Diwan Imam Shafai

ان کان رفضاً حب آلِ محمد فلیشهد الثقلان اني رافضي

Agar Aale Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam Se Muhabbat Karna Rifz Hai Toh Jinno Insan Gawah Rahe Ke Mein Rafzi Hun.

(Diwan Imam Shafai)

یا آل بیت رسول اللہ حبکم فرض من اللہ في القرآن أنزله یکفیکم من عظیم الفخر أنکم من لم یصل علیكم لا صلاةله

Aye Aale Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Aapse Muhabbat Rakhna Ba Hukme Quran Ummat Par Farz Hai Tumhara Azeem Ul Martabat Hona Issi Se Samajh Mein Aa Jata Hai Ke Jo Tum Par Salat Na Bheje Uski Namaz He Nahi Hoti.

(Diwan Imam Shafai)

آل النبي ذریعتي وھم الیه وسیلتي ارجو بان اغطی غداً بیدي الیمین صحیفتي

Aaqa Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Paak Aulad Meri Nijat Ka Zariya Hein Aur Inhi Ko Haq Ta’ala Ke Huzur Mein Apna Wasila Manta Hun Mein Ummeed Karta Hun Ke Kal Qayamat Ke Din Inhi Ke Wasile Se Mera Namae Aamal Daaye Haath Mein Diya Jayega.

(Diwan Imam Shafai)

یا راکبا قف بالمحصب من منی واھتف بقاعد خیفها والناهض سحرا اذا فاض الحجیج الی منی فیضا کملتطم الفرات الفائض

Aye Sawar Mani Ki Wadi Mohsab Mein Zara Theher Ja Aur Khaif Bani Kanana Mein Har Qaida O Qaim Ko Awaaz De, Sehri Ke Waqt Jabke Haaji Laut Rahen Ho Mina Ki Taraf Daryae Farat Ki Thathey Marti Huyi Maujon Ki Tarah.

(Diwan Imam Shafai)

إذا في مجلس نذکر عليا وسبطيه وفاطمة الزكية یقال تجاوزوا يا قوم هذا فهذا من حديث الرافضية برئت إلى المهيمن من أناس يرون الرفض حب الفاطمية

Jab Hum Kisi Majlis Mein Sayyedna Ali Ka Zikr Karte Hein Aur Hasnain Karimain Aur Sayyeda Fatima Alayhimussalam Ki Yaad Taza Karte Hein, Toh Kaha Jata Hai Ke Aye logon Isko Chordo Kyunki Ye Rafzi Wali Baatein Kar Raha Hai, Mein Allah Ke Samne Aise Logon Se Barat Zahir Karta Hun Jo Aulade Fatima Se Muhabbat Ko Rifz Samajhte Ho.

(Diwan Imam Shafai)

قالوا ترفضت قلت کلا ما الرفض دیني ولا اعتقادي

Nawasib Ne Ilzam Lagaya Ke Tu Rafzi Ho Gaya Hai Mein Ne Kaha Hargiz Nahi Rifz Mera Deen O Ayteqad Nahi Hai.

(Diwan Imam Shafai)

لکن تولیت غیر شك خیر امام وخیر ھادي إن کان حب الولي رفضاً فإن رفضي الی العباد

Haan Magar Ismein Koi Shak Nahi Ke Maine Apna Mehbub Banaya Hai Ek Acche Peshwa Aur Behtar Rehnuma Ko Agar Allah Ke Kisi Wali Se Muhabbat Karna Rifz Hai Toh Beshak Aisi Galat Nisbat Ki Zimmedari Logon Par Hai.

(Diwan Imam Shafai)

إذا نحن فضلنا علیا فإننا روافض بالتفضیل عند ذوي الجهل

Jab Hum Sayyedna Ali Ke Manaqib Bayan Karte Hein Toh Jahilon Ke Nazdeek Hamara Shumar Rawafiz Mein Hota Hai.

(Diwan Imam Shafai)

وفضل ابی بکر اذا ما ذکرته رمیت بنصب عند ذکري للفضل

Aur Jab Mein Sayyedna Abu Bakr Ke Manaqib Bayan Karta Hun Toh Mujhe Nasbi Hone Ka Tana Diya Jata Hai.

(Diwan Imam Shafai)

فلا زلت ذا رفض ونصب کلاھما بحبیهما حتی أوسد في الرمل

Mai Hamesha Rafzi Aur Nasbi ke Ilzam Se Guzarta Rahunga Inse Muhabbat Ki Wajah Se Yahan Tak Ke Qabr Mein Dafan Kiya Jaunga.

(Diwan Imam Shafai)

Leave a comment