
Wilayate Ali Ke Baghair Na Koi Abdaal Ban Saka Aur Na Koi Qutub Ho Saka. Wilayate Ali Ke Baghair Na Kisi Ko Ghauthiyyat Mili Aur Na Kisi Ko Wilaayat, Hazrat Ghauth-ul-A’zam Jo Ghauth Bane Woh Bhi Wilayate Ali Ke Sadqe Me Bane, Imamat Ghauthiyyat, Qutbiyyat, Abdaaliyyat Sab Kuchh Wilaayate Ali Hai, Is Liye Aaqa-E-Ka’enat SallAllahu Ta’ala Alayka Wa Sallam Ne Farmaya.
“Hazrat Ummi Salamah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Marwi Hai Ki Mein Ne RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Se Suna Aap SallAllahu Ta’ala Alayka Wa Sallam Ne Farmaya Jis Ne Ali Ko Gaali Dee Us Ne Mujh Ko Gaali Dee.”
–
[1_Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/323, Hadith-26791,
2_Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/121.]
Is Se Badh Kar Doo’iy Kee Nafi Kya Hogi Aur Ab Is Se Badh Kar Apna’iyyat Ka Izhaar Kya Hoga Ki Taajdaare Ka’inaat SallAllahu Ta’ala Alayka Wa Sallam Ne Farmaya Jis Ne Ali Ko Gaali Dee Woh Ali Ko Nahin Mujhe Dee.
Tabarani Aur Bazzar Me Hazrat Salman Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Farmaya :
“Ali Tujh Se Mahabbat Karne Waala Mera Muhibb Hai Aur Tujh Se Bughz Rakhne Waala Mujh Se Bughz Rakhne Waala Hai.”
–
[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 06/239, Hadith-6097.]
Hadithe Paak Apni Tashreeh Aap Hai. Oopar Hum Ne Is Hawaale Se Sayyidina Ali Ke Jo Faza’il Bayaan Kiye Woh Mahz Iatish’haad Hain Warna Hazrat AliKo Rabbe Ka’enat Aur Rasoole Ka’enat Ne Jarr Fazilatein Ata Kee Un Ka Ihaata Mumkin Nahin.
–
[Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/55_56.]
〰〰
Join Karen