Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam: 26
“Hazrat Anas Bin Malik رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Ek Taweel Riwaayat Me Marwi Hai Ki RasoolAllah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne (Apna Safare Me’raaj Bayaan Karte Hu’e) Farmaya : Jibra’il عَلَيْهِ السَّلَام Ne (Bayt-ul-Lahm Ke Maqaam Par) Mujh Se Kaha : Aap Buraaq Se Utarye Aur Namaaz Padhiye. Mein Ne Utar Kar Namaaz Ada Kee. To Unhone Kaha : Kya Aap Jaante Hain Ki Aap Ne Kaha’n Namaaz Ada Kee Hai? Aap Ne Bayt-ul-Lahm Me Namaaz Ada Kee Hai Jaha’n ‘Isa عَلَيْهِ السَّلَام Kee Paida’ish Hu’i Thi.”
Ise Imam Nasa’i, Tabarani Aur Bazzar Ne Riwaayat Kiya Hai.
–
[Nasa’i Fi As-Sunan, 01/222, Raqm-450,Tabarani Fi Musnad Al-Shamiyyin, 01/194, Raqm-341,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 07/283, Raqm-7142,
Bazzar ‘An Shaddad Bin Aws Fi Al-Musnad, 08/410, Raqm-3484,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 01/73,
Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari, 07/199,
Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/63_64, Raqm-26.]
Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam: 27
“Hazrat Khuraym Bin Aws Bin Harithah Bin Lam رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Bayaan Karte Hain Ki Hum Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Khidmate Aqdas Me Maujood They, Hazrat ‘Abbas Bin Abd-ul-Muttalib رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Ne Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Khidmat Me ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah! Mein Aap Kee Mad’h-o Na’t Padhna Chaahta Hoo’n. To Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Laa’o Mujhe Sunaa’o, Allah Ta’ala Tumhaare Daant Sahih-o Saalim Rakkhe (Ya’ni Tum Is Tarah Ka ‘Umda Kalaam Padhte Raho). So Hazrat ‘Abbas رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Ne Yeh Padhna Shuroo’ Kiya :
وَأَنْتَ لَمَّا وُلِدْتَ أَشْرَقَتِ
الْأَرْضُ وَضَاءَتْ بِنُوْرِكَ الْأُفُقُ
فَنَحْنُفِي الضِّيَاءِ وَفِي
النُّوْرِ وَسُبُلُ الرَّشَادِ نَخْتَرِقُ
“Aap Woh Zaat Hain Ki Jab Aap Kee Wilaadate Baa Sa’aadat Hu’i To (Aap Ke Noor Se) Saari Zameen Chamak Utthi Aur Aap Ke Noor Se Ufuqe ‘Aalam Raushan Ho Gaya. Pas Hum Aap Kee ‘Ata Karda Raushni Aur Aap Hee Ke Noor Me In Hidaayat Kee Raaho’n Par Gaamzan Hain.”
Is Hadith Ko Imam Tabarani, Hakim Aur Aboo Nu’aym Ne Riwaayat Kiya Hai.
–
[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 04/213, Raqm-4167,Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/369, Raqm-5417,
Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 01/364,
Dhahabi Fi Siyar A’lam-in-Nubala’, 02/102,
Ibn Jawzi Fi Sifat-us-Safwah, 01/53,
Ibn Abd-il-Barr Fi Al-Isti’ab Fi Ma’rifat Al-As’hab, 02/447, Raqm-663,
Asqalani Fi Al-Isabah Fi Tamyiz-is-Sahabah, 02/274, Raqm-2247,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 08/217,
Khattabi Fi Islah Ghalat Al-Muhaddithin, 01/101, Raqm-57,
Ibn Qudamah Fi Al-Mughni, 10/176,
Suyooti Fi Al-Khasa’is Al-Kubra, 01/66,
Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah(Al-Sirah), 02/258,
Qurtubi Fi Al-Jami’ Li-Ahkam Al-Qur’an (Tafsir Al-Qurtubi), 13/146,
Halabi Fi Insan-ul-‘Uyoon Fi Sirat-il-Amin-il-Ma’moon Aw As-Sirat-ul-Halabiyyah, 01/92,
Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/64_66, Raqm-27.]
Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam: 28
“Hazrat ‘Irbad Bin Sariyah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Bayaan Karte Hain Ki Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Mein Allah Ta’ala Kee Bargah Me Us Waqt Se Aakhiri Nabi Likha Ja Chuka Tha Jab Ki Hazrat Aadam عَلَيْهِ السَّلَام Abhi Apni Mitti Me Gundhe Hu’e They Aur Mein Tumhe’n Us Kee Taaweel Bataata Hoo’n : Mein Hazrat Ibrahim عَلَيْهِ السَّلَام Kee Du’aa (Ka Nateeja) Hoo’n Aur Hazrat ‘Isa عَلَيْهِ السَّلَام Kee Bashaarat Hoo’n, Aur Is Ke Ilaawa Apni Waalida Ka Woh Khaab Hoo’n Jo Unhone Meri Wilaadat Se Pehle Dekha Tha Aur Ambiya-e Kiram Kee Maa‘ei‘n Isi Tarah Ke Khaab Dekhti Hain.”
Ise Imam Ahmad Ne Riwaayat Kiya Hai.
–
[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/127-128, Raqm-16700, 16712,Ibn Hibban Fi As-Sahih, 14/313, Raqm-4604,
Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, 01/179, Raqm-409,
Bukhari Fi At-Tarikh Al-Kabir, 06/68, Raqm-1736,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 18/252, 253, Raqm-629, 630,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/656, Raqm-4175,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 02/134, Raqm-1285,
Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/66_67, Raqm-28.]
Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam: 29
Ek Riwaayat Me Hai Ki Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : “Mein Allah Ta’ala Ka Banda Aur Aakhiri Nabi Hoo’n.” Phir Raawi Ne Mazkoora Hadith Kee Mithl Hadith Bayaan Farmaa’i Aur Us Me Yeh Izaafa Kiya : “Be Shak Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Waalida Maajida Ne Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Wilaadate Mubaaraka Ke Waqt Noor Dekha Jis Se Shaam Ke Mahallaat Tak Raushan Ho Ga’e.”
Ise Imam Ahmad, Hakim Aur Bukhari Ne At-Tarikh Al-Kabir Me Riwaayat Kiya Hai.
–
[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/127-128, Raqm-16700, 16712,Ibn Hibban Fi As-Sahih, 14/313, Raqm-4604,
Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, 01/179, Raqm-409,
Bukhari Fi At-Tarikh Al-Kabir, 06/68, Raqm-1736,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 18/252, 253, Raqm-629, 630,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/656, Raqm-4175,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 02/134, Raqm-1285,
Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/66_68, Raqm-29.]
Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam: 30
“Hazrat ‘Irbad Bin Sariyah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Marwi Hai Woh Bayaan Karte Hain Ki Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Be Shak Mein Allah Ta’ala Ke Haa’n Lauhe Mahfooz Me Us Waqt Bhi Aakhiri Nabi Tha Jab Ki Aadam عَلَيْهِ السَّلَامAbhi Apni Mitti Me Gundhe Hu’e (Marhala-e Khilqat Me) They. Mein Tumhe’n Is Kee Tafseel Bataata Hoo’n Ki Mein Apne Jadde Amjad Ibrahim عَلَيْهِ السَّلَام Kee Du’aa Hoo’n Jo Unhone Maangi :﴾Ae Hamaare Rabb! Un Me, Unhi Me Se (Woh Aakhiri Aur Barguzida) Rasool (صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم) Mab’ooth Farma.﴿Aur Mein ‘Isa Bin Maryam عَلَيْهِمَا السَلَام Kee Bashaarat Hoo’n. Unhone Kaha : ﴾Aur Us Rasoole (Mu’azzam صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Aamad Aamad) Kee Bashaarat Suna Ne Waala Hoo’n Jo Mere Baa’d Tashrif Laa Rahe Hain Jin Ka Naam (Aasmaano’n Me Is Waqt) Ahmad (صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم) Hai.﴿Aur Mein Apni Waalida Ka Khaab Hoo’n Jo Unhone Dekha Ki Unhone Ek Aise Noor Ko Janm Diya Hai Jis Se Shaam Ke Mahallaat Bhi Raushan Ho Ga’e.”
Ise Imam Ibn Hibban, Tabarani, Aboo Nu’aym, Hakim Aur Ibn Sa’d Ne Riwaayat Kiya Hai. Imam Haythami Ne Farmaya : Imam Ahadm Kee Ek Sanad Ke Rijaal Sahih Hadith ke Rijaal Hain Siwaae Sa’’iyd Bin Suwayd Ke, Unhe’n Imam Ibn Hibban Ne Thiqah Qaraar Diya Hai.
–
[Ibn Hibban Fi As-Sahih,14/312, Raqm-6404,Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 18/253, Raqm-631,
Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 06/40,
Aboo Nu’aym Fi Dala’il-un-Nubuwwah, 01/17,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/656, Raqm-4174,
Ibn Sa’d Fi At-Tabaqat-ul-Kubra, 01/149,
Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari, 06/583,
Tabari Fi Jami’-ul-Bayan Fi Tafsir Al-Qur’an, 06/583,
Ibn Kathir Fi Tafsir Al-Qr’an Al-Azim, 01/185,
Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 02/321,
Haythami Fi Mawarid Al-Zam’an Ila Zawa’id Ibn Habban, 01/512, Raqm-2093,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 08/223,
Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/68_69, Raqm-30.]