
Hazrat Abdullah Bin Abbas (Radi Allahu Anhu) Bayaan Karte Hai Ke Jab Hazrat Umar Bin Khattab (Radi Allahu Anhu) Kaa Janaza Takht Par Rakha Gaya To Log Inke Gird Jama’a Ho Gaye, Woh Unke Haq Me Duwa Karte, Tehseen Aamez Kalmaat Kehte Aur Janaza Uthaye Jane Se Bhi Pehle Un Par Salwaat (Yaani Duwa) Padh Rahe They, Mein Bhi Un Logo Me Shamil Tha,
..
Achanak Ek Shakhs Ne Mere Kandhe Pe Hath Rakha, Mene Ghabrakar Mud Ke Dekha To Wo Hazrat Ali (عليه السلام) They,
..
Unhone Hazrat Umar (Radi Allahu Anhu) Ke Liye Rehmat Ki Duwa Ki Aur Kaha : Ae Umar !! Aapne Apne Baad Aesa Koi Shakhs Nahi Choda Jiske Kiye Huey Aamaal Ke Saath Mujhe Allah Taala Se Mulakat Karna Pasand Ho , Bakhuda Mujhe Yakeen Hai Ke Allah Taala Aapka Darja Aapke Dono Saahibo ( Muhammad (صلى الله عليه وآله وسلم) Aur Abubakar Radi Allahu Anhu) Ke Saath Kar Dega Kyon Ke Mein Huzoor Nabiye Akram (صلى الله عليه وآله وسلم) Se Bakasrat Ye Sunta Thaa,
.
“Mein (صلى الله عليه وآله وسلم) Aur Abubakar O Umar Aaye”
.
“Mein (صلى الله عليه وآله وسلم) Aur Abubakar O Umar Daakhil Huey”
.
“Mein (صلى الله عليه وآله وسلم) Aur Abubakar O Umar Nikle”
.
Aur Mujhe Yakeen Hai Ke Allah Taala Aapko Isi Tarah Aapke Dono Saahibo Ke Sath Rakhega!
.
Ye Hadees Mutafik e Aliya Hai Aur Mazkoora Alfaz Imam Muslim Ke Hai
—
Reference :
– Bukhari Fi As-Sahih, Baab e Munaqib e Umar Bin Khattabؓ
– Muslim Fi As-Sahih, Fazail e Sahaba, Baba Min Fazail e Umarؓ
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad,
.
اَللّٰھُمَّ صَلِّ عَلَی سَیِّدِنَا مُحَمَّدٍ وَ عَلَی اٰلِ سَیِّدِنَا مُحَمَّدٍ وَ بَارِکْ وَ س٘لِّمْ