DIL KI HIFAZAT KIJIYE : Hirs

Hirs (Lalach)👇
हिर्स (लालच)👇

◈_ Jab Aadmi par Duniya Kï Muhabbat ka nasha chadhta he to Wo Hirs ka mareez ban jata he,Yani uske paas kitna hi maal v Daulat Jama ho jaye magar fir bhi Wo zyada ka talabgaar rehta he,

◈_ Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,:- ”_ Agar Aadmi ko Sone se bhari hui ek poori Vaadi bhi de Dï jaye to wo doosri vaadi ka talabgaar hoga aur agar doosri de di jaye to Wo teesri ka talabgaar hoga, Aur Aadmi ka pet to sirf mitti hi bhar sakti he (yani Marne ke baad is laalach ka silsila khatm hoga) aur Jo Tauba kare to Allah Ta’ala Uski Tauba qubool farmayega ,”

⚀•RєԲ: Bukhari Sharif, 2/953,

◈_ Ek doosri Rivayat me Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya:- ”_ Aadmi bada ho jata he aur uske saath Uski Do khwahishe’n bhi badhti he’n, Ek MAAL Kï Muhabbat doosri Lambi Umar Kï Tamanna,”

⚀•RєԲ: Bukhari Sharif, 2/950,

◈_ Hirs ke marz ko khatm karne ke liye un ahadees ko saamne rakhna chahiye jinme Duniya Kï mazammat waarid hui he’n, Maslan ek Rivayat me he ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,:- ”_Duniya Momin ke liye qaid khana he aur Kaafir ke liye Jannat he ,”

⚀•RєԲ: Muslim Sharif, 20/407,

◈_ Isi tarah ek aur Rivayat me Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ka irshad he:- ”_ Jo Apni Duniya se lagaav rakhega Wo Apni Aakhirat ka nuqsaan karega Aur Jo Apni Akhirat pasand karega Wo apni Duniya ganwayega, Lihaza fana hone wali Duniya ke muqable me baqi rehne wali Aakhirat ko tarjeeh do ,”

⚀•RєԲ: Mishkaat Sharif, 2/441,

◈_ isi tarah Hirs ko khatm karne ke liye ye Yaqeen bhi rakhna chahiye ke Allah Ta’ala ne hamara rizq pehle se hi matayyan kar diya he, Wo Hame baharhal mil kar rahega aur hamari Maut us waqt tak nahi aa sakti jab tak ke ham apne muqaddar ke har har luqme ko na hasil karle ,

_ Hamesha Apne se niche darje walo par Nazar rahe ,taki Shukr ka jazba bhi Ata ho ,

⚀•RєԲ:➻┐Allah se Sharm Kijiye, 163,

दिल की हिफाजत कीजिए

हिर्स (लालच)

★_ जब आदमी पर दुनिया की मोहब्बत का नशा चढ़ता है तो वह हिर्स का मरीज़ बन जाता है यानी उसके पास कितना ही माल व दौलत जमा हो जाए मगर फिर भी वह ज़्यादा का तलब गार रहता है।

★_ जनाब ए रसूलुल्लाह सल्लल्लाहू अलैही वसल्लम ने इरशाद फरमाया:- आदमी को सोने से भरी हुई एक पूरी वादी भी दे दी जाए तो वह दूसरी वादी का तलबगार होगा और अगर दूसरी दे दी जाए तो वह तीसरी का तलबगार होगा और आदमी का पेट तो सिर्फ मिट्टी ही भर सकती है (यानी मरने के बाद इस लालच का सिलसिला खत्म होगा) और जो तौबा करें तो अल्लाह ताला उसकी तौबा क़ुबूल फरमाएगा _,” (बुखारी शरीफ- 2/ 953)

★_ एक दूसरी रिवायत में आप सल्लल्लाहू अलेही वसल्लम ने इरशाद फरमाया:- आदमी बड़ा हो जाता है और उसके साथ उसकी दो ख्वाहिशें भी बढ़ती है, एक माल की मोहब्बत दूसरी लंबी उम्र की तमन्ना _,” (बुखारी शरीफ – 2/950)

★_ हिर्स के मर्ज़ को खत्म करने के लिए उन अहादीस को सामने रखना चाहिए जिनमें दुनिया की मज़म्मत वारिद हुई हैं, मसलन एक रिवायत में नबी करीम सल्लल्लाहू अलैहि वसल्लम ने फरमाया:- दुनिया मोमिन के लिए कै़दखाना है और काफ़िर के लिए जन्नत है _,” (मुस्लिम शरीफ- 20/407)

★_ इसी तरह एक और रिवायत में हुजूर सल्लल्लाहू अलैही वसल्लम का इरशाद है:- जो अपनी दुनिया से लगाव रखेगा वो अपनी आखिरत का नुक़सान करेगा और जो अपनी आखिरत पसंद करेगा वह अपनी दुनिया गवाएगा, लिहाज़ा फना होने वाली दुनिया के मुक़ाबले में बाक़ी रहने वाली आखिरत को तरजीह दो_,” (मिशकात शरीफ-2/441 )

★_ इसी तरह हिर्स को खत्म करने के लिए यह यक़ीन भी रखना चाहिए कि अल्लाह ताला ने हमारा रिज़्क पहले से ही मुतय्यन कर दिया है, वह हमें बहरहाल मिल कर रहेगा और हमारी मौत उस वक्त तक नहीं आ सकती जब तक कि हम अपने मुकद्दर के हर हर लुक़में को ना हासिल कर लें _,

“हमेशा अपने से नीचे दर्जें वाले पर नज़र रहे ताकि शुक्र का जज़्बा भी अता हो ,

Advertisement

Ita’ate Ali Ita’ate Khuda Kee Zamaanat

Ita’ate Ali Ita’ate Khuda Kee Zamaanat

عن ابی ذر رضی اﷲ عنه قال قال رسول اﷲ صلى الله تعالى عليه وآله وسلم من اطاعنی فقد اطاع اﷲ ومن عصانی فقد عصی اﷲ ومن اطاع علیا فقد اطاعنیومن عصی علیاً فقد عصانی

“Hazrat Aboo Dhar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Kaha Ki Huzoor SallAllahu Ta’ala Alayka Wa Sallam Ne Farmaya Jis Ne Meri Ita’at Kee Us Ne Allah Kee Ita’at Kee Aur Jis Ne Meri Naa Farmani Kee Us Ne Allah Kee Naa Farmaani Kee Jis Ne (Hazrat) Ali Kee Ita’at Ke Tehqeeq Us Ne Meri Ita’at Kee Aur Jis Ne (Hazrat) Ali Kee Naa Farmaani Kee Us Ne Meri Naa Farmaani Kee.”

[Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/121.]

Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ali Kee Naa Farmaani Ko Apni Naa Farmaani Bata Rahe Hain. Mudda’a Yeh Tha Ki Yeh Baat Tay Paa Jaae Aur Is Me Koi Ib’haam Na Rahe Ki Wilaayate Mustafa SallAllahu Ta’ala Alayka Wa Sallam Ka Faiz Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Chala Hai Aur Ali Kee Ita’at Chunki Rasool Kee Ita’at Hai Aur Rasool Kee Ita’at Allah Kee Ita’at Kee Zaamin Hai Lihaza Ali Kee Ita’at Ita’ate Ilaahi Ka Zari’a Hai.

[Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/56_57.]
〰〰
Join Karen