Shahdat e Hazrat Umar Radiallahu anhoo 26 ZilHajj ki Tehqiq..

Hazrat Umar Farooq RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Tarikhe Wafaat Yakum Muharram-ul-Haram Nahin Balki Sahih Tarikhe Wafaat 26/Dhu Al-Hijjah Hai.

Hazrat Umar Farooq RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Tarikhe Sahadat, Wafaat Riwayate Sahiha Ke Mutaabiq 26 : Dhu Al-Hajj San 23 Hijri Ko Huwi Na Ki Yakum Muharram.

Aur Un Kee Wafaat Ke Baa’d Hazrat Uthmaan Ghani RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Bay’at 29 Dhu Al-Hijjah San 23 Hijri Ko Huwi Hain!

Mustanad Ahle Sunnat Kutub Se Hawaala Jaat Dekhein :

Tabaqat Ibn Sa’d, 03/147, Matboo’a Karachi.

Tarikh At-Tabari, 03/235, Matboo’a Karachi.

Tarikh Ibn Khaldoon, 01/384, Matboo’a Karachi.

Tarikh Al-Mas’oodi, 02/240, Matboo’a Karachi.

Tarikh Ibn Kathir, 07/279, Matboo’a Karachi.

Tarikh Ibn Kathir, 07/18,

Kitab Al-Farooq, Safhah-166.

Hazrat Umar Kee Tarikhe Wafat Ke Baab Me Do Qaul Mash’hoor Milte Hain :

01 : Aik Qaul Yeh Hai Ki Hazrat Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Zakhmi Hone Ke Baa’d Teen Din Zindah Rahe Aur Phir Chhabbis 26 Dhu Al-Hijjah Ko Un Ka Wisaal Huwa, Chunaanche Allama Qalqshandi, Aur Allama Hafiz Ibn Najjar Al-Baghdadi Ne Is Qaul Ko Ikhtiyaar Diya Hai.

Allama Qalqshandi Likhte Hain :

وطعنه أبو لؤلؤة الفارسي غلام المغيرة بن شعبة فبقي ثلاثاً ومات لأربع بقين من ذي الحجة سنة ثلاث وعشرين من الهجرة

نهاية الأرب في معرفة أنساب العرب// جلد1// صفحہ 152//۔

Is Qual Ko Hafiz Ibn Al-Najjar Ne Bhi Ikhtiyaar Kiya Hai,

وكانت وفاته رضي الله عنه يوم الأربعاء لأربع بقين من ذي الحجة سنة ثلاث وعشرين من الهجرة ۔

الدرة الثمينة في أخبار المدينة // ذکر وفات عمر // ۔

Qalqshandi Aur Ibn Al-Najjar Ke Is Qaul Kee Taa’id Is Riwaayat Se Bhi Ho Sakti Hai Jis Ko Ibn Shabbah Ne Apni Tarikh Me Aur Imam Bayhaqui Ne Sunan Me Naqal Kiya Hai, Yeh Riwayat Ma’dan Ibn Abi Talhah Se Marwi Hai, Woh Farmate Hain Ki Hazrat Umar Ne Jum’a Ko Khutba Diya Aur Jab Dhi Al-Hajj Ke Chaar Din Baaqi They, Ya’ni Chhabbis Dhi Al-Hajj Ke Din Hazrat Umar Ka Intiqaal Huwa Mulaahazah Ho :

قال خطب لھم یوم الجمعة و مات یوم الأربعاء لأربع بقین من ذی الحجة ۔

السنن الکبری للبیھقی // رقم الحدیث 16578 //۔
تاریخ المدینة لأبن شبة // باب مقتل عمر // ۔

02 : Dusra Qaul Jo Ki Mash’hoor Hai, Aur Isi Qaul Ko Jamhoor Mu’arrikhin Aur Ulama’ Ne Apni Kutub Me Bayaan Kiya Hai Ki Aboo Lu’lu’ Ne Chhabbis 26 Dhi Al-Hajj Ko Zarb Lagaayi Thi, Jis Se Hazrat Umar Teen Din Tak Zakhmi Rahe Aur Phir Un Ka Wisaal Huwa Aur Hazrat Suhayb Roomi Ne Un Ka Namaze Janazah Padhaaya, Chunanache Mu’arrikh Ibn Athir Ne Is Qaul Ko Ibn Qutaybah Se Naql Kiya Hai, Mulaahazah Ho :

و قال ابن قتیبة : ضربه أبو لؤلؤة يوم الأثنين لأربع بقين من ذي الحجة، ومكث ثلاثًا، وتوفي، فصلى عَلَيْهِ صهيب ۔

أسد الغابة في معرفة الصحابة// جلد3// صفحہ676 //۔

Mash’hoor Salfi Muhaqqiq Shaykh Shu’ayb Al-Arna’ooat Ne Bhi Musnad Ahmad Kee Tehqiq Me Is Qaul Ko Ikhtiyaar Kiya Hai, Shyakh Arna’oot Raqamtaraz Hain:

وكانت خلافته رضي الله عنه عشر سنين وستة أشهر، ضربه أبو لؤلؤة المجوسي لأربع بقين من ذي الحجة، ومكث ثلاثاً وتوفي، فصَلَّى عليه صهيبٌ

المسند للأحمد // تحت رقم الحدیث 82 // مسند عمر //۔
Yeh Kalaam Tha Hazrat Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Tarikhe Wafaat Ke Baab Me, Jaha’n Tak Tadfeen Kee Baat Hai To Baa’z Ulama’ Ne Bayan Kiya Hai Ki Hazrat Umar Ko Muharram Ke Pehle Din Dafn Kiya Gaya, Tadfeen Ke Is Qaul Ko Mulla Ali Qari Ne Sharh Mishqat Me Aur Hafiz Ibn Athir Al-Jazari NeJami’ Al-Usool Me Ikhtiyaar Kiya Hai, Mulaahazah Ho :

وطعنه أبو لؤلؤة غلام المغيرة بن شعبة مصدر الحاج بالمدينة يوم الأربعاء لأربع بقين من ذي الحجة سنة ثلاث وعشرين، ودفن يوم الأحد غرة المحرم سنة أربع وعشرين ۔

جامع الاصول //جلد 12// صفحہ127// عمر بن الخطاب //۔

Khulasa-e Kalam :

Hazrat Umar Kee Tarikhe Wafaat Se Muta’alliq Jitne Bhi Aqwaal Hain Un Aqwaal Me Ikhtilaaf Is Had Tak Hai Ki Aboo Lu’lu’ Ne Zarb Kis Din Lagaayi?

  1. Allama Mas’oodi Likhte Hain :
    Hazrat Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Un Kee Khilaafat Ke Dauraan Hee Mein Mughirah Ke Ghulaam Aboo Lu’lu’ Ne Qatl Kar Diya Tha. Is Waqt San Hijri Ka 23-Wa’n Saal Tha Aur Budh Ka Din Tha Jab Ki Maahe Dhu Al-Hijjah Ke Ikhtitaam Me Chaar Roz Baaqi They.

    [Mas’oodi Fi Murooj Al-Dhahab Wa Ma’adin Al-Jawhar, 02/24.]
  1. Allama Dinawari Likhte Hain :
    Maahe Dhu Al-Hijjah 23 Hijri Kee Chaar Raatein Baaqi Thi’n Ki Hazrat Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Jum’a Ke Roz Rihlat Farma Gaye.

    [Dinawari Fi Al-Akhbar At-Tiwal,/139]
  1. Allama Muhibb-ud-Deen Tabari Likhte Hain :
    Aap Ne 26 Dhu Al-Hijjah Ko Wisaal Farmaya. Baa’z Ne Kaha Ki Is Taairkh Ko Zakhm Aaya Tha Aur Wafat Aakhri Dhu Al-Hijjah Me Huwi.

    [Muhibb-ud-Deen Tabari Fi Ar-Riyad-un-Nadirah Fi Manaqib-il-‘Ashrah, 02/335.]
  1. Mash’hoor Mu’arrikh Tabari Likhte Hain :
    Aap Ne Chahar Shamba Kee Shab Ko 27 Dhu Al-Hijjah 23 Hijri Ko Wafaat Paayi. Uthmaan Akhnasi Kehte Hain Ki Mere Khayala Me Is Khabar Me Sahw Huwa Hai Kyun Ki Hazrat Umar Ne 26 Dhu Al-Hijjah Ki Wafaat Paayi. Aboo Ma’shar Ke Nazdeek 26 Aur Hisham Bin Muhammad Ke Nazdik 27 Dhu Al-Hijjah Hai.

    [Tabari Fi Tarikh Al-Umam Wa’l-Mulook Al-Ma’roof Tarikh At-Tabari, 03/217, 218.]
  1. Allama Ibn Kathir Likhte Hain :
    Waqdi Ka Bayan Hai Ki Hazrat Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Par Budh Ke Roz Hamla Huwa Jab Ki 23 Hijri Ke Dhu Al-Hijjah Kee Chaar Raatein Baaqi Thi’n.

    [Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 07/186.]
  1. Allama Aboo Al-Fida :
    توفی (عمر) یوم السبت سلخ ذی الحجہ روز شنبہ کو حضرت عمر نے وفات پائی۔

    ]تاریخ ابوالفداء صفحہ ۱۲۲[
  1. Tarikh Al-Kamil Ke Musannif Ne Bhi Yahi Likha Hai Ki Dhu Al-Hijjah Kee Chaar Raatein Baaqi Thi’n Ki Aap Fauq Ho Gaye Aur Yakum Muharram Ko Dafn Huwe.

    [Ibn Athir Fi Al-Kamil Fi At-Tarikh, 03/52.]
  1. Ibn Khaldoon Likhte Hain :
    Zakhmi Hone Ke Baa’d Baraabr Zikr-ul-Allah Karte Rahe Yaha’n Tak Ki Shabe Chahar Shamba 27 Dhu Al-Hijjah 23 Hijri Ko Apni Khilaafat Ke 10 Baras 06 Mahine Ba’d Jaane Bahque Taslim Huwe.

    [Ibn Khaldoon Fi Tarikh Ibn Khaldoon, 01/307.]
  1. Imame Ahle Sunnat Jalal-ud-Den Suyooti :
    Aboo Ubaydah Bin Jarrah Ka Bayan Hai Ki Hazrat Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Budh Ke Din 26 Dhu Al-Hijjah 23 Hijri Ko Shahid Huwe Aur Haftah Ke Din Muharram Kee Chaand Raat Ko Dafn Kiye Gaye.

    [Suyooti Fi Tarikh-ul-Khulafa’,/139.]
  1. Ibn Athir Likhte Hain :
    Hazrat Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Wafaat 26 Dhu Al-Hijjah Ko Huwi 29 Dhu Al-Hijjah Do Shamba Ke Din Hazrat Uthman RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Bay’at Kee Gayi.

    [Ibn Athir Fi Usd-ul-Ghabah Fi Ma’rifat-is-Sahabah, 02/667.]

Aap Sab Ne Mulaahazah Kiya Ki Qadeem Ulama’-e Ahle Sunnat Me Kis Qadar Ikhtilaaf Hai. Aur Kitni Tawaarikh Hain Yawme Wafaat Par. Ab Hum Jadeed Ahle Sunnat Ulama’ Ke Aqwaal Naqal Karte Hain :

  1. Daure Jadeed Ke Mash’hoor Salfi Muta’ssib Mu’arrikh Dr. Muhammad Al-Sallabi Likhte Hain :
    Imam Dhahabi Likhte Hain Ki 26 Ya27 Dhu Al-Hijjah Ba Roz Budh 23 Hijri Me Hazrat Umar Ne Jaame Shahdat Naush Kiya.

    [Sayyidina Umar Bin Khattab, Safhah-825, 826.]
  1. Mash’hoor Deobandi Aalim Mufti Zayn-ul-Abidin Merathi Likhte Hain :
    Hazrat Umar Kee Wafaat Zakhmi Hone Ke Teesre Din 27 Dhu Al-Hijjah 23 Hijri Ko Budh Kee Raat Me Waaqi’ Huwi.

    [Tarikhe Millat, 01/187.]
  1. Barre Saghir Ke Mash’hoor Sirat Nigaar Allama Shibli Nu’maani Likhte Hain :
    Hazrat Umar Kee Shahadat 26 Dhu Al-Hijjah 23 Hijri 644 Isvi.

    [Al-Farooq, Safhah-177.]
  1. Imame Ahle Sunnat Aur Barre Saghir Me Munazare Ka Baab Kholne Waale Shah Abd-ul-Aziz Dihlvi Likhte Hain :
    Roze Ka Qatl Hazrat Umar Ka Attha’iswi’n Dhi Al-Hijjah Kee Bila Ikhtilaaf Aur Dafn Un Ka Izza Muharram

    [Abd-ul-Aziz Dihlawi Fi Tuhfah Ithna’ Ashariyyah, Baab : 09, Safhah-511.]

Aap Ne Ghaur Kiya Ki Shah Saahib 28 Dhi Al-Hijjah Ko Wafaate Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Bila Ikhtilaaf Qaraar Dete Hain

  1. Isi Tarah Misr Ke Mash’hoor Mu’arrikh Muhammad Raza Misri Ne Bhi 24 Dhi Al-Hijjah Hee Yawme Wafaat Likhi Hai.

    [Sirate Umar, Safhah-329.]

Qaare’iyn Hum Ne Qadeem Aur Jadeed Aur Mustanad Ulama’-e Ahle Sunnat Ke Aqwaal Naqal Kar Diye Hain Jin Se Aik Baat Saabit Hai Ki Yawme Wafat Hazrat Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Har Daur Me Ikhtilaafi Rahi Hai.

Jamhoor Ke Nazdeek Chhabbis Dhi Al-Hajj Hai, Baa’z Ke Nazdeek Chhabbis Se Pehle Zarb Lagaayi, Aur Baa’z Ke Nazdeek Satta’is Dhi Al-Hajj Ko Zarb Lagaayi.

Lekin Aboo Lu’lu’ Kee Zarb Aur Hazrat Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Tadfeen, Un Dono’n Baato’n Se Qat’a Nazar, Kam Az Kam Is Baat Par Tamaam Mu’arrikhin Wa Ulama’ Ka Ijma’ Hai Ki Hazrat Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ka Wisaal Dhi Al-Hajj Ke Mahine Me Hee Huwa Hai, Is Me Koi Do Raay Nahin Hain.