Hazrat Abdullah Bin Abbas (Radi Allahu Anhu) Bayaan Karte Hai Ke Jab Hazrat Umar Bin Khattab (Radi Allahu Anhu) Kaa Janaza Takht Par Rakha Gaya To Log Inke Gird Jama’a Ho Gaye, Woh Unke Haq Me Duwa Karte, Tehseen Aamez Kalmaat Kehte Aur Janaza Uthaye Jane Se Bhi Pehle Un Par Salwaat (Yaani Duwa) Padh Rahe They, Mein Bhi Un Logo Me Shamil Tha, .. Achanak Ek Shakhs Ne Mere Kandhe Pe Hath Rakha, Mene Ghabrakar Mud Ke Dekha To Wo Hazrat Ali (عليه السلام) They, .. Unhone Hazrat Umar (Radi Allahu Anhu) Ke Liye Rehmat Ki Duwa Ki Aur Kaha : Ae Umar !! Aapne Apne Baad Aesa Koi Shakhs Nahi Choda Jiske Kiye Huey Aamaal Ke Saath Mujhe Allah Taala Se Mulakat Karna Pasand Ho , Bakhuda Mujhe Yakeen Hai Ke Allah Taala Aapka Darja Aapke Dono Saahibo ( Muhammad (صلى الله عليه وآله وسلم) Aur Abubakar Radi Allahu Anhu) Ke Saath Kar Dega Kyon Ke Mein Huzoor Nabiye Akram (صلى الله عليه وآله وسلم) Se Bakasrat Ye Sunta Thaa, . “Mein (صلى الله عليه وآله وسلم) Aur Abubakar O Umar Aaye” . “Mein (صلى الله عليه وآله وسلم) Aur Abubakar O Umar Daakhil Huey” . “Mein (صلى الله عليه وآله وسلم) Aur Abubakar O Umar Nikle” . Aur Mujhe Yakeen Hai Ke Allah Taala Aapko Isi Tarah Aapke Dono Saahibo Ke Sath Rakhega! . Ye Hadees Mutafik e Aliya Hai Aur Mazkoora Alfaz Imam Muslim Ke Hai — Reference : – Bukhari Fi As-Sahih, Baab e Munaqib e Umar Bin Khattabؓ – Muslim Fi As-Sahih, Fazail e Sahaba, Baba Min Fazail e Umarؓ Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, . اَللّٰھُمَّ صَلِّ عَلَی سَیِّدِنَا مُحَمَّدٍ وَ عَلَی اٰلِ سَیِّدِنَا مُحَمَّدٍ وَ بَارِکْ وَ س٘لِّمْ
Ameer ul Moomineen khalifatul muslimeen Sarkar Sayyedina Umar Farooq Azam Bin Khattab رضي الله تعالى عنه Ki mukhtasar hayat e zindagi Short Biography
Khalifa-E-Doum Janasheen Rasool Allahﷺ Hazrat Sayyedina Umar Farooq-E-Azam رضي الله تعالى عنه Ki Kunniyat “Abu Hafs” Or Laqab “Farooq-E-Azam” Hain.
Aap Ashraf-E-Quresh Main Apni Zati-O-Khandani-O-Wajahat K Lehaz Se Bahot Hi Mumtaz Hain. Aathween(8) Pusht Main Aap Ka Khandani Shijra Rasool Allahﷺ Ke Shijra-E-Nasab Se Milta He.
Aap Waqiya Feel Ke Terah(13) Baras Baad Makka Mukarrama Main Paida Hue Or Elaan-E-Nabuwat K Chhate(6) Saal 27 Baras Ki Umar Main Musharaf Ba Islam Hue Jab Ke Aik Riwayat Main Aap Se Pehle Kul Untalees(39) Admi Islam Qabool Kar Chuke The.
Aap K Musalman Hojane Se Musalmano Ko Be Had Khushi Hui Or Un Ko Aik Bahot Bada Sahara Mil Gaya Yahan Tak K Huzur Rehmat-E-Alam (صلى الله تعالى عليه وآله وسلم) Ne Musalmano Ki Jamat Ke Sath Khana Kaba Ki Masjid Main Elaaniya Namaz Ada Farmai.
Aap Tamam Islami Jung-On Main Mujahidana Shan K Sath Kufar Se Larte Rahe Or Paighambar-E-Islam (صلى الله تعالى عليه وآله وسلم) Ki Tamam Islami Tehrikat Or Sulah-O-Jung Waghera Ki Tamam Mansoba Bandiyon Main Huzur Sultan-E-Madina (صلى الله تعالى عليه وآله وسلم) K Wazeer-O-Musheer Ki Hesiyat Se Wafadar-O-Rafeeq Kaar Rahe.
Ameer Ul Momineen Hazrat Sayyedina Abu Bakar Siddique رضي الله تعالى عنه Ne Apne Baad Aap Ko Khalifa Muntakhib Farmaya Or Das(10) Baras Chhe(6) Maah Char(4) Din Aap Ne Takht-E-Khilafat Par Ronaq Afrooz Ho Kar Janasheen-E-Rasool (صلى الله تعالى عليه وآله وسلم) Ki Sari Zimme Dariyon Ko Ba Husn-O-Jooh Anjam Diya.
26zil Hajj 23hijri Char(4) Shanba K Din Namaz-E-Fajar Main Abu Lolo Firoz Majosi Kafir Ne Aap Ko Shakam Main Khanjar Mara Or Aap Ye Zakham Kha Kar Tisre Din Sharf-E-Shahadat Se Sar Faraz Hogaye. Waqt-E-Wafat Aap Ki Umar Sahreef 63 baras Thi. Hazrat Sohaib (رضي الله عنه) Ne Aap Ki Namaz-E-Janazah Padhai Or Roza Mubaraka K Andar Hazrat Siddique Akbar (رضي الله تعالى عنه) K Pehlo-E-Anwar Main Madfoon Hoye.
(📚Tareekh Alkhulafa)
Al-Fatiha ❤️
🌟 *26 zilhaj YAUME SHAHADAT*
🌹Duae Rasool, Amirul Mominen, fatah baitul muqaddas, Sirajul Janna, Gaizul Munafqeen, Fatah arb wo ajam _*HAZRAT SAYYEDNA UMAR FAROOQ R.Z*_
🌟 *FAZAIL* 🌟 HAzrat uqba bin amir r.z se rivayat hai Rasool Allah ﷺ Ne Farmaya 👉🏻 *_AGR_ MERE BAAD KOI NABI HOTA TO WO UMAR IBN KHATTAB HOTE*
Ref:- mishkat hadis no 6047
🌟hazrat abu huraira r.z se rivayat hai Rasool Allah ﷺ Ne Farmaya 👉🏻 guzishta ummat me log mohaddis hoa karte the *MERI UMMAT KY MOHADDIS UMAR BIN KHATTAB HAI*