HADEES SHARIF –
Hazrat Ibn Buraidah (Razi Allahu Ta’ala Anhu) Se Riwayat Hai Unhone Apne Walid Se Suna Ke Huzoor Nabiyye Akram (Sallallahu Ta’ala Alaihi wa Aala Aalehi wa Sallam) Ne Farmaya :- Allah Ne Mujhe Chaar (4) Logo Se Muhabbat Karne Ka Hukum Diya Hain, Jinse Wo Khud Muhabbat Karta Hain, Kisi Ne Arz Kiya Ya Rasool Allah ﷺ Un Chaar (4) Ke Naam Kya Hain ??
Huzoor ﷺ Ne 3 Martaba Farmaya:
“Ali Un Me Se Ek Hain”
“Ali Un Me Se Ek Hain”
“Ali Un Me Se Ek Hain”
Or Fir Baaki 3 Naam Irshad Farmaye…
Un Chaar (4) Ke Naam Hain 👇🏻
(1) Hazrat Syedna Mola Imaam Ali Ibn Abu Talib (Alaihis Salam)
(2) Hazrat Syedna Abuzar Ghaffari (Razi Allahu Tala Anhu)
(3) Hazrat Syedna Salman Farsi
(Razi Allahu Tala Anhu)
(4) Hazrat Syedna Miqdad Bin Aswad (Razi Allahu Tala Anhu)
📚 Reference 📚
Sunan Ibn Majah, Jild – 1, Hadees No – 149