*بِسْــــــمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِىْمِ*
*اَللّٰهُمَّ صَلِّ عَلٰى سَيِّدِنَا وَ مَوْلَانَا مُحَمَّدٍ وَّ عَلٰى اٰلَهٖ وَ اَصْحَابِهٖ وَ عَلىٰ سَيِّدِنَا وَ مُرْشِدِنَا وَ مَحْبُوْبِناَ حَضْرَتِ رَاجْشَاهِ السُّونْدَهَوِيِّ وَ بَارِكْ وَ سَلِّمْ۞*
*1.* Hazrat Abdullah Bin Masood (Razi Allahu Tala Anhu) Rivayat Karte Hai :- Huzoor Nabi e Kareem (Sallallāhu Ta’ala Alaihi wa Aala Aalehi wa Sallam) Ne Farmaya :- *Jis Ne Mujh Se Muhabbat Ki Us Par Lazim Hai Ke Wo In Dono “Imam Hasan Alaihi Salam wa Imam Hussain Alaihi Salam” Se Bhi Muhabbat Kare..*
📚 Reference 📚
1. Nasai – As Sunan ul Kubra, Jild 5, Safa 50 Raqam 8170
2. Nasai – Fazail Sahaba Jild 1, Safa 20, Raqam 67
3. Ibne Khuzaymah As-Sunan, Jild 2, Safa 48, Raqam 887
____________________________________
*2.* Agar Koi Shaks Baithullah Sharif Ke Ak Kone Aur Maqam e Ibrahim Ke Darmiyan Jaye Aur Namaz e Pade Aur Roze Rakhe *Aur Phir Ahle Baith Ki Dushmani Par Mar Jaye To Wo Jahannum Me Jayega*
📚 Reference 📚
1. Al Mustadrak :- Jild 4, Safa 129-130, Hadees No 4766
____________________________________
*3.* Mola e Kaynat Mola Imam Ali Alaihi Salam Farmate Hai :- Aaqa Alaihi Salam Ne Mujhe Bataya Ki *Sabse Pehle Jannat Me Dakhil Hone Walo Me Me (Yani Mola Ali), Fatima, Hasan Aur Hussain) Hai,*
Mene Arz Ki Ya Rasool Allah (Sallallahu Ta’ala Alaihi wa Aala Aalehi wa Sallam) *Hum Se Muhabbat Karne Wale Kha Honge ?*
Aaqa Alaihi Salam Ne Farmaya :- *Tumhare Peeche Peeche*
📚 Reference 📚
1. Hakim Al Mustadrak, Jild 3, Safa 164, Raqam 4723
____________________________________