Day: May 29, 2019
Ishq e aale aba aur hamare islaaf ka aqwaal
Agar Ali Alaihissalam aur aale batool salamullah alaiha ki muhabbat tere dil mein na ho to tere haq mein rasool sallallaho alaihe wasallam ki shafa’at ki koi ummed nahi’n agar to Allah ta’ala ki ibadat aur ita’at mukammal taur par anjam de de to Ali Alaihissalam ki muhabbat ke baghair kuch bhi qabool na hoga. Ab in par bhi duniya ke kutte waladuz zina raafzi aur shiya hone ka fatwa lagaye agar himmat ho to
Kyunki sarkar do aalam sallallaho alaihe wasallam ka farman aali shan hai ki jisne Ali Alaihissalam aur zahra salamullah alaiha se aur inki auladon se bughz rakha to woh teen cheezo se khali nahi ya to woh zina se paida hua hai ya to woh haezi bachcha hai aur ya to woh munafiq hai aur khuda ki izzat ki qasam yahi sach hai ab har koi muhasba e nafs kar le apna apna kyunki sarkar Alaihissalam ka qaul shareef pathar ki lakeer hai. Aur insan khuda ke bando.n se makr kar sakta hai lekin khuda ko koi dhoka nahi de sakta
Agar Islam ka ruqn paanch cheezo.n par munhasir hai to iman ka ruqn bhi paanch muqaddas hastiyo.n par hai. Woh hain Hazrat Sarkar do aalam sallallaho alaihe wasallam Hazrat Sarkar Maula Ali Alaihissalam Hazrat Syyeda Fatima salamullah alaiha Hazrat Imam Hasan Alaihissalam aur Hazrat Imam Hussain Alaihissalam aur yahi nufoos e qudsiya par iman mukammal hai aur Allah rabbul izzat quran majeed mein jis jagah aur jaha.n bhi mukhatib ho raha woh iman wale hi hain. Bas yahi nufoos e qudsiya paak hain aur aulade.n paak hain aur in se ladne wala inki burai karne wala kutte se zyada najis aur napaak hai aur ye mera qaul nahi balki Hazrat Sarkar imam jafar sadiq a.s ka qaul paak hai.
Agar kisi ki itni himmat aur jurrat aur itni haisiyat ho to in hastiyo.n ki mukhalefat kar ke dikhaye Aur Alhamdulillah sadaat e Qutbiya to sabitun nasab sayyad hain aur inka shajra tawatur ke sath siqqah sahiul isnaad hai summa Alhumdulillah
Aur farman e rasool e paak hai ki ilm e Quran sirf aur sirf Usi shakhs ko haasil hoga jiske dil mein meri auladon ki muhabbat hogi warna koi din raat quran padhta rahe ek huroof ka bhi use na koi fahem hasil hoga na uske samjh mein aayega ki in huroofo.n ke peeche khuda ka kaun sa raaz pinha hai