Hadith Fazail e AhleBayt Tabrani, Mujam al Kabir, 3/41, Hadees no. 2623

“Sayyeduna Maula Ali al Murtaza KarramAllahu Wajhahul Kareem riwayat karte hain Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: “Qayamat ke Din Mai, Ali, Fatimah, Hasan aur Hussain ikatthe baithe honge.
“Wa Man Ahabbana Youm al Qayamah”
“Aur Hum Apne saare Muhibbo (Aashiqo) ko bhi saath bithaenge.”

Acha to Ya RasoolAllah Ahle Bayt ko aur Ahle Bayt ke Muhibbeen, saaro ko ikattha bitha denge to waha Ye baithke kya karrahe honge? Qayamat ka Din Waha to Hisab o Kitab hoga? Kai Meezan par honge kai Pul Siraat par honge, kai Hisab Kitab derahe honge. Ye Saare Ahle Bayt aur Muhibb Aapke Paas Judke baithe honge Majlis me, kya karrahe honge?

SubhanAllah Aaqa ne farmaya: “Na’aqulu wa Nashrib!” “Kha Peerahe honge!”
Sab ki Qayamat hogi aur Ahle Bayt aur Muhibbeen ki Picnic hogi!

Us waqt tak baithe rahenge Unko serve kiya jayega khana peena jab tak baaki log apne hisabo kitab se farig na hojayen!

Aapne andaza kiya! Jannat Saari Inki (Ahle Bayt-e-Pak) ki hai! Jannat me sirf wahi jayega jisko Ahle Bayt se Muhabbat hai!”

SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam
Alaihi-Muswalatu was-Salam

[Reference: Imam Tabrani, Mujam al Kabir, 3/41, Hadees no. 2623]

Allahumma Salli wa Sallim Ala Sayyedina Muhammadiw wa Ala Aali Sayyedina Muhammadin Ala Qadree Muhabbatika Feeh.

Leave a comment