1.) INTRODUCTION TO KASBA JHUNSI
Shaher e allahabad se 8 -10 kilometer k fasle par ek kasba hai jo purani jhunsi k naam se yaad kiya jata hai. Yah ek tareeqi mkaam hai jahan mutahid auliya e kiram wa mashaik e azaam ki mazaaraat hai / in auliya e kiraam me ek azimus shaan shaksiyat hazrat makdoom ali murtaza shahban-ul-millat ki hai /
2.) INTRODUCTION TO HAZRAT MAKDOOM ALI MURTAZA SHAHBAN-UL-MILLAT R.A.
. Manba ul Ansab me mazkoor hai ki saiyyadna Shaabuddin umar soharwardi rahmatullah alaihi ki beti ki shaadi baghdad shareef me meer saiyyad bhakkari se hui thi jo ki sindh k ilake me ek maqaaam sakkar bhakkar haiwahin k rahne wale the ya bhi likha hua hai ki meer muhammad bhakkri hazrat makhdoom shaban ul millat ali murtaza byabani rahamatulla alaihi k haqiqi par dada the.
Hazrat makdoom ali murtaza shahban-ulmillat ki wiladat ba sadat mahe shabaan 660 hijri ayne shab e baraat ko sindh k ek gaanw yu haldi me hui isi wajah se aap ka laqab shabaan-ul-millat hai / ebtedai taleem wa tar biyat aap k walid k saaye atifad me hui / aap bade sahb e karaamat buzurg guzre hai / ek din aap ko aap k walid k sath jangle me tafree karne ka mauka aaya, aap k walid aap ko ek darakt gurma k tale baitha kar kisi maksad se jungle me kahin chale gaye / Waqt kafi guzar jane se aap par bhook ka galba jayda hua aap ne us darakt gurma k tane ko jis k neeche baithe the hilana shuru kia ba hukme rabbi usi darkt se taro taza gurma be mausam aor be waqt girne lga aap khush hokar un phalo ko chunne aor khaane lage isi darmiyan aap k walid wahan wapas laut aaye aor bete ko phal chunta aor khata dekh kar poocha k yah phal kahan se aaye ? Aap ne yah sara majra kah sunaya walid ko bete ki yah karamat sunkar nihayat ranj wa gam hua aor farmaya ki “aye farzand dil band tum ne is darakt ko khelaafe mausam taqleef pahuchayi yah zamana is k barobar ka nahi tha khuda wand kareem ko ya harkat pasand nahi acha ab hamme judaai ka waqt aa gaya hai”
Shahe bayabaani, ki wajah tasmiya ka yahi wakiya hai kyun ki aap ko shahe bayabaani bhi kaha jaata hai/ walid e majid ki is sakht naraazgi se aap ka dil paash paash ho raha tha aap ne walid se har tarah se mannat wa samajat ki, walid ne ek na suni, majbooran shahe bayabani ne farmaya pahle aap mureed karle fir ape se juda kare aap ne farmaya ” tumhara hissa mere apas nahi hai” sair akaro aor murshid dhoondo / Shahe bayabani ne farmaya mai abhi kam umr ho paidal chalne ki taab nahi mai murshid kaise talaash karoonga / pedarbuzurg war kuch der khamoosh rahe aor farmaya “mai ne tumhe martaba e abdaal ata kia”
3.) TALAASH E MURSHID
Hazrat makdoom ali murtaza shahban-ulmillat talaash e murshid me har shaher har kariya har aabadi me gumte firte jahan kisi ahle allah ka naam sunte wahan pahunchte mulakaat karte tabadlaye khayal karte aor masail e tassawuf par baat hoti tassalli aor tashfki na hone par aage bhard jaate chunki aap ko darjaye abdaliyat pard e buzurgwaar se mil chuka tha isliye koi buzurg aap k mukable me na thair pata tha / isi hairani wa pareshaani me aalam e roohya me shahre misr jane ki bashaarat aap ko di gayi is bashaarat se kafi hasla afzaayi hui aor aap misr k liye rawana ho gaye mnazil wa mrahil taye karte howe aap shahre misr pahunche wahan hazrat makdoom minhajuddin hai harmain ki misr me mawjoodgi ki khabr maloom hui is khabr par aap haji harmain ki khidmat me pahuche aor kadam bosi kar k sarfaraaz huweYahan thodi der me talib wa matloob me is kadar raabta hua aor taaluk paida ho gay ki goya ki “mantu shudam tu man shudi misdaak” ho gaye
4.)BAIT WA KHILAFAT
Ek din hazrat haji harmain ne farmaya ki aye shaabaan tumhare bait hone ka waqt aa gaya hai chunahche awliya eyzaam wa sufiya e kiraam hazrat saiyad najmuddin ibraheem , meer saiyad ali hamdani, meer saiyad ahmad gesudaraaz, meer saiyad ahmad kabeer alaih rahma ki maujoodgi me hazrat minhajuddin haji harmain ne shah shaban-ul-millat bayabaani ko apne dast-e-haq par bait se sarfaraaz kia aor silsiyae soharwardi me dakhil kia / sath hi sath khilat wa khilafat se bhi mumtaaz farmaya aor farmaya ki aye shabaan tumhe shaikh ka darja ata hua / aap ne poocha ya hazrat hasbo nasab k etebaar se saiyad ka darja afzal hota hmagar shaikh ka darja saiyad ki jagah par kya haqiqat rakhta hai ?? Aap ne jawaab diya ki baatt sahi hai magar faqr aur tassawuf ki manzil me shaikh ka darja sab se aala aor bartar hai kyunki tassawuf ki istilah me shaikh wah kahlata hai jo khud ko mare aor khud ko zinda kare ba alfaze digar nafz ka magloob aor rooh ko galib kare jo martaaj is had ko pahunch jaye wahi shaikh kahlane ka mustahiq hai / jaisa ki saiyadna hizoor gause azam abdul qadiir jeelani r.a. najeeburtarfain saiyad the magar shaikh k darje pe pahunch kar shaikh kahlaye
5.) SAIR WA SIYAHAT
Peer e tariqat saiyadna haji harmain ne jab mukammal tor se uloome baatini ki takmeel kra diya us k baad ek din shaah shaaban-ul-millat se farmaya ki tumhe mulk ehindustaan ki wilayat tafweej hui / tum hindustaan pahunch kar ishaate islaam aor tableeg-e-deen k kaam anjaam do / aap ne farmaya ki mai hindustan k shahro se nawakif hun kahan jao aor kahan kayam karo /hazrat ne farmaya harbongpoor (purani jhunsi)jao aor tableegh d ishaate deen issi jagah karo aor wahi kayam karo aor yah bhi bataya harbong poor shahre (allahabaad) se mutsil hai/ harbong poor kla raja nihayat sarkash aor zalim hai mazhab e islaam ka sakt dushman hai/ chalte waqt hazrat ne majeed irshaad farmaya hindustaan pahunchkar sab se peshtar suba (bihar) ja kar mere farzand sadruddin se milna aor unhe bait karna kyun ki unka naseeba tumhare hi paas hai// badhu shah sahrful haq se milna wah bhi usi jagah rahte hai ek bar maine sharful haq se kaha tha ziyarate kabatullah k liye aao ham tum chale to unhone ne kaha tha ki chalne ko to mai chalu magar walida ijazat nahi de gi// maine sharful haq se kaha ki walida ko razi karlo ijazat de de to ham tum ziyarat kar aaye magar baar bar wo yahi kahte the ki walida mohtarma ki ijazat nahi ham dono ki guftugu se shah sharful haq rahmatullah alaihi k khalifa muzaffar balkhi r.a ko jo usi waqt wahan maujood the jlaal agaya aor meri janib apni asteen brakar kahne lge ki aye minhajuddin kya bar bar kaba ki rat lga rakhi hai to meri asteen me dekho kaba meri asteen me maujood hai// lihaza in hazraat se zaroor milna us k baad harbong poor ka rukh karna //hazrat ne aap ka hath pakad k aasman ki janib mooh kiya aor kaha jao maine tumhe khuda k sapurd kia wahi hafize haqiqi hai manjil par pahuchaye
6.) SAIYAD SADRUDDIN KO MUREED KARNA
Algarz shah shabaan byabaani rahmatulla aliahi apne hadi murshid se ruksat ho kar kai mnazil tai karte huwe hindustaan k ek maqaam nrorgard par pahunche fir kuch dino baad wahan se safar karte huwe ki dakni samundari saahil par pahunche daryaft karne par logo ne bataya is taraf se bihar pashchim ki taraf padega chunahche kuch dino ruk kar aap bihar k janib rawana huwe aor akhir me bihar manjil e maksood tak pahunch gaye aap k peer zaade saiyad sadruddin se mulakaat huyi aor tamaam baton se aap ko bakhabr kiya/ saiyad sadruddin ko kuch dino tak taleem wa tarbiyat karne k baad aap ko shah shabaan-ul-millat ne mureed kar liya/
(Risala e Rumi)
Haji Rumi was khalifa of Hazrat makhdoom Shakih taqi uddin r.a
7.) Aasmaan par kaba najar aaya
Hazrat makhdoom shah shabaan ul millat aapne hamraahiyo k sath jaunpur pahuche ,hasbe wada sahibe karamat meer ali k maqaan
par warid hue/ aor khud ko Rushnaas kraya thodi der k baad namaza ka waqt aagaya aor nmaaz me meer ali imam hue aor aap log muqtadi hue , bar waqt niyat meer ali ko apne bimaar bache ki bimaari ka khayal aagaya .. makhdoom shabanul millat aor unke sathi jamaat se alag ho gaye aor namaaz alag ada ki/ meer ali ne jab salaam pera to dekha ki ye hazaraat jamaat se alag namaaz ada kar rahe hai/ baad me meer ali ne shaban ul millats se poocha ki namaaz me imam ki ekteda se kis liye hate alag namaz kyun ada ki? aap ne jwab diya niyat karte waqt …………