“Beshaq Hum Apne Rasoolo ki aur Imaan laane waalo ki duniyawi zindagi me (bhi) madad karte hain aur us Din (bhi karenge) jab gawah khade honge.”
Surah Mu’amin 40:51
“Jab Isa (Alaihissalam) ne unka (Bani Israel ka) kufr mehsus kiya to usne kaha: Allah ki taraf kaun log Mere madadgaar hain? To uske mukhlis saathiyon ne arz kiya: Hum Allah (ke Deen) ke madadgar hain, hum Allah par Imaan laaye hain aur Aap gawah rahen ki hum yaqinan musalman hain.”
“Ay hamare Rab! Hum us Kitab par Imaan laaye jo Tuney naazil farmayi aur humne is Rasool ki itteba ki so hame (Haq ki) gawahi dene waalo ke saath likhde.”
Surah Aal-e-Imran 3:52,53
“Ay Imaanwaalo! Agar tum Allah (ke Deen) ki madad karoge to Wo tumhari madad farmayega aur tumhare kadmo ko mazboot rakhega.”
Surah Muhammad (SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam) 47:7
Allah Ta’ala ne farmaya ke Wo Khud Apne Rasoolo ki madad karta hai, kyunki zahir si baat hai ke Rasool logo ko Allah ki Marifat sikhaane keliye duniya me aata hai. Isliye Allah Ta’ala Khud Apne Rasoolo ki Madad ka zimma leta hai. Lekin upar ki dusri Aayat me dekho, Hazrat Isa Alaihissalam, jo ke Ulul Azm Rasoolo me se hain, Wo apne Sahaba se kehrahe hain ke kaun log Meri Madad karenge Allah ke Deen keliye? To Unke Sahaba jinhe Hawari kaha jata hai, unhone kaha ke hum madadgaar hain.
Is waqiye ko bayan karke Allah Ta’ala ne phir Surah Saff me farmaya ke:
“Ay Imaanwaalo! Tum Allah ke madadgar ban jao jaisa ki Isa ibne Maryam (Alaihi-Mussalam) ne (Apne) hawariyon se kaha tha: Allah ki (Raah ki) taraf Mere madadgar kaun hain. Hawariyon ne kaha: Hum Allah ke madadgar hain. Pas Bani Israel ka ek giroh Imaan le aaya aur dusra giroh kafir hogaya, so Humne un logo ki jo Imaan le aaye they unke dushmano par madad farmayi pas wo gaalib hogaye.” (Surah Saff 61:14)
Yaani is ummat ko Isa Alaihissalam aur Unke hawariyon ka example deke farmaya ke tum bhi ALLAH KE MADADGAR ban jao! Yaha madad kis chiz keliye maangi jarahi hai? Deen keliye! To in Aayaat ke matlab ye bana ke Allah ke Deen ki madad karne wala ALLAH KA MADADGAR hai! Allah ko to kisiki madad ki zarurat nahi, lekin yahan Imaan laane waalo ki azmat badhaane keliye aisa kaha jaraha hai.
Aur Allah Ta’ala kisi kafir se madad nahi leta, kafir to Allah ke aur Allah ke Deen ke dushman hain. To iska matlab hua ke jo bhi is Deen ki madad karega, wo aisa hai goya usne Allah ki madad ki aur wo yaqinan Imaan wala hai! Ab dekhna ye hai ke kisnse is Deen ki sabse zyada madad ki! Jab bhi Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke Mission par hamla hua, to sabse pehle difa Hazrat Abu Talib ne kiya! Aapne Huzoor ki security ki guaranty lekar aylan kardiya ke jo bhi Mere Muhammad ke raaste me ruqawat banne ki koshish karega, uska muqabla mujhse hoga. Hazrat Abu Talib Alaihissalam ne har tarike se yaani Apni Jaan, Apna Maal, Apna social status, Apni Aulad ke zariye se Is Deen ki madad ki! Aur Allah Ta’ala ne to pehle he farma diya ke jo Deen ki madad karta hai wo aisa hai jaise usne Meri Madad ki. To Is Aayat ke hisab se Hazrat Abu Talib Alaihissalam ne Allah ki Madad ki! Aur Allah kisi kafir se madad nahi leta.