
Ummul Momineen Hazrat Aaishah Siddiqa (سلام الله علیها) Se Rivayat Hai RasoolAllah (صلى الله عليه وآله وسلم) Ne Dua Farmayi, “Aye ALLAH Islam Ko Umar Ibn Khattab Ke Zariye Se Quwwat De”
Reference :
Sunan Ibn Majah Volume:01, Page: 65 ,Kitab al Mukaddam, Hadees No:110
Hazrat Abdullah Ibn Abbas (عليهم السلام) Se Rivayat Hai RasoolAllah (صلى الله عليه وآله وسلم) Ne Dua Farmayi , Aye ALLAH Islam Ko Faukiyat De Abu Jahl bin Hisham Ya Umar ibn Al Khattab Ke Zariye Se.
Pass Agle Roz Ye Huwa Ke Hazrat Umar Ibn Khattab RasoolAllah (صلى الله عليه وآله وسلم) Ke Pass Aaye Aur Islam Qubuul Kar Liya
Reference :
Jamai Tirmizi Volume:03, Page: 363, Kitab ul Manakib, Baab : RasoolAllah (صلى الله عليه وآله وسلم) Ki Dua Se Umar RadiAllahu Ta’ala Anhu Ka Islaam Laana, Hadees No : 4047, English No : 3683
Jamai Tirmizi Volume:03, Page :362, Kitabul Manakib, Baab : RasoolAllah (صلى الله عليه وآله وسلم) Ki Dua Se Umar RadiAllahu Ta’ala Anhu Ka Islaam Laana, Hadees No: 4045, English No : 3681
Hazrat Abdullah Bin Abbas (عليهم السلام) Se Rivayat Hai Jiss Waqt Hazrat Umar (رضي الله عنه) Musharraf Ba Islam Huwe, Hazrat Jibareel e Amin (علیہ السلام) Haazir e Khidmat Huwe Aur Arz Kiya Ya RasoolAllah (صلى الله عليه وآله وسلم) Yaqeenan Umar (رضي الله عنه) Ke Islam Qubuul Karne Par Ahle Aasmaan Ne Khushiyaan Manayi.
References :
Sunan Ibne Majah, Volume: 01, Page : 41, Kitabus Sunnah, Baab Fazail Umar (رضي الله عنه) Hadees No : 108
Subhan Allah ❤️
Hazrat Umar Wo Jinhe RasoolAllah (صلى الله عليه وآله وسلم) Ne Allah (تبارک وتعالی) Se Maanga
Murad e Rasool Dua e Rasool
26 Dhul Hijjah Yaum e Shahadat Hazrat Umar Al Farooq (RadiAllahu Ta’ala Anhu)