Ibn e Asakir ر Ki Tareekh e Damishq Me Hai
Abdur Rahman Bin Abi Laila (RadiAllahu Ta’ala Anhu) Ne Hazrat Ali (عليه لسلام) Ko Rahba Me Farmate Huye Suna: “Main Kasam Deta Hoon Har Us Shakhs Ko Ki Woh Khada Ho Jaye Jisne RasoolAllah (صلى الله عليه وآله وسلم) Ko Ghadir Khum Ke Din Dekha Aur Apke Irshadaat Suney, Wohi Khada Ho Jisne Aap (صلى الله عليه وآله وسلم) Ko Dekha Ho”, Barah (12) Aadmi Khade Huye Aur Kaha: “Ham Ne Aap (صلى الله عليه وآله وسلم) Ko Dekha Aur Aap (صلى الله عليه وآله وسلم) Ka Irshaad Suna, Jab Aap (صلى الله عليه وآله وسلم) Ne Hazrat Ali (عليه لسلام) Ka Hath Pakda Aur Farmaya: ‘Aey Allah ! Jo is Sey Dosti Rakhe Tu Bhii Us Sey Dosti Rakh, Aur Jo is Sey Adawat Rakhe Tu Bhi Us Sey Adawat Rakh, Jo iski Nusrat Karey Tu Uski Nusrat Kar Aur Jo Isey Ruswa Karna Chahe Tu Usey Ruswa Kar ! ”
Sab Log Khade Hogaye The, Teen Shakhs Khade Nahi Huye To Hazrat Ali (عليه لسلام) Ne Unke Khilaf BadhDua Ki, Unko Aapki Baddua Lag Gai !
_____________________________________
Hazrat Ali (عليه لسلام) Ne Rahba Me Khutbah Diya To Farmaya: “Main Us Shakhs Ko Islam Ki Kasam Deta Hoon Ki Woh Khada Ho Jaye Jisne Ghadir Ke Roz RasoolAllah (صلى الله عليه وآله وسلم) Ko Mera Haath Pakde Huye Yeh Irshaad Farmate Huye Suna : “Aey Musalmano Ki Jama’at ! Kya Me Tumhari Jaano Ka Tumse Zyada Haqdaar Nahin Hoon? ” , Logon Ne Kaha: “Kyun Nahi Aey Allah Ke Rasool (صلى الله عليه وآله وسلم)” ,
Aap (صلى الله عليه وآله وسلم) Ne Farmaya Tha : ‘Main Jiska Mawla Hoon Ali Bhi Uske Mawla Hain’,
Aey Allah! Jo Is Sey Dosti Rakhe Tu Bhi Us Sey Dosti Rakh, Aur Jo Is Sey Adawat Rakhe Tu Bhi Us Sey Adawat Rakh, Jo iski Nusrat Karey Tu Uski Nusrat Kar Aur Jo Isey Ruswa karna Chahe Tu Usey Ruswa Kar”
Kuch Logon Ne Yeh Baat Chupaai To Wo Duniya Se Andhe aur Kodhi (Leprosy) Hokar Marey !
_____________________________________
Sirf Momin Hi Mawla Ali Se Muhabbat Karte Hai Unka Zikr Karte Hai
Munafiq Hi Mawla Ali Se Bughz Nafrat Karte Hai Aur Unke Zikr Se Rokte Hai