
Imam Muhammad Taqi (s)
*Wo jo apne dost ko gunah mein mubtela dekhta hai magar usay gunah karne se rokta nahi hai, oos ne apne dost ke saath gaddari / khayaanat ki*
Imam Ali An Naqi(s)
*Dost oos waqt tak dost nahi ho sakta hai jab tak apne dost ke 3 mauqe par kaam na aaye:*
*Musibat ke mauqe par,*
*uski ghaibat mein*
*aur*
*marne ke baad.*
Imam Musa kazim bin imam Jafar Sadiq (s)
*Dost dar-haqeeqat ek Rooh hai jo 2 mutafarriq abdaan (jism) mein hai*
Imam Jafar Sadiq (s)
*Allah Ta’ala dost aur dushman sab ko Daulat aur duniya ataa karta hai lekin Imaan sirf Apne dost ko ataa karta hai.*
Imam Ali Raza bin Musa bin Jafar Sadiq (s)
*Banda Allah se duur tab hota hai jab wo kisi se dosti kar ke uske Aib aur Galti yaad rakhe taaki ek din usay zaleel kar sakey.*
Imam zainul Abedeen (s)
*Duniya ke aish mein sab se achchi 2 cheezein hain: Makaan ki wus’at aur dosto’n ki kasrat*
Imam Jafar Sadiq (s)
*4 cheezein insaan ki khushnasibi hai:*
● *Nek dost,*
● *Nek Aulaad,*
● *Nek Biwi*
● *Nek Padosi*
Imam Husain bin Ali bin Abitalib (s)
*Jo tumko dost rakhega buraiyo’n se rokega aur jo tum ko dushman rakhega wo tum ko buraiyo’n par ubhaarega*
Imam Ali Naqi (as)
*Apne aqalmand dushman par apne jaahil dost se zyada etemaad (bharosa) karo (kyun ki aqalmand dushman jaahil dost se kam nuqsaan pahu’nchayega*
Imam Jafar Sadiq (s)
…Jitni musibat sakht hoti hai utna hi uska ajr zyada hota hai. Khuda jis qaum ko dost rakhta hai mubtela e balaa karta hai…

