
Ashrae Muharram Aor Sarkar Tajul Auliya (q.s.a.)
Maulana zaheen shah taji apni kitab “Tajul Auliya” me Sarkar Tajul Auliya Hazrat Sayyed Muhammad Baba Tajuddin (q.s.a. Nagpuri) ke ahwal yun bayan karte hai ke Baba Huzur par mahe muharramul Haram me gham ki kaifiyat rahti, aap majlise zikre Imam Husain padhne ka hukm dete (jis me marsiya khawani wa waqeae karbala ka tazkira kiya jata) aap in dino hara jubba zebe tan farmate yaume aashura yani 10 muharramul haram ko karbala (nagpur me maujud imam bargah) Tashreef le jate aor farmate : ke “Babu yaha aaya karte”.
Hayate zahiri ke aakhri sal jab aap karbala tashrif le ja rahe the to bagghi me sawar the samne ek alam bardar chal raha tha aapne us alam bardar se wo alam le liya aor aap par ek kaifiyat warid hui aor aapne aalame jalal me buland aawaz se teen martaba farmaya:
Imame Dee’n Sultane Madina Shaho’n Ke Sardar Husain
Sarkar Tajul Auliya ke muhibbin aapke tariqae mubarka par chalte huwe in ayyam me zikre Imam Hussain Alaihissalam ki majalis munaqid karte hai aor hara libas pahante hai aor yaume aashura ko karbala jate hai.
Darbare Sarkar Tajul Auliya me bhi ashrae muharram me majalise zikre Imam Husain ka ehtemam kiya jata hai.