
Jab Imam Qasim Alayhissalam Sayyed Ush Shuhada Sayyedna Imam Hussain Alayhissalam Ke Pas Jung Ki Ijazat Lene Ke Aaye Toh Sayyed Ush Shuhada Ne Farmaya_
Qasim! Tu Toh Mere Bade Bhai Hasan Ki Ek Lauti Nishani Hai Tumhein Dekh Kar Mujhe Bhai Hasan Yaad Aa Jate Hein Tujhe Maqtal Mein Jane Ki Ijazat Kaise De Dun?
Imam Qasim Ne Kaha Chacha Jaan! Ye Kaise Mumkin Hai Ki Mein Apne Khun Se Haq Ki Gawahi Na Dun? Chacha Jaan Mujhe Jane Dijiye Meri Lash Par Se Guzar Kar He Dushman Aap Tak Pohoch Payega Agar Aaj Aapke Qadmon Par Jaan Nisar Na Kar Saka Toh Kal Abba Jaan Ko Kya Muh Dikhaunga? Phir Sayyedna Qasim Maidane Shahadat Ki Taraf Bhade_
Hamid Bin Ziyad Ibn Ziyad Ki Fauj Ka Sipahi Hai Al-Bidayah Wan Nihayah Mein Ibn Kasir Ki Riwayat Ke Mutabiq Woh Bayan Karta Hai Ki Humne Dekha Ke Ahle Bait Ke Khemon Mein Se Ek Khubsurat Jawan Nikla Uska Chehra Chaand Ka Tukda Malum Hota Tha, Uske Haath Mein Talwar Lehra Rahi Thi Woh Sher Ki Tarah Hamlawar Hua Aur Yazidiyon Ko Wasiley Jahannam Karne Laga Ye Jawan Sayyedna Hasan Ka Beta Qasim Tha_
Yazidiyon Ne Chaaron Taraf Se Hamla Kardiya Kisi Badbakht Ne Imam Qasim Ke Sar Par Talwar Mari Toh Aap Chakra Kar Gir Pade_
Sayyed Ush Shuhada Ne Bhatijey Ki Lash Ke Girne Ka Manzar Dekha Toh Imam Qasim Ki Lash Par Aaye Aur Farmaya Bete Qasim Ye Kaisi Ghadi Hai Ke Mein Aaj Teri Madad Na Kar Saka Sayyed Ush Shuhada Ne Imam Qasim Ki Lash Ko Apne Seeney Se Lagaya_
Ibn Kasir Ke Mutabiq Rawi Ka Kehna Hai Sayyed Ush Shuhada Ek Jawan Ki Lash Utha Kar Khemon Ki Taraf Laye Aur Uske Paon Zameen Par Latak Rahe Thae Maine Kisi Se Pucha Ye Jawan Jisko Hussain Utha Kar Le Jaa Rahe Hein Kaun Hai? Kisi Ne Mujhe Bataya Ke Sayyedna Hasan Ka Beta Qasim Hai Sayyed Ush Shuhada Ne Imam Qasim Ki Lash Ko Bhi Apne Shahzaade Imam Ali Akbar Ki Lash Ke Saath Lita Diya.