
*7 Zil Hajj*
*1329th Yaume Shahadat*
*Aaimma e Ahle Baith Ke 5we Imaam Tajdar e Imamat wa Wilayat Aale Rasool Aulad e Mola Ali o Syyeda Batool Dilbar e Imaam Hussain Jigar Gosha e Imaam Zainul Aabedin Baaqir ul Uloom e Huda Hazrat Syedna Mola Imaam Muhammad Baqar (Alahis Salam)*
*Aapki Wiladat 1 Rajab ul Murajjab 57 Hijri Mutabik 676 Esvi Ko Madina Paak Me Hui, Aapki Shahadat 7 Zil Hajj 114 Hijri Mutabik 28 January 733 Esvi Ko Hui, Aap Mola e Kaynat Hazrat Syedna Mola Imaam (Ali Alaihis Salam) Ke Parpote Imaam e Aalimaqaam Hazrat Syedna Mola Imaam Hussain (Alaihis Salam) Ke Pote Aur Sayyed us Sajideen Hazrat Syedna Mola Imaam Ali Al Zainul Aabedin (Alahis Salam) Ke Shahzade Aur Tajdar e Imamat wa Wilayat Hazrat Syedna Mola Imaam Jafar Sadiq (Alaihis Salam) Ke Walid e Majid Hain, Aap Aaimma e Ahle Baith e Pak Ke 5we Imaam Hain, Imaam e Aazam Abu Hanifa Hazrat Noman Bin Sabit (Razi Allahu Tala Anhu) Bhi Apke Shagird Hain, Aapka Mazar Mubarak Jannatul Baqi Sharif, Madina Pak, Saudia Arabia Me Marjai Khaliak Hain…*

1 Rajjab Yaume Wiladat ★ 7 Zilhija Yaume Shahadat Hazrat Sayyedna Imam Baqir a.s
Apka name mohammed or laqab baqir hai apky walid imam zainul abden a.s hai apki waleda ka name fatima bint hasan hai. ap 5 imam hai. imam azam abu hanifa, or imam zohri imam ozai, imam ibn jura jayse bade bade aqabir ulema apky shagird the. kufa ky kuch log hazrat abu bakar or hazrat umar se bugz rakhte the to imam baqir ne farmaya mai un se bara’at zahir krta hu hamara ayse logo se koi tallok nahi.or farmaya jo shakas hazrat umar or hazrat abu bakar se mohabbat nahi rakhta wo shakas kabhi sunnate rasool se wakifiyat nahi rakh sakta.ulema farmate hai jis tarah har waliallah ksi nabi ki shabih hota hai usi tarah imam baqir hazrat suleman a.s or hazrat idrea a.s ki shabih hai..imam baqir sharik karbala the us wakat apki umar dhai saal ki thi..ek khusosi fazelat ye hai ky hazrat jabir r.z ko huzor a.s ne farmaya tha tum hussain ky bete ko bhi
dekho ge or usk bete ko bhi dekho ge jiska name mohammed or laqab baqir hoga. tum us se mera salam kahna..ulema farmate hai ky sahabie rasool hazrat jabir bahoot zaif the magar hazrat baqir ki dast bosi farmate..aap warise uloom ahle bait hai.. ek shaks ne ap se sowal kiya ky bataiye wo kon sa roza hai jisme khane pene ki ijazat hai to ap ne farmaya wo hazrat mariyam ka roza hai jisme khane ki ijazat hai per baat krne ki ijazat nahi… fir ap se pucha gaya wo kon si chez hai jo kam hoti hai badti nahi aap ne farmaya wo insan ki umar hai… isi tarah badshahe wakat ne imam baqir a.s ko sham bulaya or us ne socha k apki kasre shaan ki jae or us ne socha ky apko teer andazi to nahi ati ho gi per mai unko hukm dunga imam baqir mana krte rahe per hadd darja isar per jab teer andazi me shirkat ki to tamam nishane sahi jaga lage or log farte mohabbat me apko kandho pe utha liye the.. ahle bait wo shaksiyat hai jo dilo pe hukomat karte hai.isi waja se wakat ky hukmuran ko hamesha khuf rahta tha ky inko ksi tariq se shahed kr diya jae..apko banu umaiya k hukmuran hisham bin abdul malik ky hukm se ibrahim bin waleed ne apko zaher diya jis se aap shaheed hoe..imam bukhari ne 112 imam muslim ne 19 sunan tirmizi 23 sunan nisai me 56 abudawd me 17 ibn maja me 24 musnade imam ahmed me 56 hadis imam baqir a.s se li gai hai..jabir bin zaid jofi ne ap se 50 hazar hadis sunn ky yaad ki. ap se pucha gaya k apki bayan krda hadis ki sanad kya hai to ap ne farmaya ky mera shijra nasab.. hazrat umar r.z ky azad krda gulam hazrat nafe ko jab hukmorane wakat ne kaha ky inka imtehan lo sowal krk to tawret, zabur, injel, quran, charo se ap ne mudalal jawab diye to hazrat nafe ne kaha kaye hukmurane wakat mai ne roe zamin per in se bada alim nahi dekha. hazrat abu bakar siddiq r.z ki per poti apki zawja thi..57 saal ki umar me aap shahed kiye gae apki qabar anwar sayyeda fatima zahra s.a k pahlo me jannatul baqi madina me hai.
🌟 _*AZMAT WO SHAN IMAM BAQIR A.S*
*7 ZILHAJ YAUME SHAHADAT*
Jarah bin malih ne janabe jabir joafi se suna unk pas
👉🏻IMAM BAQIR A.S KI 70 HAZAR HADIS HAI JO SAB KY SAB RASOOL ALLAH SE RIVAYAT KI GAI HAI…
ref:- MUSLIM SHARIF hadis no 55
🌟Hazrat jabir bin abdullah r.z se Rasool Allahﷺ ne
IMAM BAQIR KA ZIKR KIYA OR FARMAYA KY
👉🏻 *IN SE HAMARA SALAM KAHNA* OR IMAM BAQIR KY LIYE BAKEEZA OR KASRAT SE AULAD KI DUA FARMAI…
👉🏻Is baat ko code krky FAZILE BARELI IMAM AHMED RAZA R.A KAHTE HAI *AAIME AHLE BAIT KI BASHARAT IS DUA ME SHAMIL HAI*
👉🏻 _Ref:- FATWAE RAZVIYA JILD 26_