
Chehra-E-Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Dekhna Bhi Ibaadat
- Isi Tarah Umm-il-Mu’minin Sayyidah Aaishah Siddiqa RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Hee Riwaayat Karti Hain :
كان أبو بكر يكثر النظر الى وجه على فساله عايشه فقال سمعت رسول الله صلى الله تعالى عليه وآله وسلم النظر الى وجه على عبادة
“Hazrat Aboo Bakr Siddiq RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Badi Kasrat Ke Saath Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Chehre Ko Dekhte Rehte They. Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ne Un Se Is Baare Me Puchha To Aap Ne Farmaya Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Se Suna Hai Ki Hazrat Ali Ke Chehre Ko Dekhna Ibaadat Hai.”
–
[Ibn Hajar Makki Fi As-Sawa’iq Al-Muhriqah ‘Ala Ahl Al-Rafd Wa Al-Dalal Wa Al-Zandaqah, 177.]
- Isi Tarah Aik Aur Riwaayat Hai :
عن عبد الله عن النبى صلى الله تعالى عليه وآله وسلم قال النظر الى وجه على عبادة
“Hazrat Abd Allah Bin Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya Ki Hazrat Ali Ke Chehre Kee Taraf Dekhna Bhi Ibaadat Hai.”
–
[1_Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/141, 142,
2_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 10/77, Hadith-32895,
3_Shirwayh Daylami Fi Al-Firdaws Bi-Mathoor Al-Khitab, 05/42, Hadith-1717,
4_Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-‘Ummal, 11/60, Hadith-32859,
5_Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/119.]
Yaare Ghaar Hazrat Aboo Bakr Siddiq RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmate Hain Ki Ali Ke Chhere Ko Dekhan Ibaadat Hai. Umm-il-Mu’minin Hazrat Aaishah Siddiqa RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ka Bayaan Hai Ki Hazrat Ali Shere Khuda Ka Zikre Zameel Bhi Ibaadat Hai Phir Aboo Bakr Ke Maan Ne Waalo’n Aur Hazrat Ali Ke Pairokaaro’n Me Yeh Duriya’n Kyun ? Yeh Faasle Kyun? Ali Ko Maan Ne Waalo! Tum Aboo Bakr Ko Maan Ne Waalo’n Se Dur Kyun Ho Gaye Ho?
In Muqaddas Hastiyo’n Me Koi Mughaa’irat Aur Duri Nahin Thi To Woh To Aik Hee Mash’al Kee Nooraani Kirnein Thi Magar Aaj Musalmano’n Ne Khud Saakhta Tarjeehaat Nikaal Kar Kai Giroh Tashkeel De Rakkhe Hain Aur Aae Roz Un Ke Darmiyaan Khoon Rezi Ka Baazaar Garm Rehta Hai.
Aye Giraftaare Aboo Bakr-o-Ali Hoshiyaar Baash
–
[Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/45_46.]
〰〰
Join Karen