ومن كلام له (عليه السلام)
[في النهي عن سماع الغيبة وفي الفرق بين الحقّ والباطل]أَيُّهَا النَّاسُ، مَنْ عَرَفَ مِنْ أَخِيهِ وَثِيقَةَ دِين وَسَدَادَ طَرِيق، فَلاَ يَسْمَعَنَّ فِيهِ أَقَاوِيلَ الرِّجَالِ، أَمَا إِنَّهُ قَدْ يَرْمِي الرَّامِي، وَتُخْطِيءُ السِّهَامُ، وَيَحِيكُ الْكَلاَمُ، وَبَاطِلُ ذلِكَ يَبْورُ، وَاللهُ سَمِيعٌ وَشَهِيدٌ.
أَمَا إِنَّهُ لَيْسَ بَيْنَ الْحَقِّ وَالْبَاطِلِ إِلاَّ أَرْبَعُ أَصَابِعَ.
فسئل(عليه السلام) عن معنى قوله هذا، فجمع أصابعه ووضعها بين أذنه وعينه ثمّ قال:
الْبَاطِلُ أَنْ تَقُولَ سَمِعْتُ، وَالْحَقُّ أَنْ تَقُولَ رَأَيْتُ!
SERMON 140
Against reliance on heresy
O’ people! If a person knows his brother to be steadfast in faith and of correct ways he should not lend ear to what people may say about him.
Sometimes the bowman shoots arrows but the arrow goes astray; similarly talk can be off the point. Its wrong perishes, while Allah is the Hearer and the Witness. There is nothing between truth and falsehood except four fingers.
Amir al-mu’minin was asked the meaning of this whereupon he closed his fingers together and put them between his ear and eye and said: It is falsehood when you say, “I have heard so,” while it is truth when you say, “have seen.”
Day: August 12, 2020
23 Zil Hajj Yaum e shahdat Shahzadgan_Hazrat_Muslim_Bin_Aqeel_(A.S)

Mubahle ka Waqiya aur Aayat-e-Mubahla Gawah hai
Mubahle ka Waqiya aur Aayat-e-Mubahla Gawah hai ke jo bhi Allah Rasool SAW aur Ahle Bayt Pak ke khilaf jayega wo jhoota hai!!*
Alaihim Afdalus Salawatu was Salaam
“Phir Aye Mehboob, Jo Tum Se Isaa k Baare Me Huzzat Kare Iske Baad Tumhe Ilm Aachuka To Unse Farmado Aao Hum Bulaye Apne Bete Aur Tumhare Bete Aur Apni Aurato Aur Tumhari Aurato Aur Apni Jaane’in Aur Tumhari Jaane’in Phir Mubahila Kare To Jhuto Par Allah Ki Laanat Daale”
(Surah Al Imraan Ayat 61)
Ye Aayat E Karima Nazraan k Isaiyo k muttalik Naazil huwi Jo Huzoor Nabi E Rehmat صلى الله عليه وسلم se Hazrat Isaa k Muttalik Bahes Karne Aaye the, Yeh Shaher Arab Me Isaiyi Mazhab Ka Bahot Bada Markaj Tha. Is Shaher E Nazraan me Ek Bahot Bada Girzaghar (Church) tha Jaha Bade bade Arab k Padri Rehte The, Unka Sardar Tha Abdul Masih uski raay k begair us Shaher k Isayi Koi Kaam naa karte.Ye Log Asr k wakt Apne Wafd k saath Madina Munawwar pahuche Jo Munazra Karne aaye the.
Allah K Rasool صلى الله عليه وسلم ne Jab Ye Wajeh Bayan Kar Diya K Isaa Alaihi Salam Allah Tabarwa’taala k bheje Ambiya Alaihi Salam aur Swaleh Bande Hai Bete Nahi Jaisa Isayo Ka Batil Akeeda hai ispe Chand Isaiyo ne Munazra (debate) Ki par wo koi dalail na laa sake aur Huzoor Nabi E Karim صلى الله عليه وسلم ne unhe dalail se wajeh kiya k jab Isa Alaihi salam bin baap k paida huwe to unhe tumne Khuda maan liya jab ki Adam Alaihi Salam ko naa baap ki jarurat huwi naa maa ki ALLAH ne unhe Qudrat e Kamila se paida kiya Aage phir ALLAH Taa’la ne ye AYAT E MUBAHILA naazil ki jisme Isayo ko kaha gaya wo leke aaye apne ahle o aayal ko Aur Huzoor Nabi E Karim Apni Ahle bait ko aur Ek Dusre k halaakat ki dua kare taaki Haq wajeh hojaye.
Ispe Isayo ne Kaha K Wo gaur o fikr karke jawab denge natiza ye huwa k unme jo Nazran ka sabse Bada Padri Abdul Masi (ARCH BISCHOP of Nazran) Se Mashwara kiya To Usne Kaha Muhammad صلى الله عليه وسلم Allah k bheje Rasool صلى الله عليه وسلم Hai unse Mubahila naa karna agr Aalam e Dunya Me Isayat ko bachana chahte ho to wapas chale jao warna koi Isai Rooh e Jamin me nahi bachega par uske mashware k baad bhi kuch log Nabi e Karim صلى الله عليه وسلم k pass Jaa pahuche to dekha Huzoor Nabi e Karim صلى الله عليه وسلم ki Godh e Mubarak Me Hazrat Hasan aur Hussain Radi the aur Hazrat Ali Aur Fatima Tuzahara Radi Allaho Azmain k piche the Huzoor Nabi e Karim صلى الله عليه وسلم Ne Kaha Mai Jo Dua Karu Tum Aamin kahna
Is haal ko dekh k Isayo pe aisa Raub Taari huwa k unke bade padri ne kaha k Mai aise Chehre Dekh Raha Hu agar ye Aamin kahde to ALLAH pahad ko yaha le aayga aur hum sab halak hojaynge bil aakhir Isaiyo ne Mubahile Se rahe farar ekteyar kar liya ye Is Aayat E Karima Ka Mukhtasar Sa Pas Manzar Hai ab Hum Hadeees E Sahi Se Bhi ye
*Hadees Sharif*
_“Amir bin Saad Bin Abi Waqqas Bayan Karte Hain Ki Jab Aayatey Mubaahila Naazil Huwi :_
*“Farmado Aao Hum Bulaye Apne Bete Aur Tumhare Bete Aur Apni Aurato Aur Tumhari Aurato Aur Apni Jaane’in Aur Tumhari Jaane’in Phir Mubahila Kare To Jhuto Par Allah Ki Laanat Daale”*
*(📖Surah Al Imraan Ayat 61)*”
*To Huzoor Nabi E Akram صلى الله عليه وسلم Ne Hazrat Ali, Hazrat Fatima, Hazrat Hasan Aur Husain RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Ko Bulaaya Phir Farmaya :*
*Ya Allah!*
*Yeh Mere Ahle Bait Hain.”*
*📚References :*
(Sahi Muslim, Vol : 06, Pg : 264, Kitabul Manakib E Sahaba, Baab : Man Fazail E Ali Ibn Abu Talib, Hadees : 6220)
(Jamai Tirmizi, Kitabut Tafseer, Hadees : 3269 ‘English No : 2999’)
(Jamai Tirmizi, Kitabul Manakib, Hadees : 4090 ‘English No : 3724’)
(Imam Ahmad ibn Hambal Al Musnad Vol : 01, Pg : 185, Hadees : 1608)
(Imam Nasai Sunan Al Kubra Vol : 05, Pg : 107, Hadees : 8399)
(Imam Hakim Al Mustadraq Vol : 03, Pg : 163, Hadees : 4719)
(Imam Bayhaqi Sunan Ul Kubra Vol : 07, Pg :63, Hadees : 13169,13170)
Hadith e Bukhari

Madine ke moti
