بِسْــــــمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِىْمِ
اَللّٰهُمَّ صَلِّ عَلٰى سَيِّدِنَا وَ مَوْلَانَا مُحَمَّدٍ وَّ عَلٰى اٰلَهٖ وَ اَصْحَابِهٖ وَ عَلىٰ سَيِّدِنَا وَ مُرْشِدِنَا وَ مَحْبُوْبِناَ حَضْرَتِ رَاجْشَاهِ السُّونْدَهَوِيِّ وَ بَارِكْ وَ سَلِّمْ۞
Huzoor ﷺ Ke Ahl-E-Bait Aur Qaraabatdaaron Ke Manaqib Ka Bayan
Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Key Parwarda (Parwarish Kiye Huwey) Hazrat Umar Bin Abu Salma RadiyAllahu Ta’ala Anhu Farmatey Hain Ke Jab Ummul Momineen Umme Salma RadiyAllahu Ta’ala Anha Key Ghar Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Aalehi Wa Sallam Par Yeh Aayat ˝Pas Allah Yahi Chaahta Hey Ke (Rasoolullah ﷺ Key) Ahl-E-Bait Tum Sey Har Kism Key Gunaaah Ka Mail (Aur Shako-Nuqs Ki Gard Tak) Door Kar Dey Aur Tumhey (Kaamil) Tahaarat Sey Nawaaz Kar Bilkul Paak Saaf Kar Dey˝ [Al-Ahzab, 33 : 33] Naazil Huwi To Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Wa Sallam Ney Sayyada Fatima Aur Hasnain Kareemain سﻻم الله عليهم Ko Bulaaya Aur Unhey Aik Kamlee Mey Dhaanp Liya Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Kareem Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Key Peechhey They.
Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ney Unhey Bhi Kamlee Mey Dhaanp Liya Phir Farmaya :
Aye Allah!
Yeh Merey Ahl-E-Bait Hain Pas In Sey Har Kism Ki Aaloodagee Door Farma Aur Inhey Khoob Paako-Saaf Kar Dey. Sayyada Ummey Salma RadiyAllahu Ta’ala Anha Ney Arz Kiya :
Aye Allah Key Nabi ﷺ!
Mein (Bhi) In Key Saath Hoo’n. Farmaya Tum Apni Jagah Raho Aur Tum To Behtar Maqam Par Fa’iz Ho.
[Tirmidhi As-Sunan, 05/351, Raqam-3205, &
05/699, Raqam-3871,
Tabarani Al-Mu’jam-ul-Awsat, 04/134, Raqam-3799,
Al-Minhaj-us-Sawi, Safah-608, Raqam-667.]