
Hazrat Abdullah Bin Umar (رضئ اللہ تعالی عنہ) Se Riwayat Hai Ke Mein Huzoor Nabi e Akram (صلى الله عليه وآله وسلم) Ke Sath Thaa, Is Douraan Ek Aadmi Huzoor Nabi e Akram (صلى الله عليه وآله وسلم) Ke Paas Aaya Aur Usne Aapke Saath Musafa Kiya To Huzoor Nabi e Akram (صلى الله عليه وآله وسلم) Ne Apna Hath Us Shakhs Ke Hath Se Us Waqt Tak Naa Chudaya,
.
Jab Tak Khud Us Aadmi Ne Aap (صلى الله عليه وآله وسلم) Se Arz Kiya Yaa Rasool Allah (صلى الله عليه وآله وسلم) !!! Hazrat Usman (رضئ اللہ تعالی عنہ) Tashreef Laaye Hai Aap (صلى الله عليه وآله وسلم) Ne Farmaya : ” Wo Ahle Jannat Me Se Hai”
.
Is Hadees Ko Imam Tibrani Ne Almojamul Kabeer Aur Almojamul Oasat Me Byan Kiya Hai.
__
Hazrat Abu Hurairah (رضئ اللہ تعالی عنہ) Bayan Karte Hain Ke Ek Dafa Hazrat Ruqaiyyah Binte RasoolAllah (صلى الله عليه وآله وسلم) Mere Paas Aayin Aur Unke Haath Mein Kangha Tha. Unhone Farmaya: Huzoor Nabi-e-Akram (صلى الله عليه وآله وسلم) Abhi Abhi Mere Paas Se Gaye Hai’n.
.
Maine Aap (صلى الله عليه وآله وسلم) Ke Mubarak Gesu Sanwarey Hai’n. Aap (صلى الله عليه وآله وسلم) Ne Farmaya: (Ay Ruqaiyyah) Tum Abu Abdullah (Yaani Hazrat Usman رضئ اللہ تعالی عنہ) Ko Kaisa Paati Ho? Maine Arz Kiya: Behtareen Insan. Aap (صلى الله عليه وآله وسلم) Ne Farmaya: Uski Izzat Baja Lao, Beshaq Wo Mere Sahaba Mein Se Khuluq Ke Aitabaar Se Sabse Zyada Mera Mushabah Hai’n.”
.
Reference :
-Tabrani, Mujam al Kabir, 1/76, #99
-Imam Hanbal, Fazail-e-Sahaba RadiAllahu Anhum, 1/510, #834
-Haysami, Majma uz Zawaid, 9/81.
.
Hazrat Talha Bin Ubaidullah Se Riwayat Hai Ke Huzoor Nabi e Akram (صلى الله عليه وآله وسلم) Ne Irshad Farmaya :
.
*”Har Nabi Ka Ek Rafeeq Hota Hai Aur Jannat Me Mera Rafeeq Usman Hai”*
.