
*_1_*
_Qura’an Kya Kahta Hai Maula Ali ع Kon ?_
*_Ayat 01:_*
*_﷽_*
قُل لَن يُصيبَنا إِلّا ما كَتَبَ اللَّهُ لَنا هُوَ مَولانا ۚ وَعَلَى اللَّهِ فَليَتَوَكَّلِ المُؤمِنونَ
*_“Tum Farmao Hume Na Pahuchega Magar Jo Allah Ne Hamare Liye Likh Diya, Wo Hamara Maula Hai, Aur Musalmano Ko Allah Hi Par Bharosa Chahye”_*
_(Al Quran Surah 09 Tawbah Ayat : 51)_
*_Ayat 02 :_*
*_﷽_*
بَلِ اللَّهُ مَولاكُم ۖ وَهُوَ خَيرُ النّاصِرينَ
*_“Beshak Allah Tumhara Maula Hai aur Sabse Badkar Madadgaar Hai”_*
_(Surah Al Imraan Ayat 150)_
*_In dono upar bayan karda Ayat Me Padhe To Pata Chalega_* _Lafz Maula_ *_Allah ﷻ Ne Apne Liye Farmaya Ke Mai Maula Hoon Maula Hona Allah ﷻ ki Sifaat Hai To Wahabi Kharji Aur Nasbi Yehi Aayat Pesh Karte Hai Aur Kehte Milenge Dekho Maula Allah ki sifaat hai Aapne Bando Ko Maula maan Liya hai par Laa ilmi muttala ki kami hai ab aaye Dekhe Aage Qura’an ki Aayat Bina Dakar Hazam kar jaate Hai Ab Aage Padhe Allah ﷻ Ne Aur Kisko Maula Banaya Hai._*
_Ayat 03 :_
*_﷽_*
ا *_ا عَلَيهِ فَإِنَّ اللَّهَ هُوَ مَولاهُ وَجِبريلُ وَصالِحُ المُؤمِنينَ ۖ وَالمَلائِكَةُ بَعدَ ذٰلِكَ ظَهيرٌ_*
_“To Beshak Allah Unka Madadgaar Hai Aur Jibril Aur Nek Imaan Waale Aur Iske Baad Farishte Madad Par Hai”_
*_(Surah No 66 Surah Tahrim Ayat 04)_*
_Is Aayat e Mubarika me Allah ﷻ Ne Musalmano Ke Liye Apne Bando Ko bhi Maula Kaha Hai Nek Imaan waale Zibril ع Bhi Ab Bataye kya Nek Imaan waalo me Maula Ali ع Nahi Hai ?_
*_Kya Natiza Niklega is Aayat Aur Upar Bayan karda 02 Aayat ka Maane ye niklega k Allah ﷻ Ka Maula hona Uski Apni SIFAAT Jaati hai Aur Bando Ka Maula Hona Allah ﷻ Ki Ata Se Hai._*
_Pata Chala Qura’an ki wo 03 Aayat Me Maula Allah ﷻ Hai Aur Bando ko Bhi Maula Bana Diya Hai Allah ﷻ Ne par Ab Aaye Dekhe Qura’an Me Ke Ye Badmazhab Maula Maante Kyu Nahi Bando Ko Khud Ayat e Mubarika ne saaf saaf khol diya hai bas Padhe Aur Aina Dekh Le Hum Tabseera Nahi karnge Yaha._
*_Ayat 04 :_*
*_﷽_*
ذٰلِكَ بِأَنَّ اللَّهَ مَولَى الَّذينَ آمَنوا وَأَنَّ الكافِرينَ لا مَولىٰ لَهُم
*_“Aur Isliye Ke Musalmano ka Maula Allah Hai Aur Kafiro ka Koi Maula Nahi”_*
_(Al Quran Surah 47 Muhammad Ayat :11)_
*_Samajh Aagaya Ke Maula Unka Nahi Hai Jo Kaafir Hai Imaan Waalo Ke Liye Allah ﷻ Bhi Maula Hai Aur Maula Ali ع Bhi Maula Hai Aur jinke Pass imaan hi Nahi Hai unka koi Maula Nahi hai._*
_Likha To Saaf Hai Bas Padh Ke Samajhne ki Der Hai.

*_2_*
_Jiska Mai ﷺ Maula Hun USKA Ali ع Maula Hai_
*_Hadees_*
_Hazrat Shuaba Bin Kuhayl رض Se Riwayat Karte Hai Ki Maine Abu Tufail رض Se Suna Ki Abu Sareeha رض Ya Zayd Bin Arqam رض Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabi E Akram ﷺ Ne Farmaya :_
*_مَنْ كُنْتُ مَوْلاَهُ فَعَلِيٌّ علی مَوْلاَهُ_*
_Jis Ka Mai ﷺ Maula Hun Us Ka_
_Ali Maula ع Hai.”_
_References :-_
*_📚(Jamai Tirmizi ,Vol :05, Pg :📖 398, Kitab 📗 No 49_*
*_📚Kitabul Manakib, Hadees : 4078 “English No : 3713)_*
_Is Hadees Ko Beshumar Muhadiseen Ne Apni Apni Kutoob e Hadees Me Alag Alag isnaad ke saath Likha Magar Ye Sabne Nakl Kiya Hai Agar Sirf Hawale Dene Lag Jaaye To Aap is post mein Hawale Bhi Na Gin sake to isliye maine Hindi mein bhi post banaya hai usmein bhi bahut jyada Hawale [Reference] Diye Hai yaha Chand Hawala Mulahiza kare._
_Reference :-_
*_📚(Imam Nasai Al Khasais E Ali Ibn Abu Talib Pg 📖:44, Hadees : 33)_*
*_📚(Imam Hakim Al Mustadrak ,Vol :03, Pg 📖: 34, Hadees : 4652)_*
*_📚(Imam Tabrani Al Mujam Ul Kabir, Vol : 12, Pg 📖 : 470, Hadees : 12593)_*
*_📚(Imam Tabrani Al Mujam Ul Ausat, Vol : 01, Pg 📖:229, Hadees : 348)_*
*_📚(Imam Tabrani Jamee Us Sageer Vol : 01, Pg 📖 :171)_*
*_📚(Imam Ahmad Ibn Hambal Al Musnad, Vol : 01, Pg 📖 : 570, Hadees : 959)_*
*_📚(Imam Abdul Razzaq Al Musannaf Vol : 11,Pg 📖 :225, Hadees :20238)_*
*_📚(Al Musannaf Ibn Abi Shayba Vol : 06, Pg 📖 : 602, Hadees : 32072)_*
*_📚(Imam Ibn Asim As Sunnah Vol :02, Pg 📖 :602, Hadees :1354)_*
*_📚(Imam Shashi Al Musnad Vol : 01, Pg 📖 :165, Hadees :106)_*
*_📚(Imam Hussamul Hindi Al Kanjul Ummal Vol : 11, Pg 📖 :602, Hadees :32904)_*
*_📚(Imam Ibn Aseer Usadul Ghabah Fi Marifat E Sahaba Vol : 04, Pg 📖 : 103)_*
*_📚(Allama Ibn Kathir Al Bidayah Wan Nihayah Vol : 04, Pg 📖 : 169)_*
*_📚(Imam Zahbi Siyar An Nabula Vol : 02, Pg 📖 : 623)_*
*_📚(Ahlehadees Ke Sabse Bade Muhadis Shaykh Albani Ne_*
*_Silsila Al Hadees As Sahih Vol : 04, Pg 📖 : 331, Hadees : 1750)_*

*_3_*
_Imam Ali Ibne Abu Talib ع Ko_
_Moula Ali ع Kahna Kaisa Hai? Aur Maula Ali ع Se Bughz Rakhne Wale koun Log Hai?_
*_Rasool Allah ﷺ Apni Wafaat Se Taqreeban Dhai Se Teen Maheene Pahele Ek Khudba Diya Jo Ahle Sunnat Aur Ahle Tashyho ke Yaha Common Paya Jata Hai, Iss Hadees ko Ghadheer E Khum Ki Hadees Kahte Hai,._*
_Ahle sunnat ke Yaha 4 Hadith Sahi muslim Me Fazail E Ali wale Chapter Me, 📚6225/6226/6227/6228 Number Ahadeese Hai._
*_Huzoor ﷺ Ne Hajjtul Wida Se Wapsi Par 18Zill Hijja Ko Khum Naami Gaovn Me Paani ke Liye Padav Kiya Aur Huzoor ﷺ Concluding Guftagu Waha par Ki, Aur Huzoor ﷺ ke Liye Ount ki Palang ka Intezam Kiya Gaya, Sarkar e Madina ﷺ Ne Sahaba Ikram رض ko Mukhatib Kiya Aur Kaha Agah Ho Jao Mai Bhi Ek Insan Hu Qareeb Hai Ke Allah ﷻ ka Qaseeb Yaani Mouth Ka Farishta Mere Pass Aaye Aur Mai Uski Dawat Qubool Karlu Har Shaks ko Duniya Se Jana Hai Mujhe Bhi Jana Hai, Mai Apney Baad Tum’Me Do Bhari Cheeze Chodkar Jaa Raha Hu Unmse Paheli 1 Cheez Allah ﷻ Ki Kitab Qura’an Hai Isme Hidayat Hai, Isme Noor Hai, Tumm Allah ﷻ ki kitab ko Pakdo , Apna Talluq Iss Kitab Se Mazboot Karo, Allah ﷻ Ki Kitab ,Allah ﷻ Ki Rassi Hai Jo Ise Pakdega Wo Hidayat Par Hoga, Aur Jo Ise Chod Dega Wo Gumrah Ho Jayega,.(“Waiaatasimoo Bihabli Allahi Jameea Aan Wala Tafarraqoo”…. Qura’an: Sura Aal-e-Imran, Chapter- 3 Ayaat- 103) Yeh Hai Allahﷻ ki Rassi,._*
_Phir Zaid Ibn Arkam رض Kahte Hai Ke Aaqa e Do Jahan ﷺ Hame Targheeb Dilate Rahe Allah ﷻ Ki Kitab, Allah Kitab , Allah ﷻ Ki Kitab , Uske Baad Huzoor ﷺ Ne Irshad Farmaya Dusri Cheez_ *_(2) Bhari Cheez Mere Ahle Baith ع Hai,_* _Mai Apne Ahle Baith ع Ke Mamle Me Tumhe Allah ﷻ Ka Khouf Dilata Hu , Mai Apne Ahle Baith ع Ke Mamle Me Tumhe Allah ﷻ ka khouf Dilata Hu ,Mai Apne Ahle Baith ع Ke Mamle Me Tumhe Allah ﷻ Ka Khouf Dilata Hu. (Lekin Ummat Nahee Dari)._
*_Ek Aur Hadees Hai_*
*_📚 Mustardak Hakeem kitabul ilm Chapter Me 318 Number Sanad Hasan, Ke Huzoor ﷺ Ne Farmaya Mai Apne Baad 2 Aisi Cheeze chodi ja raha hu jise Tum Mazbooti Se Pakad Loge Kabhi Gumrah Nahi Honge,_*
_1. Allah ﷻ ki kitab(qura’an)_
_2.Dusri Rasool Allah ﷺ Ke Ahle Baith ع_
*_Yeh Hajjatul Wida Par Apne Farmaya Thah ,._*
_Lekin Jo Ham Ghadeer E Khumm Ki Baat Karr Rahe Hai Wo Hajjatul Wida ke Bhi Baad Ka khudba Thah, Sahi Muslim 4 Ahadeese Allah ﷻ ki kitab ko Mazbooti Se Pakadna , Aur Mai Apne Ahle Baith ع ke Mamle Me Tumhe Allah ﷻ ka Khouf Dilata Hu Darata Hu, Aur Mere Ahle baith ع ke Sath Husn E Suluk karna, Lekin Ummat Ne Ahle Baith ع Ka Wo Hashr Kiya ke kisi Nabi Ki Ummat Ne Apne Nabi ke Maan Ne Walo Ke Sath Yeh Nahi Kiya, Kafiro Ne Zaroor Kiya ,Lekin Yeh Ek Unique Misal Hai Musalmano Ne Jo Namazo Me Allah’humma SalleAla Mohammad Wala Aaley Mohammed Padhte Rahe Aur Aley Mohammed ع ko Hi Zibah karr Diye(Auzubillahi Tala). Mai Apne Ahle baith ع Ke Mamle Me Tumhe Allah ﷻ ka khouf Dilata Hu Darata Hu, ._
*_Aur Baqi Kitabo Me Yeh Hadees Is’se Bhi Agey Chalti Hai Sahi Sanad Ke Sath,_*
*_📚Tirmidhi Hadees Number-3713 /_*
*_📚 Musnad Ahmed No.19321 /_*
*_📚 Sunan Nasai Al Kubra No. 8478 /_*
*_📚 Imam ibn Asim No.1158 ,._*
_Aur Shaykh Albani Ne Apni Kitab Silsila Al Hadees As Sahih Vol : 04, Pg : 331, Hadees No: 1750) Sur Shaik Albani Ne Yehi Hadees Ke Kamaskam 22 Turk 22 Sahaba Se Liye Aur Kaha Ke Yeh Hadees, Hadith e Mutawatira Hai Ghadeer E Khum Ki Hadees.._
*_Aur Shaik Zubair Ali ؒ Ne Bhi Mishkat ki Tehqeeq ke Dauran 6091 Number Hadees Aur 6300 Number Hadees Ke Foot Note Par Likh Diya Hai Ke Yeh Hadees, Hadith E Mutawatira Hai , Aur Yeh Agey Bhi Chalti Hai, Phir Huzor ﷺ Ne Surah Ahzab ki Ayaat 6 Tilawat Ki_*
_{“An-Nabiyyu aAwlaa Bil Mu’mineena min Anfusihim wa Azwaajuhoo Ummahatuhum” }_
*_Tarjuma Paighambar (ﷺ) Momino Par Khud Un Se Bhi Zyaada Haq Rakhne Waale Hai Aur Paighambar (ﷺ) ki Biwiya Momino ki Maaye Hai) ,_*
_Phir Aaqa e Do Jahan ﷺ Ne Sahaba ke Samne Mukhatib Hokar Kaha Ghadheer e Khum Par, “Aye Mere Sahaba Iss Ayaat Ki Roshni Me Tum Gawahi Dete Ho Allah ﷻ Tumhara Rabb Hai? Sabne kaha Bala Yaa Rasool Allah ﷺ (Haan) Kyu Nahee! , Phir Huzor ﷺ Ne Farmaya Kya Tum Allah ﷻ Aur Uske Rasool ﷺ ko Sabse Badhkar Mahboob Mante Ho Iss Ayaat ke Tehat? Sabne kaha Haan, kyu Nahee! Phir Tajdar e Madina ﷺ Ne Moula Ali ع Ka Haat Apne Haat Me Pakda Aur Haat Ko Buland Kiya Aur Farmaya :_
*_من کنت مولا فہذا علی مولا_*
_Main ﷺ Jiska Maula Hun_
_Ali ع Uske Maula Hai_























































