Qur’an :
2 Surah al-Baqarah, Aayat 183, 184 :يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا كُتِبَ عَلَيْكُمُ الصِّيَامُ كَمَا كُتِبَ عَلَى الَّذِينَ مِنْ قَبْلِكُمْ لَعَلَّكُمْ تَتَّقُونَ
أَيَّامًا مَعْدُودَاتٍ ۚAye Eimaan waalo, Tum par Roze Farz kiye gaye, jaise aglo par farz hue the ki kahin tumhe Parhezgaari mile.
Ginti ke din.Hadeeṡe Nabawi :
(1) Huzoor Rasool-Allāh sallalaāhu alaihi wa sallam ne farmaaya ‘Roza Dhaal hai jab tak ki use phaad na daalo.’
Sahaaba ne puchha ‘Wo kaise phat jaata hai?’
To Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya ‘Jhoot bolne se aur Gheebat karne se.’(2) Hazrat Abu Huraira radiy-Allāhu ta’ala anhu se riwaayat hai ki :
Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya
‘Agar koi shakhs Roza rakhkar bhi Jhoot bolna aur Dagabaazi karna na chhode to ALLĀH ta’ala ko us ki koi zaroorat nahi ki wo apna khana peena chhod de.’
(Sahih Bukhari, Jild -3, Hadeeṡ -1903)(3) Hazrat Abu Huraira radiy-Allāhu ta’ala anhu se riwaayat hai ki :
Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya
Jo buri baat kehna aur us par amal karna na chhode to us ke bhooke pyaase rehne ki ALLĀH ta’ala ko kuchh haajat nai ki wo apna khana peena chhod de.’
(Bukhari, Jild -1, Safa -628)********************
♦ Roze ke 3 darje hote hain :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) Aam insaan ka roza – Musalman roze ki niyyat ke saath Subah saadiq se Ghuroob e aaftaab tak Khaana-peena aur Jima’a (sohbat) karne se rookta hai.(2) Khaas insaan ka roza – Mo’min roza rakhne ke saath khauf e khuda se har gunaah aur fuzool baato se bachne ki koshish karta hai.
Jis me jism ke har a’aza ka roza hota hai ya’ni Aankh ka roza, Kaan ka roza, Zaban ka roza, Haath ka roza, Paanv ka roza.
Wo na koi buri cheez dekhta hai, na koi buri baat sunta hai, na kisi ki burai karta hai aur na koi buri baat kehta hai, na haath se kisi ko takleef deta hai, na kisi gunaah ke liye chalkar jaata hai.(3) Saaliheen ka roza – Mo’min roza rakhne ke saath ALLĀH ta’ala ko raazi karne ke liye Namaaz padhta hai, Tilaawat e Qur’an, Zikr, Durood o salaam, Naat aur Manqabat, Auliya aur Saaliheen ki sirat aur un ke dars e amal padhta ya sunta hai, Ahkaam e shariat aur hidaayat ki baate padhta hai ya sunta hai aur dusro ko sunaata hai aur sahi mashwara wa ta’aleem deta hai.
*************************
Rozadaar mo’mino ko 7 baato ka khayaal rakhna chaahiye, jis se Roza ke foyuz o barkaat haasil kar saken :(1) Roza rakhne me sirf ALLĀH ta’ala ki Raza ki aur us ki Ibaadat ki niyyat ho.
Aur ye yaqeen rakhen ke is ki barkat se parhezgaari haasil hogi.(2) Halaal maal se sehari kare.
Sehari zaroor karen ki ye Sunnat hai aur is me barkat hai. Agar kuchh khaana na ho ya waqt kam ho to kam se kam paani hi pee len.(3) Roze ko bojh ya sakhti na samjhe. Aur ye na sochen ya kahen ke aaj ka roza bahut lamba ya bhari laga.
Har haal me ALLĀH ka Shukr ada karen aur Roza qubool hone ki ummid rakhen.(4) Har buri cheez se Nigaah ki hifaazat karen.
Har buri baat se Zabaan ki hifaazat karen.
Har buri baat sunne se Kaan ki hifaazat karen.
Har na-jaa’iz cheez se Haath, Pair aur pure Badan ki hifaazat karen.▪▪► Roza me jhut, gheebat, chugli, gaali dena, behuda baat kehna, kisi ko takleef dena, bad-nigaahi ye sab aur zyada Haraam hain aur in ki wajah se roza bhi makrooh hota hai ya’ni ṡawaab kam ho jaata hai.
(5) Iftaar ke waqt Rozadaar ki dua khaas taur par qubool hoti hai. Is liye apne liye aur dusro ke liye khair o barkat ki dua karen.
(6) Halaal maal se Iftaar karen.
Yaha tak ki agar koi Iftaar ki Daawat de aur maaloom ho ke wo haraam kamaata hai ya us ki kamaai me shak ho to us ke waha Iftaar na karen.
Iftaar waqt par karen, der na lagayen.(7) Iftaar ke baad apne Roze par Fakhr na karen. Balke ye khauf rakhen ki kahi Qayaamat ke din ye Roza thukra diya na jaaye.
*************************
Bina zaroorat kabhi kisi ko Namaz ya Roze ke baare me na puchhe
ya’ni namaz padhi ya roza rakha hai,Kyun ki agar wo kisi wajah se sach na bola to ‘Jhut’ ka gunaah bhi hoga.
*************************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur in sab baato ko yaad rakhkar amal karne ki aur dusro ko sikhaane ki taufiq ata farmae aur Maah e Ramazaan ki ta’azeem karne ki aur is me sahi tareeqe se roze rakhne ki aur zyada ibaadat karne ki aur is ke fayuz o barkaat haasil karne ki taufiq ata farmae aur gunaaho se bachne ki taufiq ata farmae aur hamare nek amal qubool farmae aur Sab ko dunya aur aakhirat me bhalai aur kaamyaabi ata farmae.
Aameen.