
Sayyeduna Usman-e-Gani RadiAllahu Anhu aur Ahle Bayt e Pak Alaihi-Mussalam ki Aapas me Ek Dusre se Muhabbat! “Jab Sayyeda-e-Kainat ka Nikah hua Maula Ali Sher-e-Khuda se to Hazrat Abu Bakr, Umar aur Usman Teeno ko Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne bulwa bheja, Ali Sher-e-Khuda Aur Fatimah Tuz Zahra ke Nikah ke Gawah Ye Khulafa-e-Rashideen hain! Uthake dekh lijiye Kashful Gummah, jild awwal, safa 348 aur 349, aur har kitab ke andar darj hai! Aur is se badhkar, Sayyeda Fatimah Tuz Zahra ka Mahar dene keliye Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya Maula Ali Sher-e-Khuda ko: “Apni Zirah bechke paise le aao kuch Mahar ka saman karo. Sayyeduna Maula Ali Sher-e-Khuda, Sayyeduna Usman-e-Gani ke paas gaye. Shia kutub me ata hai ke Wo Zirah sirf 30 dirham ki thi, shia kutub me hai, magar chunke Hazrat Usman-e-Gani ko pata tha ke Sayyeda-e-Kainat Fatimah tuz Zahra ka Mahar ada hona hai, 30 dirham ki zirah Aapne 500 dirham me li!! 500 dirham deke Zirah kharid li, jab Hazrat Ali Sher-e-Khuda ch

