
*Hadees of the day*
*Wilayat e Ali Alaihissalam ka a’ilaan*
Hazrat Bara’ bin A’azib RadiAllahu Anhu se riwayat hai, unhone farmaya : Hamne Rasoolullah ﷺ ke sath Hajj ada kiya, Aap ﷺ ne raaste me ek muqaam par padao dala aur Namaz me sab ko jama’ hone ka hukm diya. (Namaz ke ba’ad) Aap ﷺ ne Hazrat Ali Alaihissalam ka hath pakad kar farmaya : *Kya momino’n par unki jaano’n se zyada’h haq Mera nahi hai?* Sahaba e Kiraam RadiAllahu Anhum ne arz kiya : *yaqinan hai.* To Aap ﷺ ne farmaya : *”Jiska Mai’n Maula hu’n, ye’h (Ali) bhi uska Maula hai. Aye ALLAH! Jo is (Ali) se dosti rakhe Tu use dost rakh, Aye ALLAH! Jo is se dushmani rakhe Tu bhi us se dushmani rakh.”*
Sunan Ibne Maaja – 116