Aye Dushmanan e Haidar Dekh Zara Har Simt Fiza Mein ALI ALI hai

Aye Dushmanan e Haidar Dekh Zara Har Simt Fiza Mein ALI ALI hai Py

aro’n ke liye Pyari Pyari Gulzaib hawa me ALI ALI Gar “Alif” se lo Insaan ALI “Be” se kamil Burhan ALI “Te” se Tatheer ki Jaan ALI “Se” se Saqlain ki shaan ALI Har Makhfi baat ka Raaz ALI Aur “Jeem” se paak Jawaz ALI Maqdoor ALI Taqdeer ALI “He” se Haq ki Tasweer ALI “Khey” se Khatmul Karar ALI aur Khaliq ka shaahkar ALI Shahzada-e-Husn o Jamal ALI “Rey” se Rahbar har haal ALI Wahid ki Qasam Wajid bhi ALI aur “Zey” se hai Zahid bhi ALI Bey Badal ALI, Baqi bhi ALI Mera “Seen” se hai Saaqi bhi ALI Sucha Sacha Kaafi bhi ALI aur “Sheen” se hai Shaafi bhi ALI hai “Suad” se Sadiq ZIKR-E-ALI aur “Zuad” se Zamin FIKR-E-ALI “Taa” se Tarfain me NOOR-E-ALI “Za” se PURNOOR Zahoor e ALI Rutba hai KHUDA ke Wali ka ALI (Buland) aur “Ain” se Naam ALI ka ALI (Buland) hai “Ghain” se PAAK Ghani bhi ALI “Fe” se Fazal e Rabbi bhi ALI Mera “Qaaf” se Qibla ALI ALI aur “Kaaf” se KAABA ALI ALI Gar “Laam” se Poocho kya hai ALI Lola’ak ki Paak fiza hai ALI Hai “Meem” se Shaan e Maan bhi ALI Aur Mann kunto Maula bhi ALI Hai “Noon” se NOOR E KHUDA bhi ALI “Wao” se Wajhullah bhi ALI sun lo Ainullah Peer ALI aur “Ye” se Yadullah Peer ALI Eemaan ALI Eeqaan ALI Sultan ALI meri Jaan ALI Kaunain ALI ke Qadmo’n me Daarain ALI ke Qadmo’n me Sibtain ALI ke Qadmo’n me Saqlain ALI ke Qadmo’n me Tauqeer ALI ke Qadmo’n me Taqdeer ALI ke Qadmo’n me Har Peer ALI ke Qadmo’n me SHABEER ALI ke Qadmo’n me Izzat bhi ALI ke Qadmo’n me Azmat bhi ALI ke Qadmo’n me Rifa’at bhi ALI ke Qadmo’n me Shaukat bhi ALI ke Qadmo’n me Hai dahar me ROOH-E-HAYAT ALI Parwana-e-Pul-e Siraat ALI Kaliyo’n ki chatak me ALI ALI Daali ki lachak me ALI ALI Chidiyo’n ki Chahak me ALI ALI Phoolo’n ki Mahak me ALI ALI Umeed ALI Taaeed ALI Har Mast Malang ki Eid ALI Hamid, Hammad, Hameed ALI Mahtab ALI Khursheed ALI Taaro’n me ALI Pyaro’n me ALI Quran Tere Paaro’n me ALI Har Momin ke Naaro me ALI Yaaro’n me ALI Chaaro’n me ALI Noori bhi ALI Anwaar bhi ALI Hazir bhi ALI Nazir bhi ALI HASNAIN ka Baba ALI ALI Kaabe ka Kaaba ALI ALI Hai Abr-e-karam bhi ALI ALI AHMAD ka Bharam bhi ALI ALI RAHMAAN ki hai Saugat ALI Bin Badal ke Barsat ALI Shurfaa ki Jamaat me ALI ALI Har Sachchi Baat me ALI ALI Hijrat ki Raat me ALI ALI Salwaat, Salaat me ALI ALI Bhatko to Sahara ALI ALI Doobo to Kinara ALI ALI NABIYO’N ne Pukara ALI ALI Meri Aankh ka Tara ALI ALI MAULA-E-QAMBAR ALI ALI AAQA-E-ABUZAR ALI ALI Waliyo’n se burtar ALI ALI DUM MAST QALANDAR ALI ALI (Alaihim Afdalus Salawatu was Salaam Ridwanullahi Ta’ala Alaihim Ajmaeen KarramAllahu Wajhahu Kareem)

Advertisement

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s