
Zikr e Hazrat Hazrat Zakwan bin Abd Qais Radiallahu anhoo.

إِ نَّ اَّللّه اََّّصْ ه طفهى آَّده ه مَّ هَّ ونُوحًا هَّ وآ ه لَّ إَِّبْ ه راهِي ه مَّ هَّ وآ ه لَّ عَِّمْ ه را ه نَّ هَّ علهى اَّلْ ه عالهمِي ه نَّ
ذُرِّي ةًَّ بَّهعْضُ ه ها مَِّن بَّهعْ ضَّ هَّ واللَُّّ هَّ سمِي عَّ هَّ علِي مَّ
“Beshaq Allah ne Aadam (Alaihissalam) ko aur Nooh (Alaihissalam) ko aur Aal-e-Imran ko sab jahaanwaalo par (buzurgi me) muntakhab farma liya.”
“Ye ek he nasl hai unme se baaz baaz ki auladen hain, aur Allah khoob sunnewaala khoob jaananewaala hai.”
(Surah Aal-e-Imran 3:33,34)
ه وإِذَّْ قَّها ه لَّ إَِّبْ ه راهِيمَُّ هَّ ربَِّّ اَّجْعهلَّْ هَّ هذها اَّلْبهلهدَّه آَّمِنًا هَّ واجْنُبْنِي هَّ وبهنَِّ يَّ أَّهن نَّ عْبُدَّه اَّلْْهصْنها ه مَّ
ه ربَِّّ إَِّن هُ نَّ أَّهضْلهلْ ه نَّ هَّ كثِيرًا مَِّّ ه نَّ اَّلن اسَِّ فَّه ه من تَّهبِعهنِي فَّهإِن هَُّ مَِّنِّي هَّ و ه منَّْ هَّ ع ه صانِي فَّهإِن ه كَّ هَّ غفُو رََّّ
رحِي مَّ
رب نها إَِّنِّي أَّهسْ ه كنتَُّ مَِّن ذَُّرِّي تِي بَِّ ه وا دَّ هَّ غيْرَِّ ذَِّي هَّ زرْعَّ عَِّندَّه بَّهيْتِ ه كَّ اَّلْمُ ه ح رمَِّ هَّ رب نها لَِّيُقِيمُواََّّْ
ال صلاهةَّه فَّهاجْعهلَّْ أَّهفْئِدهةًَّ مَِّّ ه نَّ اَّلن اسَِّ تَّههْوِي إَِّلهيْهِمَّْ هَّ وارْزُقْهُم مَِّّ ه نَّ اَّلث ه م ه راتَِّ لَّهعهل هُمَّْ يَّهشْكُرُو ه نَّ
ه ربَِّّ اَّجْعهلْنِي مَُّقِي ه مَّ اَّل صلاهةَِّ هَّ ومِن ذَُّرِّي تِي هَّ رب نها هَّ وتهقهب لَّْ دَُّ ه عاءَِّ
“Aur (yaad kijiye) jab Ibrahim (Alaihissalam) ne arz kiya: Ay mere Rab! Is shehar (Makka) ko Ja-e-Aman banade aur Mujhe aur Mere Bachhon ko is (baat) se bacha le ki hum buto ki parastish karen.”
“Ay mere Rab! un (buton) ne bahotse logo ko gumrah kar dala hai. Pas jisne Meri pairwi ki wo Mera hoga aur jisne Meri nafarmani ki to beshaq Tu bada
bakshnewala bada Meharbaan hai. (yaha pairwi yaani buto ki parsatish na karna)”
“Ay hamare Rab! Beshaq Maine Apni Aulad (Ismail Alaihissalam) ko (Makka ki) bay-aabo giyaah waadi me Tere Hurmatwaale Gharke paas basa diya hai, Ay hamare Rab! Taaki wo namaz kaayim rakhen pas Tu logo ke dilo me aisa karde ki wo Shouq-o-Muhabbat ke saath Inki taraf maayil rahen aur unhe (har tarah ke) phalo ka rizq ata farma, taaki wo shukr baja laate rahe.”
“Ay Mere Rab! Mujhe aur Meri Aulad ko Namaz par kaayim rakhne wala banade, Ay hamare Rab! Aur Tu meri dua kabool farma le.”
(Surah Ibrahim 14: 35,36,37,40)
ه ربَِّّ هَّ هبَّْ لَِّي حَُّكْمًا هَّ وأهلْحِقْنِي بَِّال صالِحِي ه نَّ
ه واجْعهل لَِّّي لَِّ ه سا ه نَّ صَِّدْ قَّ فَِّي اَّلْْخِرِي ه نَّ
“(Ibrahim Alaihissalam ne arz kiya) Ay Mere Rab! Mujhe Ilmo Amal me kamaal ata farma aur Mujhe Apne Qurb-e-Khaas ke sajawaaro me shaamil farma le,”
“Aur Mere liye baad me aane waalo me (bhi) Zikr-e-Khair aur Kubooliyat jaari farma.”
(Surah Shu’ara 26:83,84)
ه و ه جعهله ه ها هَّ كلِ ه مةًَّ بَّهاقِيهةًَّ فَِّي هَّ عقِبِهَِّ لَّهعهل هُمَّْ يَّهرْجِعُو ه نَّ
“Aur Ibrahim (Alaihissalam) ne us Kalima(-e-Touheed) ko Apni Naslon Zurriyat me baaki rehnewala Kalima banadiya taaki wo (Allah ki taraf) ruju karte rahen.”
Surah Zukhruf 43:28
Sayyeduna Ibrahim Alaihissalam ke 2 bete hain, Hazrat Ismail Alaihissalam aur Hazrat Ishaaq Alaihissalam. Hazrat Ibrahim Alaihissalam ne apni aane waali nasl keliye Allah Ta’ala se dua ki ke unko bhi Hidayat par qaayam rakh aur butparasti se unhe bacha. Ibrahim Alaihissalam na sirf Nabi hain balke Allah ke Khalil hain. Aapki dua kabool hui. Ishaaq Alaihissalam ki nasl me bahot saare Nabi hue, to yaha to Hidayat baaki rehni he thi. Lekin Hazrat Ismail Alaihissalam ki Nasl me Allah Ta’ala ne sirf ek Nabi rakha jo saare Nabiyon ka Sardar hai, yaani hamare Aaqa wa Maula Hazrat Sayyeduna Muhammadur Rasoolullah SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam. Lekin Ismail Alaihissalam se lekar Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam tak bahot lamba arsa bichme tha aur bahot saari generations bichme thi aur is nasl me Nabi bhi bichme koi nahi hua. To Arab ke kufr aur shirk ke mahol me Allah Ta’ala ne Aal-e-Ismail me se ek ladi me Hidayat ko kaayam rakha, yaani wo Ibrahim Alaihissalam ke Deen par qaayam rahe aur shirk aur kufr ki aaludgiyo se hamesha dur rahe. Ye wohi ladi thi jisme se Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne tashreef lana tha. Hazaro saal lambe arse ke bawajood is ek Nasl me Imaan qaayam raha. Ye Allah Ta’ala ka khaas fazl tha Ibrahim Alaihissalam ki dua ke sadqe. Isi gharane ko aage chalke Banu Hashim kaha jaane laga.
Lekin Ibrahim Alaihissalam ne ye bhi apni dua me arz kardiya tha ke jo meri nafarmani kare yaani Allah Ta’ala ki Ibadat ko chodkar buto ki parastish karne me lag jaaye, to meri nasl me se hone me bawajood mera nahi hai. Ab Hazrat Abu Talib Alaihissalam bhi Aal-e-Ibrahim (Alaihissalam) me se hain, aur Aap apne walid Hazrat Abdul Muttalib RadiAllahu Ta’ala Anhu ke Wisaal ke baad Kaaba ke Mutawwali hue. Yaani matlab hua ke Banu Hashim me martabe ke lihaaz se Aapka rutba bada tha. Aap Allah ke Ghar ke caretaker they aur aapke bareme ek bhi riwayat nahi milti jisme ye likha ho ke aapne kabhi kisi but ki puja ki thi! Hatta ke jab Makka me kehat aaya tha tab Quraish ke log buto ko pukaar ke itlejaaye karrahe they. Lekin jab barish nahi aayi to sablog Hazrat Abu Talib ke ghar gaye aur aapse dua ki darkhast ki. Hazrat Abu Talib ne apne saath Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko saath liya aur us waqt Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki Umr Mubarak 2 saal ke lagbhag thi. To Aap Haram-e-Kaaba me tashreef laaye aur 3 baar arz kiya:
“Ay Rab! Is Bachhe ke Wasile se barish naazil farma!” Aur barish nazil hogayi to Huzoor ki Shaan me sher kaha jisko Imam Bukhari ne bhi Sahih Bukhari me riwayat kiya. Yaha batane ki baat ye ke Aapne us waqt bhi kisi but ki taraf nahi dekha na kisi but ko pukara! Na he aapki zindagi me koi riwayat milti hai jab aapne kisi but ki parastish ki ho! Aur upar dark ki hui Aayaat se pata chalta hai ke “Aal-e-Ibrahim” me sirf wo he hain jo buto ki parastish se dur rahe. Baaki log Usi nasl me hone ke bawajood Aal-e-Ibrahim me shamil nahi hain, usi tarah jaise Hazrat Nooh Alaihissalam ka beta, unka beta hone ke bawajood Allah Ta’ala ne farmaya ke wo tumhara beta nahi hai kyunki usne Imaan nahi laaya.
To Aap Ibrahim Alaihissalam ki Aal me se bhi hain, Kaaba ke Mutawaali bhi hain aur Ibrahim Alaihissalam ke nafarmaan bhi nahi hain yaani gairullah ki ibadat kabhi nahi ki. To iska matlab hai ke Aap pe bhi Ibrahim Alaihissalam ki Apni Zurriyat keliye jo khair ki Dua thi, wo Aap pe bhi laagu hoti hai. Yaani ye ab Allah Ta’ala ki Zimma-e-Karam par hai, Uska Wada hai, ke Aapko bhi Hidayat par rakhe! Jab Allah Ta’ala Khud jisko Hidayat ata farmaye, apni Hifazat me rakhe, to wo shakhs kaise Imaanwala nahi hosakta? Baat unki nahi baat Allah Ta’ala ke Waade ki hai!
Aur aaj tak aur Qayamat tak har namaz me har musalman Aal-e-Ibrahim Alaihissalam ko yaad karta hai Durood-e-Ibrahim me.