoge To Beda Paar Hai Aur Agar Unka Saath Chhod Doge To Doob Jaaoge Helaak-O-Barbaad Ho Jaaoge..

📚( Anwaaar-Ul-Bayaan Jild 1 Safa’h 53-54-56-57 )📚

Faza’aeel Ahle-Bait-Athaar

ﺑِﺴْــــــــــــــﻢ ِﷲِﺍﻟـــﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلْـــرَّﺣـــــــــــِﻴﻢ
الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ اللہﷺ

(⚘ Faza’aeel Ahle-Bait-Athaar ⚘)
رضوان اللہ تعالیٰ علیہم اجمعین

◈◉Hazrat Zaid~Bin~ArQam رضی اللہ تعالیٰ عنہ Se Riwayat Hai Ke Rasool~e~Kareemﷺ Ne Farmaya Mai Tum Me’n Aisi Cheez Chhode Jaa Raha Hun Ke Agar Tum Unhe’n Mazbooti Se Pakde Rahoge To Mere Baad Gumra’h Nahi Hoge Unme Se Ek Dusri Se Bahot A’zmat Waali Hai Ya’ani Allahﷻ Ki Kitaab Jo A’asmaan Se Zameen Tak Latki Hui Rassi Hai Aur Mere Ahle-Bait Aur Ye Dono’n Har-Giz Alag Nahi Honge Yaha’n Tak Ke Hauz~e~Kausar Par Mujhe Milenge Pas Khayaal Rakhna Ke Tum Mere Baad Inse Kya Sulook Karte Ho…

📚(Faza’aeel Sahaba~o~Ahle-Bait Safa’h 52 )📚

⊰◉ Huzoor Saiyyaduna Maula-e-Ka’ayenaat کَرَّمَہ اللّٰہُ تَعَالٰی وَجْھَهُ الْکَرِیْم Farmaate Hai’n Apni Aulaad Ko Teen Chize’n Sikhao Apne Nabiﷺ Ki Mohabbat Aapﷺ Ke Ahle-Bait Ki Mohabbat Aur Qura’an-e-Paak Ki Mohabbat…

📚( Faza’aeel Sahaba~o~Ahle-Bait Safa’h 52 )📚

➻◉ Pyaare A’aQa~o~Maulaﷺ Irshaad Farmaate Hai’n Us Zaat Ki Qasam Jiske Qabze Me Meri Jaan Hai Ham Ahle-Bait Se Koi Bughz Na Rakhe Warna Allah Ta’ala Use Jahannam Me Daakhil Farmayega…

📚( Faza’aeel Sahaba~o~Ahle-Bait Safa’h 53 )📚

✾◉ Sarkaar~e~Do-A’lamﷺ Ne Irshaad Farmaya Jisne Mere Ahle-Bait Par Zulm Kiya Aur Mujhe Meri Aulaad Ke Baare Me Aziyat Di Us Par Jannat Haraam Kar Di Gayi….

📚(Faza’aeel Sahaba~o~Ahle-Bait Safa’h 53 )📚

❥◉ Hazrat Ibne-Abbas رضی اللہ تعالیٰ عنہ Se Riwayat Hai Ke A’aQa~e~Kareemﷺ Ne Irshaad Farmaya Agar Koi Shakhs Ka’abe Ke Ek Goshe Me Aur MaQaam~e~Ibrahim Ke Darmiyaan Chala Jaaye Aur Namaaz Padhe Aur Roza’h Rakhe Phir Wo’h Shakhs Mar Jaaye Is Haal Me Ke Wo’h Shakhs Ahle-Bait Se Bughz-o-Dushmani Rakhta Hai To Wo’h Shakhs Jahannam Me Jaayega…

📚( Anwaaar-Ul-Bayaan Jild 1 Safa’h 39 )📚

◄◉ Hazrat Abdullah Ibne-Mas’ood رضی اللہ تعالیٰ عنہ Se Riwayat Hai Ke Pyaare Mustafa-Kareemﷺ Ne Irshaad Farmaya Mere Ahle-Bait Se Ek Din Ki Mohabbat Pure Saal Ki Ibadat Se Behtar Hai Aur Jo Shakhs Usi Mohabbat Par Mar Gaya Wo’h Shakhs Jannat Me Daakhil Ho Gaya…

📚( Anwaaar-Ul-Bayaan Jild 1 Safa’h 39 )📚

༄◉ Shaikh~e~Akbar Muhiyuddin Ibn-Ul-A’rabi رضی اللہ تعالیٰ عنہ ManaQib~e~Ahle-Bait Ke Baare Me Likhte Hai’n Ahle-Bait Ke Saath Tum Kisi MakhlooQ Ko Barabar Na Karo Kiyun Ke Ahle-Bait Hi Ahle-Siyadat Hai’n Aur Unki Dushmani Insaan Ke Liye HaQiQi Ghata Hai Aur Unki Mohabbat~o~Ulfat Ibadat Hai…

📚( Anwaaar-Ul-Bayaan Jild 1 Safa’h 46 )📚

༺◉ Hazrat Imaam~e~Rabbani Mujaddid~e~Alfe-Saani رضی اللہ تعالیٰ عنہ Ahle-Bait Ki Shaan Me Farmaate Hai’n Ahle-Sunnat Ke NazdeeQ Ahle-Bait Ki Mohabbat Imaan Ka Juz Hai Aur Khaatme Ki Salamati Ahle-Bait Ki Mohabbat Par MauQoof Hai Ahle-Bait Ki Mohabbat To Ahle-Sunnat Ka Sarmaya Hai…

📚( Anwaaar-Ul-Bayaan Jild 1 Safa’h 46 )📚

✤◉ Jo Shakhs Ahle-Bait Ki Mohabbat Par InteQaal Kiya Usne Shahadat Ki Maut Paayi..

✤◉ Aaga’h Ho Jaao Jo Shakhs Ahle-Bait Ki Mohabbat Par Mara Us Shakhs Ke Tamaam Guna’h Bakhsh Diye گے..

✤◉ Hoshiyaar Ho Jaao Jo Shakhs Ahle-Bait Ki Mohabbat Par InteQaal Kiya Wo’h Tauba Kar Ke Mara..

✤◉ Aaga’h Ho Jaao Jo Shakhs Ahle-Bait Ki Mohabbat Par InteQaal Kiya Wo’h Kaamil Imaan Ke Saath Faut Hua..

✤◉ Gaur Se Sun Lo Jo Shakhs Ahle-Bait Ki Mohabbat Par InteQaal Kiya Ijra’aeel ( علیہ السلام ) Aur Phir Qabr Ke Farishte Jannat Ki Basharat Dete Hai’n..

✤◉ Ha’n Sun Lo Jo Shakhs Ahle-Bait Ki Mohabbat Par InteQaal Kiya Wo’h Shakhs Aisi Izzat Ke Saath Jannat Me Le Jaaya Jaayega Jaise Dulhan Ko Dulha Ke Ghar Bheja Jaata Hai..

✤◉ YaQeen Jaan Lo Jo Shakhs Ahle-Bait Ki Mohabbat Par InteQaal Kiya Uski Qabr Me Jannat Ke Darwaze’h Khol Diye Jaate Hai’n..

✤◉ Achhi Tara’h Jaan Lo Jo Shakhs Ahle-Bait Ki Mohabbat Par InteQaal Kiya Allah Ta’ala Uski Qabr Ko Rehmat Ke Farishto’n Ke Liye Ziyarat-Ga’h Bana Deta Hai..

✤◉ Aaga’h Ho Jaao Jo Shakhs Ahle-Bait Ki Mohabbat Par InteQaal Kiya Wo’h Shakhs Maslak~e~Ahle-Sunnat Jama’at Par Faut Hua..

📚( Tafseer~e~Kabeer Jild 7 Safa’h 390 )📚
📚( Barakaat~e~A’al~e~Rasoolﷺ Safa’h 223 )📚

⚘◉ Khoob Gaur Se Sun Lo Jo Shakhs A’al~e~Rasoolﷺ Ke Bughz Par Mara Wo’h Qayamat Ke Roz Is Haal Me Aayega Ke Uske Aankho’n Ke Darmiyaan Likha Hoga Ke Allah Ta’ala Ki Rehmat Se Na-Ummid…

⚘◉ Khabar-Daar Jo Shakhs A’al~e~Rasoolﷺ Ke Bughz-o-Dushmani Par Mara Wo’h Shakhs Kaafir Mara..

⚘◉ Kaan Khol Kar Sun Lo Jo Shakhs A’al~e~Rasoolﷺ Ke Bughz-O-A’dawat Par Mara Wo’h Jannat Ki Khushbu Se Mehroom Hoga..

📚( Tafseer~e~Kabeer Jild 7 Safa’h 390 )📚

📚( Barakaat~e~A’ale-Rasoolﷺ Safa’h 224 )📚

༺◉ Aye Imaan Waalo’n Ye Ina’am~o~Ikraam Sunni Musalmaano’n Ke Liye Hai’n Jo Ahle-Bait-Athaar Aur A’aQa~e~Kareemﷺ Ke Rishte-Daaro’n Se Mohabbat-O-Ulfat Rakhte Hai’n Aur Wo’h Log Jo Ahle-Bait Aur Sadaat~e~Kiraam Se Bughz-o-Dushmani Rakhte Hai’n Wo’h Bade Bad-Naseeb Aur Jahannam Ke HaQ-Daar Hai’n..

📚( Anwaaar-Ul-Bayaan Jild 1 Safa’h 58-59 )📚

کس زباں سے ہو بیاں مدح خوانِ اہلِ بیت

مدح گوئے مصطفیٰ ﷺ مدح خوانِ اہلِ بیت

بے ادب گستاخ فرقہ کو سنا دے اے حسن

یوں کہا کرتے ہیں سنی داستان اہلِ بیت

صلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم
رضوان اللہ تعالیٰ علیہم اجمعین

►◉اللّٰھُمَّہ صَلّ عَلیٰ سَيَّدِنَا وَمَوْلَانَا مُحَمَّدٍ مَعْدِنِ الْجُوْدِ وَاْلکَرَمہِ وَاَلٓہ وَبَارِكْ وَسَلَّمہ اَلصَّلاَۃُ وَالسَّلَامُ عَلَیْكَ سَيَّدی يَا رَسُولَ اللّٰهﷺ صَلَّی اللّٰهُ مَولَی تَبَارَکْ وَتَعْالٰی عَلَيْهِ وَاَلٓہ وَاَلصْحَابِہ وَبَارِكْ وَسَلَّمَ◉◄