Shan-e-Hazrat Usman Ghani RadiAllahu Anhu

“Hazrat Abu Huraira Radiallahu Anhu Riwayat Karte Hai Kay Ek Dafa’ Ruqayyah Bint Rasool ﷺ Mere Paas Aayi Aur UnKe Haath Me Kangha Tha.
Unhone Farmaya Ki Huzoor Nabi E Akram ﷺ Abhi Abhi Mere Paas Se Gaye Hain.
Mein Ne Aap ﷺ Ke Mubarak Gesu Sanwaare Hain Aap ﷺ Ne Farmaya : Aye Ruqayyah Tum Abu Abdullah (Ya’ni Usman) Ko Kaisa Paati Ho ? Mein Ne Arz Kiya Behtareen Insaan.
Aap ﷺ Ne Farmaya Us Kee Izzat Baja Laao, Beshak Wo Mere Sahaba Me Se Khulq Ke I’tibar Se Sab Se Ziyadah Mere Mushaabih Hai.
References :
(Imam Ahmad Ibn Hanbal Fazail us Sahaba, Vol : 01, Pg : 284, #834)
(Imam Tabarani Al Mu’jam Ul Kabir Vol :01, Pg : 76 #99)
(Imam Abul Abbas Muhibuddin Tabari, Riyaz Un Nazara Vol : 03, Pg : 14)