Surah-e-Qadr ka Nuzool Kisi aur Khaas Chiz keliye hua tha!

Shab-e-Qadr to Maah e Ramzan ke Aakhri Ashre me hai magar Shab-e-Qadr ki Khabar dene waali Surat “Surah-e-Qadr” ka Nuzool Kisi aur Khaas Chiz keliye hua tha!

“Jaame Tirmizi ki Abwab ut Tafseer me hai ke Imam Hasan-e-Mujtaba ibne Maula Ali al Murtaza Alaihi-Mussalam Farmate Hain Mere Baba Tajdar-e-Kainat SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Khwab dekha aur subh pareshan bedaar hue. Aapne farmaya ke Meri pareshani ka sabab ye ke Maine Khwab dekha ke Banu umaiyya ke hukmarano ko Apna Mimbar paamal karte dekha hai. Aaqa farmate hain yake baad digare Mere Mimbar pe baithe, Mimbar-e-Rasool paamal horaha hai.

Subh pareshan uthe, Tabiyat-e-Muqaddasa pe malal tha, us malal ko dur karne keliye, Imam Hasan-e-Mujtaba farmate hain Allah Pak ne Ye Surat naazil farmayi “Inna Anzalna Hu Fee Laylatil Qadr” Shab-e-Qadr ki Surat utri. Aur Surat me hai ke Wama Adraka ma Laylatul Qadr, “kya aap jante hain ye Laylatul Qadr kya hai?” Jawab diya: “Laylatul Qadri Khairum min Alfi Shahra”. Shab e Qadr ek hazaar mahino se Afzal hai!

Hadees ke raawi jinhone Imam Hasan-e-Mujtaba se Ye suna wo kehte hain mai tabse sochne lag gaya ke hazar mahine kaunse? To Tirmizi Shareef me hai farmate ke jab waqt guzra aur giney to banu umaiyya ki hukumat ka daur pure hazar mahine bane!

Allah ne Huzoor ka ranj o malal dur karne keliye Surat utaari, Farmaya Mehboob jinko Apne Mimbar ko pamaal karte dekha hai, ek hazar mahine is Mimbar pe hukumat pe baithenge, inke hazar mahino se Mehboob Teri Ahle Bayt ki Ek Raat behtar hai!!

Ye hazar mahine banu umaiyya ke. Hadees to waha khatm hogayi ke hazar mahine banu umaiyya ke hazaar maah hain. Hadees khatam hogayi ab is se aage apna ijtehadi itlaaq karraha hun. Apni Zimmedari par itaalq karraha hun, apni Ilmi zimmedari par itlaaq karraha hun ke jab hazaar maah banu umaiyya ke takht-e-damishq ke hue to unse behtar hai Ek Raat.

To mera wijdaan ye kehta hai jab ek taraf takht e damishq ke hazar mahine hon aur ek raat jo takht e damishq ke hazar mahino se behtar hai Wo Sayyeda Zainab ki Shab-e-Aashur hai! Wo Hussain ki Shab-e-Aashur hai Wo Sakina ki Shab-e-Aashur hai Wo Sayyeda Zainab ki Shab-e-Aashur hai!

Ke wo takht par baithne walo ke ek hazar maah aur Mustafa Tere Shehzado Shehzadiyo ki Khaak-e-Karbala par Wo aakhri Ek Raat.”

Alaihim Afdalus Salawatu was Salaam

(Tirmizi, Hakim, Imam Razi Tafseer)

Allahumma Salle Ala Sayyedatina Zainab wa Ala Ummiha wa Jaddiha wa Abeeha wa Akhwaniha wa Ahle Baytiha wa Baarik wa Sallim

Leave a comment