हदीस : अबु हुरैरा (रजी अल्लाहु तआला अन्हु) रिवायत करते है की, रसुलल्लाह (सल्लल्लाहु तआला अलैही वसल्लम) ने फरमाया –
“अल्लाह की पनाह मांगो मोहताजी से और कामी और जिल्लत से और जुल्म करने से और (अपने उपर) जुल्म किये जाने से ।”
📚 सुनन इब्ने मजा, हदीस-3842
☆ दुआ :- अल्लाह तआला हमे कहने सुनने से ज्यादा अमल की तौफीक दे :-
(आमीन सुम्मा आमीन
☆ मै अल्लाह की पाकी ब्यान करता हुं उसकी मख्लुकात की तदाद के बराबर ☆
♥ हदीस : उम्मुल मोमीनीन जुवैरियाह (रजी अल्लाहु तआला अन्हा) से रिवायत है की, रसुलल्लाह (सल्लल्लाहु तआला अलैही वसल्लम) सुबह को उनके पास से निकले, और अपनी नमाज की जगह मे सुबह की नमाज अदा कर रही थी,
आप (सल्लल्लाहु तआला अलैही वसल्लम) वापस चाश्त के वक्त लौटे तो देखा की वो वही बैठी हुई है,
आप (सल्लल्लाहु तआला अलैही वसल्लम) ने पुछा की जब से मै तुम्हे छोड़कर गया था तब से क्या तुम इसी हाल मे रही…??
उन्होंने कहा : “जी हां”
आपने फरमाया – “मै तुम्हारे बाद चार कलमे तीन बार पढ़े, अगर इन कलमो का वजन किया जाये उन कलमो के साथ जो तुमने आज अभी तक पढ़े है तो यही भारी रहेंगे ओ कलीमात ये है :- سُبْحـانَ اللهِ وَبِحَمْـدِهِ عَدَدَ خَلْـقِه وَرِضـا نَفْسِـه وَزِنَـةَ عَـرْشِـه وَمِـدادَ كَلِمـاتِـه ` सुब्हानल्लाही व बिहम्दीही अदादा खलकीही, व रिदा नफसीही, व जिनाता अर्शीही व मिदादा कलीमातीही
〽️ तर्जमा : मै अल्लाह सुब्हानहु की पाकी ब्यान करता हुं उसकी मख्लुकात के तदाद के बराबर, और उसकी खुशी के बराबर, और उसके अर्श के वजन के बराबर, और उसके कलीमात की सियाही (इन्क) के बराबर ।”
Ek Roz Hazrat Imaam Hussain Radi-Allahu-Ta’aala-Anhu Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-LAIHI-WASALLAM Ki Goadh May Tashrif Farma The! Hazrat Umme Fazl Bhi Paas Baithi Thi! Umme Fazl Ne Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ki Taraf Dekha Ki Aapki Dono Chashm-A-Mubarak Se Aansu Beh Rahe The! Umme Fazl Ne Arz Kiya, Ya Rasoolallah! (SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM) Yeh Aansu Kaise Hain? To Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ne Farmaya, Ki Zibrayil Ne Mujhe Khaber Di Hain Ki Mere Is Bacche Ko Meri Ummat Qatl Kerdegi! Zibrayil Ne Mujhe Us Sar-Zameen Ki Jahan Yeh Baccha Shaheed Hoga Surkh Mitti Laker Di Hain! Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ne Is Mitti Ko Soongha Aur Farmaya, Is Mitti Se Mujhe Boo-A-Qarbala Aati Hain, Fir Wo Mitti Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ne Ummul Mominin Hazrat Umme Salma Radi-Allahu-Ta’aala-Anha Ko De Di Aur Farmaya, Umme Salma Is Mitti Ko Apne Paas Rakho, Jab Yeh Mitti Khoon Banjaye To Samajh Lena Mera Beta Shaheed Hogaya! Hazrat Umme Salma Radi-Allahu-Ta’aala-Anha Ne Us Mitti Ko Ek Shishi May Bandh Kerliya! Fir Jis Din Hazrat Imaam Hussain Radi-Allahu-Ta’aala-Anhu Qarbala May Shaheed Hue Usi Din Yeh Mitti Bandh Shishi May Khoon Bangayi!
Doosri Taraf Wohi Do Pahar Hai Hazrat Ummi-‘l-Mu’minin Ummi Salmah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Madinah Tayyibah Me Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Ghar Me Aaraam Farma Hain Hazrat Salma Farmati Hain Ki Mein Aap Ke Paas Ya’ni Umm-il-Mu’minin Ummi Salmah Ke Paas Gayi, Yeh Woh Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Zawja-E-Mutahharah Hai Jin Ko Aaqa-E-Do Jaha’n Ne Woh Mitti Ata Kee Thi Jo Hazrat Jibra’il Ameen Regzaare Karbala Se Uthaa Kar Hazrat Imam Hussian Alehisalam Ke Bachpan Ke Zamaane Me De Gaye They, Aur Yeh Arz Kar Gaye They Ki Huzoor Yeh Us Maidaane Karb-o-Bala Kee Mitti Hai Jis Me Kuchh Badbakht Hussain Ibn Ali Ko Aap Ke Baa’d Shaheed Kar Denge, Aap Ne Woh Mitti Ummi Salmah Ko De De Thi Yeh Farmate Huwe Ki :
إذا تحولت هذه التربة دما فاعلمي ان ابني قد قتل
[Suyooti Fi Khasa’is Al-Kubra, 02/125,
Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Tahdhib-ut-Tahdhib, 02/347.]
Aye Ummi Salmah Jab Yeh Mitti Surkh Ho Jaaye Ya’ni Khoon Me Badal Jaaye To Samajh Lena Ki Mera Beta Hussain Shaheed Kar Diya Gaya Hai.
Hazrat Ummi Salma Farmati Hain Ki Mein Aap Se Milne Ke Liye Gayi, Mein Ne Dekha Ki Aap Zaar-o-Qataar Ro Rahi Hain Chashmane Muqaddas Se Aansoo Rawa’n Hain. Aik Dukh Aur Dard-o-Alam Kee Kaifiyyat Taari Hai Mein Ne Puchha Umm-il-Mu’minin! Rone Ka Kya Sabab Hai? Woh Farmane Lagi’n Abhi Khwaab Me Rasoole Paak SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Tashreef Laaye They Aur Mein Ne Un Ko Dekha Hai Khuda Kee Qasam Un Kee Chashmane Muqaddas Se Bhi Aansoo Bah Rahe They.
على رأسه ولحيته التراب ، فقلت : مالك يا رسول الله ؟ قال : شهدت قتل الحسين آنفا.
[Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 04/19,
Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Tahdhib-ut-Tahdhib, 02/356,
Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 08/200.]
Riwayat: Jab Imam Hussain (as) 2 saal ke huwe to Paigambar e Islam (saww) ko ek safar pe jaana huwa. Dauraane safar aap (saww) achanak ruk gaye aur farmaya, “Inna Lillahi Wa Inna Ilaihi Raajioon”. Aa’nkho’n se ashk jaari ho gaye. Rone ki wajah puchhi gayi to farmaya, “Mujhe abhi Jibreel (as) ne isi zameen ke baare mein khabar di hai ke jo Shatte Furaat ke qareeb hai jiska naam Karbala hai. Isi sar-zameen par mere farzand Hussain (as) ko shaheed kiya jayega”. Sawaal huwa, “Ya Rasulallah (saww)! Unka qaatil kaun hoga?” To aap (saww) ne farmaya, “Uska naam Yazeed bin Muawiya hai. Goya main abhi Hussain (as) ki qatl-gaah aur muqaam e dafn ko apni aa’nkho’n ke saamne dekh raha hoo’n”. (Lahoof – Sayyid Ibne Taoos, p11)
IMAM HUSSAIN (as) KE QAATILO’N PAR LA’NAT… BESHUMAAR GHAM E HUSAIN (as) MEIN RONA (GAIR-SHIA ULEMA KI RIWAYATEIN)
Riwayat: Imam Ahmad bin Hambal (gair-Shia Aalim) Manaqib mein asnaad ke saath Riwayat karte hain ke Imam Hasan (as) ne farmaya ke “Jo shakhs hum par aa’nsu bahaaye ya ek qatra bhi aa’nsu ka nikle to Khuda Wande Aalam usko Jannat ataa karega”. (Mirqaat Sharh Mishkat) (Isbaat e Azadaari, p36)
Riwayat: Mulla Muhammad Mubeen Firang-Mahali (gair-Shia Aalim) ne naql kiya hai ke Musnad Imam Ahmad bin Hambal mein hai ke jo shakhs Imam Hussain (as) par aa’nsu bahaaye ya sirf ek qatra tapke to Khuda Wande Aalam usko Jannat ataa karega. (Waseelatun Najaat) (Isbaat e Azadaari, p35)
Riwayat: Allamah Abu Bakr bin Shahbuddin (gair-Shia Aalim) ne naql kiya hai ke Imam Hussain (as) farmate hain ke, “Jo shakhs hamari musibat par aa’nsu bahaaye ya aa’nkho’n se ek qatra tapkaaye, Khuda usko Jannat ataa karta hai”. (Isbaat e Azadaari, p35)
Hazrat manihal riwayat karte hai maula Ali jab siffin ki taraf jarahe the raste main ek jagh aayi furat k kinare maula ghode se utre baith k Rone lage yaha tak k aansuo se dadhi Mubarak tar ho gayi zamin aansuo se gili ho gayi ashab ne pucha maula kya baat hai farmaya logo an qarib yaha Allah ki ek jamat shaheed kar di jayegi ye Karbala hai yaha hussain wa ashabe Hussain ka khoon bahaya jayega ye ale Mohammed k gulshan ko ujada jayega phir maula ne har chiz batayi unke khaime unki shahadat ki jagah unke janwar ki jagah. Musnad Ahmed jild 2