This Hadith tells the Bughz of Ahele BAYT in hearts of Muwayia
Hazrat Miqdam RadiAllahu Anhu Muawiya Ko Milne Ke Liye Gaye Shaam Me To Muawiya Ne Sayyedna Miqdam Se Kaha Kya Aapko Khabar Hai Ke Sayyedna Hasan Faut Ho Gaye Hain? To Sayyedna Miqdam Ne Ye Sunkar Kaha انا لله وانا اليه راجعون To Muawiya Ne Kaha Ke Miqdam Tu Hasan Ke Marne Ko Ummat Ke Liye Musibat Samajh Raha Hai?
Jab Unhone Ye Baat Suni To Farmaya Ke Mai Hasan Ki Wafat Ko Musibat Kyun Na Samjhun Maine Khud Dekha Ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Sayyedna Hasan Ko Daaye’n Taraf Bithate The Aur Sayyedna Hussain Ko Baaye’n Taraf Bithate The Aur Farmate The Hasan Mujhse Hai Hussain Ali Se Hai
Ye Sunkar Muawiya Ke Ek Chamche Ne Kaha Hasan Ek Aag Ka Angara Tha Jise Allah Ne Bujha Diya (Nauzubillah) To Sayyedna Miqdam Ne Farmaya Allah Ki Qasam Muawiya Tune Mere Dil Ko Aag Laga Di Hai Mai Us Waqt Tak Yahan Se Nahi Uthunga Jab Tak Ke Tujhe Aag Na Laga Dun, Allah Ki Qasam Agar Mai Jhut Bolun To Mujhe Yahan Par Tok Dena Aur Agar Mai Sahi Bolun To Mujhe Bata Dena
Sun Muawiya Mai Tujhe Allah Ki Qasam Dekar Puchta Hun Ke Kya Aaqa Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Nahi Farmaya Tha Ke Sona Mard Ke Liye Haram Hai? Muawiya Ne Kaha Haa’n Farmaya Tha
Fir Kaha Mai Allah Ki Qasam Dekar Puchta Hun Ke Kya Aaqa Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Resham Ko Mard Ke Liye Haram Nahi Farmaya Tha? Muawiya Ne Kaha Haan Farmaya Tha
Phir Farmaya Allahm Ki Qasam Dekar Puchta Hun Ke Kya Aaqa Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Darindon Ki Khaal Pehenne Aur Uspar Sawari Ko Haram Nahi Farmaya Tha? Muawiya Ne Kaha Haan Farmaya Tha.
Sayyedna Miqdam Ne Kaha Muawiya Ye Teeno Haram Kaam Tere Ghar Me Hote Hain Muawiya Ne Kaha Miqdam Mai Pehle He Janta Tha Mai Baato’n Me Tujhse Jeet Nahi Sakta.
(Sunan Abu Dawood, Hadees-4131)
Alyhimusssalam w RadiyaALLAHUtaalaAnhuma


