
Janab e Fatima Zahra (s.a) Se Riwayat Naql Hui Hai Ki Rasule Khuda (s.a.w) Ek Shab Mere Ghar Us Waqt Tashreef Laye Jab Mai Apna Bistar Bicha Chuki Thi Ki Aap (s.a.w) Ne Farmaya : Aye Fatima! Us Waqt Tak Na Sona Jab Tak In Char Amal Ko Anjam Na De Do.

- Jab Tak Pura Quran Na Padh Lo.
- Jab Tak Mujhe Aur Tamam Paigambaro Ko Apna Shafaat Karne Wala Na Bana Lo.
- Jab Tak Momineen Ko Khush Wa Razi Na Kar Lo.
- Jab Tak Hajj Wa Umrah Na Kar Lo.
Ye Farma Kar Aap (s.a.w) Namaz Me Mashgul Ho Gaye. Jab Aap (s.a.w) Namaz Se Farigh Huwe To Maine Aap (s.a.w) Ki Khidmat Me Arz Ki : Ya Rasul Allah! Inhe Mai Is Waqt Kaise Anjam Du? Aap (saww) Ne Muskurate Huwe Farmaya:

Jab Tum Teen Baar Surah “Qul Hu Wallahu Ahad” Ki Tilawat Kar Lo Toh Goya Pura Quran Khatm Kar Liya.
Aur Jab Salwat (Durood) Padhogi Toh Goya Ki Mujhe Aur Paigambaro Ko Roze Qayamat Apna Shafaat Karne Wala Paogi.
Aur Jab Momineen Ke Liye Isteghafaar (Tauba) Karogi Toh Goya Ke Sabhi Ko Khush Wa Razi Kar Liya.
Aur Jab “Subhaan Allahi Wal Hamdu Lillahi Wa La Ilahaa Illalalaahu Allahu Akbar” Kahogi Toh Goya Ki Hajj Wa Umrah Ko Anjam De Diya.