
“ALI ki itni IZZAT karo jitni tum MERI IZZAT karte ho”
Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya:
Kya Mai tumhe uski khabar na du, ke jisko thaamoge to kabhi gumrah nahi hoge.
Sahaba ne kaha: Ji Ya RasoolAllah!
To Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Hazrat Maula Ali KarramAllahu Wajhahul Kareem ki taraf ishara kiya aur farmaya:
Ye Ali hai! Isse itni shadeed muhabbat karo jitni muhabbat tum Mujhse karte ho.
Iski itni Izzat karo jitni Izzat tum Meri karte ho!
Ye jo kuch Mai Aylan karraha hun, ye Meri taraf se nahi balke ye Allah ka Hukm hai, Jibrael ne abhi Mujhe bataya.
Alaihim Afdalus Salawatu was Salaam
Imam Al-Tabarani,
Imam Ahmad ibn Hajar Al-Haythami Al-Makki,
Imam Abu Nuaym,
Imam Al-Hakim,
Imam Muttaqi Al-Hindi,
Hafiz Khatib Al-Baghdadi aur kai Aaimma ne is Hadees ko riwayat kiya hai.
Allahumma Salle Ala Sayyedina wa Maulana Muhammad wa Ala Sayyedina Aliyyuw wa Sayyedatina Fatimah wa Sayyedatina Zaynab wa Sayyedina Hasan wa Sayyedina Hussain wa Ala Aalihi wa Sahbihi wa Baarik wa Sallim.