Khutbah e Ghadir e Khum
ibn Wathilah Se Riwayat Ki Unhone Zayd Bin Arqam (RadiAllahu Ta’ala ‘Anhu) Se Suna Ki Rasool-E-Akram (صلى الله عليه وآله وسلم) Ne Makkah Aur Madinah Ke Darmiyan Paanch-05 Bade Ghane Darakhto’n Ke Qareeb Padaaaw Kiya Aur Logo’n Ne Darakhto’n Ke Niche Safaayi Kee Aur Aap (صلى الله عليه وآله وسلم) Ne Kuchh Der Aaraam Farmaya.
Namaz Ada Farmayi, Phir Khitaab Farmane Ke Liye Khade Huwe.
Allah Ta’ala Kee Hamd Wa Thana Bayan Farmayi Aur Wa’z-o-Naseehat Farmayi, Phir Jo Allah Ta’ala Ne Chaaha Aap (صلى الله عليه وآله وسلم) Ne Bayan Kiya.
Aap (صلى الله عليه وآله وسلم) Ne Farmaya :
“Aye Logo’n!
Mein Tumhare Darmiyan Do Chizein Chhod Kar Ja Raha Hoo’n, Jab Tak Tum In Kee Pairwi Karoge Kabhi Ghumraah Nahin Hoge Aur Woh (Do Chizein) Allah Kee Kitab Aur Mere Ahl-E-Bayt / Aulaad Hain.”
Is Ke Baa’d Farmaya :
“Kya Tumhein ilm Nahin Ki Mein Mominin Kee Jaano’n Se Qareeb Tar Hoo’n ?”
Aisa Teen Martaba Farmaya.
Sab Ne Kaha :
Haa’n!
Phir Aap (صلى الله عليه وآله وسلم) Ne Farmaya :
“Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka ‘Ali Mawla Hai.”
– References
1-Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/109, 110, Raqam-4577,
2-Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 04/168,
3-Ibn ‘Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir (Tarikh Ibn ‘Asakir), 45/164,
4-Hisma-ud-Deen Hindi, Kanz-ul-’Ummal, 01/381, Raqam-1657