Zikr e Hazrat Abu Zar Ghifari Radiallahu anhoo.

Sahabie Rasool Hazrat Sayyedna Abu Zar Gifari r.z

Hazrat Abu Zar Gifari r.z Pyare Nabi a.s Ky Bahot Chahite the. aap jalilul qadar sahabi hai. mecca me 5 muslman aap hoe. aap kabila banu gaffar se the. ap ka name jundab bin junab tha. apka laqab shaikul islam hai.apky shagirdo me hazrat anas bin malik r.z or hazrat abu hurairah jaysi shaksiyat hai. hazrat ali farmate hai abu zar apne seene me ilm ka samandar samoe

hoe hai. imam hasan hussain inhe apna chacha kahte the. hazrat abu zar gifari ne 281 hadis rivayat ki hai jisme se 12 muttafq alay hai. gazwae tabook ky mauk pe apka unt bemar pard gaya lehaza aap kafile se peche rah gae the magar ap ne saman ko apne uper hi le kar tabook ky liye nikal pade ..khayal rahe madina se tabok 700km hai. apko dekh kar Rasool Allah

a.s ne farmaya abuzar akela hi aya hai akela hi rahe ga or akela hi wisal kre ga..or hazrat usman gani r.z k daur me ap madina se hijrat krk kareb ki basti me tanhai or gurbat me sari zindagi guzari..pyare nabi a.s ko in se itni mohabbat thi ky jab kabhi mahfil me nahi dekhte to puch liya krte.. or ek khas fazelat ye hai ky jab pyare nabi wisal farma rahe the to inko bulaya or apne seene se lagaya tha.apki fazelat me hadis hai ky hazrat abdullah bin umro se rivayat hai Rasool Allah s.a.w.m ne farmaya asman ne ksi pe saya nai kiya or zamin ne ksi ko na uthaya jo zada saccha ho abu zar gifari se (yani ap ki sacchai ki gawahi nabi a.s ne diye). or ek rivayat hai.. malik bin masrar ne apne walid ka ye bayan naqal kiya ky hazrat abuzar gifari r.z farmate hai rasool allah a.s ne farmaya abu zar se zada sacche lahze wala or wada wafai krne wala nahi dekha. Ye Hazrat Esa a.s se mushabehat rakhte hai.. hazrat umar faroq r.z ne farmaya kya ham unko ye fazelat se agah kr

den to huzor a.s ne farmaya ha. ref:- hakim al mustadrak. apka markad madina se kareb rabza k mukam pe hai..

Advertisement