
Hazrat Abdullah ibn Umar ( رضي الله عنهم) Se Riwayat Hain Ki Imam ul Anbiya Huzoor Ahmad e Mujtaba Muhammad Mustafa (صلى الله عليه وآله وسلم) Ne Farmaya :
Jis Shakhs Ne Ali (عليه السلام) Se Muhabbat Kee Allah Karim Us Kee Taraf Se Us Ka Qiyaam Wa Namaaz Aur Us Ke Roze Aur Us Kee Duaa Qubool Farmaaega.
Khabardaar!
Jis Ne Ali Se Muhabbat Kee Allah Ta’ala Us Shakhs Ko Us Ke Badan Kee Har Rag Ke Badle Jannat Me Aik Shahr Ata Farmaaega.
Aur Jis Ne Aal-E-Muhammad (صلى الله عليه وآله وسلم) Se Muhabbat Kee, Use Hisaab-o-Kitab Aur Meezaan Wa Siraat Se Amaan Mil Gayi.
Khabardaar!
Jo Shakhs Aal-E-Muhammad (صلى الله عليه وآله وسلم) Kee Muhabhat Me Faut Huwa, Mein Jannat Me Us Ke Liye Tamam Nabiyo’n Ke Saath Us Ka Kafeel (Zaamin Wa Zimmedar) Hounga.
Khabardaar!
Jis Ne Aal-E-Muhammad (صلى الله عليه وآله وسلم) Se Bughz Rakkha, Woh Qiyamat Ke Din Us Tarah Aayega Ki Aankho’n Ke Darmiyan Likha Huwa Hoga
Yeh Allah Kee Rahmat Se Maayoos Hai.”
Reference : Khuwarizmi Fi Al-Manaqib Al-Imam Amir Al-Mu’minin, Saf’h-72, 73.
اَللّٰھُمَّ صَلِّ عَلَی سَیِّدِنَا مُحَمَّدٍ وَ عَلَی اٰلِ سَیِّدِنَا مُحَمَّدٍ وَ بَارِکْ وَ س٘لِّمْ