Hadith e Wilayat aur Hazrat Umar o Hazrat Abu Bakr Radiallahu anhoo.

“Hazrat Saalim Se Riwayat Hai Ki Hazrat Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Sawaal Kiya Gaya : (Kya Waj’h Hai Ki) Aap Hazrat Ali (کرم اللہ تعالیٰ وجہہ الکریم) Ke Saath Aisa (Imtiyazi) Bartaao Karte Hain Jo Aap Deegar Sahaba-E-Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Se (Umooman) Nahin Karte? (Is Par) Hazrat Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne (Jawaaban) Farmaya : Woh (Ali) To Mere Mawla (Aaqa) Hain.”
.
Ise Muhibb-ud-Deen Tabari Ne Riwayat Kiya Hai.
.
Reference :
– Muhibb-ud-Deen Ahmad At-Tabari Fi Ar-Riyad-un-Nadirah Fi Manaqib-il-‘Ashrah, 03/128,
– Ibn ‘Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir, 45/178,
__
“Hazrat Sa’d RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Jab Hazrat Aboo Bakr Siddiq Aur Umar Bin Khattab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ne Hadithe Wilaayat Suni To Hazrat Ali (کرم اللہ تعالیٰ وجہہ الکریم) Se Kehne Lage : Aye Ibn Abi Talib! Aap Har Momin Aur Mominah Ke Mawla Ban Ga’e Hain.”
.
Ise Manawi Ne Riwayat Kiya Hai.

Reference : Manawi Fi Fayd-ul-Qadir, 06/218,
__
“Hazrat Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya : Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Jis Ke Mawla Hain Ali (کرم اللہ تعالیٰ وجہہ الکریم) Us Ke Mawla Hain.”
.
Ise Muhibb-ud-Deen Tabari Ne Riwayat Kiya Hai.

– Muhibb-ud-Deen Tabari Fi Ar-Riyad-un-Nadirah Fi Manaqib-il-‘Ashrah, 03/128,
– Ibn ‘Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir, 45/178,
.
اَللّٰھُمَّ صَلِّ عَلَی سَیِّدِنَا مُحَمَّدٍ وَ عَلَی اٰلِ سَیِّدِنَا مُحَمَّدٍ وَ بَارِکْ وَ س٘لِّمْ

Advertisement

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s